Pages

Saturday, 25 August 2012

PREPARATION FOR INTERCOURSE

MUBASHRAT KAY ADAB

SAMAN:

Sukht bister, sukht mattress (Farash per rakhney kay liye),
2 sukht pillows, mubashrat (intercourse)  kay waqt biwi ki kamar kay neechey rakhney kay liye. 2 soft pillows sonay kay liye, lubricant. Lubricant aisa ho jo paani mein hull ho sakay maslan koi achi cold cream, jell, jelly, roghan-e-badam, coconut ya olive oil, Vaseline, hair tonic, baby lotion aur petroleum jelly hargiz istimal naa kareyn, yeh faraj mein stick hojati hain jis sey naa sirf strokes laganay mein mushkil hoti hai bul kay faraj mein infection honay ka khatra bhi hota hai. Baghaer bazu ki aik kursi jiski seat darmiyan sey ubhri hui ho aur ziyada chori naa ho. Biwi kay neechey bechanay kay liye aik kapra, ta'kay bister kharab naa ho. Safai kay liye mian aur biwi kay liye alag alag kapra. Yeh cheezain apkay pas hun, inki mukhtalif stages per zaroorat paesh aaey gi.

    Mandarja zael baaton ka khayal rakhna mubashrat (intercourse)  kay lutf ko dobala kardeyga.
  1. Maahireen ka khayal hai kay mubashrat (intercourse)  kay din ka mian biwi ko pehley sey pata ho yani pehley sey taey shuda ho. Ya mian biwi aik doosrey ko wazeh issharey dein kay aaj mubashrat (intercourse)  ka program hoga. Amooman ghaer wazeh ishaarey ki sorat mein biwi ko program ka pata nahi hota jab kay mian intezar mein hota hai. Waisey to koi bhi din ho sakta hai magar Islam mein Friday kay din ghusl-e-janabatki fazeelat hai. Yani mubashrat (intercourse)  Thursday night ya Friday sey pehley karna afzal hai. Friday kay din (apni biwi kay liye) ghussul ka saman karey aur khud ghussul karey to isskay liye har qadam per sal bhar kay amal ka badla hai goya woh sal bhar rozai sey raha aur inki raton ko qayam kiya. (Mashkawa) Aik doosri hadees hai " jo koi Juma kay din janaabaat ka ghussul karta hai (Jumein ki naamaz kay liye) sawairai nikalta hai to goya usnay ounth ki qurbani paesh ki. (Bukhari) Behtar hai kay next day off ho ta'kay aram kara ja sakay
  2. Mubashrat (intercourse)  sey 1 yeh 2 hours pehley coffee, tea, coke wagbaala aur ziyada paani nahi piya jaey. Yeh cheezain pisshab awar hain jo aksar mardon kay liye prematore ejaculaation ka sabab banti hai.
  3. Mubashrat (intercourse)  kisi bhi waqt kara ja sakta hai. Magar Hazrat Muhammad(P.B.U.H) aksar rat kay pechley pehar mubashrat farmaatey thai. Iss waqt amooman mard ziyada pur sukoon hota hai jiski wajah sey tanau (erection) ziyada hota hai aur mard jaldi discharge nahi hota. Baz maahireen kay naazdeeq mubashrat (intercourse) kay liye morning 10 bajaey ka waqt ziyada munasib hai. Kyun kay iss waqt testosteroneki production mein ezafa hojata hai jiski wajah sey mard ka tanaau ziyada sukht hota hai.
  4. Khanay kay foran baad mubashrat (intercourse)  nahi karna chahiyie, bul kay 2 yeh 3hours kay baad uswaqt kara jaey jab khanaa digisst ho chukka ho. Khanaa pait bhar kay naa khaya jaey aur naa hi ziyada oily ho bul kay soft diet ho yeh cheezain insan kay tanau (erection) ko manfi tor per muta'assir karti hai.
  5. Khauf, pareshani, stress, tension aur thakan mein mubashrat (intercourse)  nahi kari jaey. Yeh cheezain tanau (erection) ki dushman hai. Inki wajah sey bohut sey logon ko tanau (erection) ka masla hojata hai. Mubashrat (intercourse)  kay waqt donon ko zehni  aur jismani tor per bohut pursukoon hona chahiyie.
  6. Mubashrat (intercourse)  kay liye baqaida tayari kari jaey. Mian jaldi ghar ajaey. Biwi ghar kay kam jaldi karley. Bachon ko suladey. Ap iss book ki madadsey foreplay aur mubashrat (intercourse)  ki planning kareyn yani yeh decide karey kay aj aapko foreplay kis tarhan karna hai. Mubashrat (intercourse)  ka konsa tareqa use karna hai. Mubashrat (intercourse)  sey thori deyr pehley sukoon sey beth jaey aur imaginaaation ki madad sey iss ki practice karleyn.
  7. Jinsi amal kay liye pursukoon mahol bohut zaroori hai. Room temperature optimum ho, naa garmi aur naa sardi. Room aisi jagha ho jaha sey aawazein doosrey room tak naa pohoch sakay. Yani shor-o-ghul aur madakhilat sey mehfooz ho. Mubashrat (intercourse)  kay doran insan jinsi haejan mein awazain nikalta hai. Newly wed coupliss ko iss baat ka khauf hota hai kay inki awazain doosrey log naa sunlein. Yeh khauf inkay jazbaat ko sard kar deyta hai khas tor per mian ka tanau iss khauf sey muta'assir hota hai. Baz auqat mard ki tanau (erection) kam yeh khatam hojaati hai. Iss sorat mein soft mu'nhsic lagai ja sakti hai ta'kay awazain bahir naa ja sakayn. Isskay elawa distorbance sey bachnay ka liye phune band kardeyn. Warnaa phune ki ghanti apkay jazbaat ko sard kar deygi. Aur apka tanau (erection) kam yeh khatam hojaeyga. Behtar yeh hai kay bachun waley room mein mubashrat (intercourse)  naa kara jaey. Inkay jagnay kay khauf ki wajah sey ap mubashrat (intercourse)  sey puri tarhan lutf andooz naa ho sakayngai.
  8. Aap donon kay jism saf sutrai aur har kisim ki smell sey pak hun. Behtar ho kay sham ko donon ghussul karleyn, kaprai change karleyn. Kaprai aik doosrey ki pasand kay ho. Agar baath room bedroom kay saath ho to mubashrat (intercourse)  sey 1 hour pehley donon aik saath aik doosrey ko ghusal dein. Maqsad mael utarnaa nahi bul kay aik doosrey kay jism kay lums sey lutf andooz hona hai. Brush kar liye jaey ta'kay mouth sey smell naa ai.
  9. Romantic mahool jinsi amal ko ziyada luft angaez banaata hai. Room mein roshni madham ho agar rangeen ho to aur bhi behtar. Electricity ki light kay bajaey room ko candel sey roshan kareyn. Candle light mahool ko bohut sahar angaez banaadeti hai. Isski roshni mein aurat ka jism ziyada khoobsurat aur pur kashish dekhai deyta hai. Room mein air frisshner use kareyn. Khushboo donon ki pasand ki ho
  10. Bister kushada ho yani double bed ho ta'kay harkat karney mein aasani ho. Foam bohut ziyada soft naa ho, ziyada soft bister per jism ander ko dhans jata hai jiski wajah sey harkat karney mein problem hoti hai. Bed sey charcharahat ki awazein nahi aani chahiyie. Yeh awazain jinsi amal ko manfi tor per muta'assir karti hain. Bed ki sheet colorfull aur nehayat mulaem ho maslan satin ya silk waghaera ki, cotton aur rough bed sheet maza kirkira kar deti hai. Agar possible ho to farash per carpet yeh moti dari ho ta'kay kabhi kabhi change kay liye farash per mubashrat (intercourse)  ki ja sakay. Bed room mein aik big mirror bhi ho ta'kay biwi waha apney banaao singar ko set kar sakay.
  11. Mard kay jinsi jazbaat aurat ki zahiri shakal o sorat ko dekh kar bharaktey hain. Lehaza biwi apki pasand ka libas pehney, libas aisa ho kay khoobsurat lagey maslan pistaan waghaera ziyada numaya aur purkashish mehsoos ho. Libas nehayat naram, mulaem aur silki ho. Iss tarhan jab ap isskay jism per hath phaereyngai to aapko aag lag jaey gi. Ap bhi biwi ki pasand ka libas pehnein aur iss ki pasand ka perfume use kareyn.
  12. Jinsi amal (intercourse) sey bharpoor lutf andooz honay kay liye apkay pas kafi timeho. Maahireen ka khayal hai kay apkay pas kamsey kam 1 hour zaror hona chahiyie warna biwi sex sey bharpoor lutf naa utha sakaygi. kyun kay aurat ko jinsi amal kay liye tayar honay kay liye kam sey kam half hour lag jata hain. Iss liye foreplay, mubashrat (intercourse)  and afterplay kay liye aapko kam sey kam 1 hour required hai.
  13. Aap mubashrat (intercourse)  sey pehley peeshaab pas karley, thathey paani sey isstanja kareyn. Iss tarhan jaldi discharge nahi hoga aur ap jinsi amal ko ziyada taweel kar sakayn gai.
  14. Mubashrat (intercourse)  sey pehley biwi bhi thathey paani sey isstanja karley. Isey faraj tight hojaeygi jis sey aapko ziyada lutf aiga, aur biwi bhi nisbaatan jald orgasm hasil kar leygi.
  15. Jinsi amal sey pehley ek doosrey kay kaprey utarna bhi ek lutf angaez marhala hai. Biwi ka ezarband aur bra kay hook iss tarhan kay hon jisko aap aasani sey khol sakein. Behter hai kay aap iss ki baqaida mushq karlein. Warna ezarband aur bra ko kholtey kholtey aap kay jazbaat sard par jaein gey.
  16. Taqaddus ka taqaza hai kay mubashrat (intercourse)  kay waqt apka mu'nh Kaabey ki taraf naa ho. lekin Quran-o-Hadisss mein isstarhan kay wazeh ahkamat mojood nahi.
  17. Mubashrat (intercourse)  foran shuru naa ki jaey. Iss surat mein ap jaldi discharge ho jaein gey. Jab kay biwi ko orgasm hasil naa karney ki wajah sey frustration aur bey sukooni mehsoos hogi. Aurat ko jinsi amal kay tayar honay mein kamsey kam 30 mins lag jaatey hain. Issliye mubashrat (intercourse)  sey pehley half hour foreplay zaroor kareyn.
  18. Mubashrat (intercourse) faraj mein hogi. Maqad mein haram hai. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya " Jo shakhs apni aurat ki maqad mein badfaeli karey woh mal'oon hai khuda iss ki taraf nazar rehmat aur shafqat sey nahi dekhta".(Abu Dawood, Tirmizi)
  19. Aurton ka khayal hota hai kay zakar ko kab penetrate karna hai jabkay mard ko yeh pata hi nahi hota. Lehaza jab aurat kay jinsi jazbaat urooj per hun to woh mian ko dakhil karney ka isshara karey aur iss kay saath hi dakhool mein mian ko madad karey ta'kay iss ko dakhool mein problem naa ho. Iss kay liye woh zakar ko hath mein pakar kay faraj mein dakhil kar sakti hai. lekin agar aapko sur'at e inzal ka masla hai aur biwi kay hath laganay sey discharge ka khatra hai to biwi apkay zakar ko hath laganay kay bajaey apni aaza-e-makhsoosa (vulva) kay lips ko khol dey ta'kay ap aasani sey dakhil kar sakein. Biwi ki taraf sey cooperation aur guidance na karney ki surat mein bohut sey mard dakhool ki koshish mein bahir hi discharge ho jatey hain. Jis sey biwi ko shadeed frustration aur aapko sharmindagi hogi.
  20. Aap mubashrat (intercourse)  kay kam sey kam 4-5 methods mein achi tarhan maharat hasil karley aur har bar mukhtalif method sey mubashrat (intercourse)  kareyn. Aik hi method ko bar bar use karney sey boriyat ho jaati hai aur aurat ki sex mein dilchaspi kam ho jati hai.  
  21. Islam mein haez (menses) kay dino mein mubashrat (intercourse) sey mana kara hai. Quran mein irshad hai " Haez mein aurton sey bachoo. Inn sey mubashrat naa karo jab tak woh paak naa ho jaein. To jab paak hojaein to iss kay pas iss jagah aao jiska Allah nay tumko hukum diya hai". ( Albaqrah 222) Haez (menses) mein mubashrat (intercourse)  naa karney wali khawateen uterus kay cancer sey mehfooz rehti hain. Issi tarhan nifas mein bhi aurat sey mubashrat (intercourse)  mana hai. Child birth kay baad aurat ko jo blood aata hai woh nifas kehlata hai.
  22. Jaiysey hi aapka zakar biwi ki faraj mein dakhil ho ghussul wajib hojata hai chahey ap discharge ho yeh nahi.(Tirmizi)
  23. Mubashrat (intercourse)  kay baad ghusl e janabat wajib hai. Ghusl sonay sey pehley afzal hai. Wazoo yeh tayamu'nhm bhi kara ja sakta hai. Yeh sonay sey pehley organ ko saf karliye jaey aur ghussul subha ko karliye jaey. Allah kay naabhi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) kabhi kabhi paani use karey bagbaal sojaatey aur subha fajer sey pehley ghussul farmaatey. (Bukhari, Muslim, Ma'uta Imam Muhammsd, Nissey) Albatta agar aap mubashrat (intercourse)  kay baad aur ghussul sey pehley kuch khanaa penaa chahey to wazoo karna afzal hai. (Bukhari, Muslim)
  24. Agar ap doosri baar mubashrat (intercourse)  karna chahey to organ dhunay kay baad wazoo karliye jaey yeh kamsey kam organ ko hi dho liye jaeyi. Yeh sab kuch Hazrat Muhammad(P.B.U.H) sey sabit hai. (Muslim, Mota Imam Malik)
  25. Mubashrat (intercourse)  mein discharge kay waqt mard ki sari mani (semen) khali nahi hoti bul kay kuch mani (semen) pashab ki naali mein rah jaati hai. Isey pisshab ki naali mein infection ho sakta hai. Lehaza mubashrat (intercourse)  kay baad pisshab karna sehat kay usulon kay mutabiq ek faidey mand cheez hai.
  26. Aam raton ki tarhan ap ramzan ki raton mein bhi mubashrat (intercourse) sey lutf andooz ho saktai hai. Quran mein irshad hai "Tumharey liye rozon kay samanay mein rat ko apni biwiyon kay pas janaa halal kardiya . Jo lutf Allah nay tumharey liye jaeyz kardiya ussey hasil karo." (Al-Baqra 187)
  27. Mubashrat (intercourse)  sey pehley yeh dua pharli jaey. Hazrat Abdullah sey marvi hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) farmaya hai kay jab tum mein sey koi shakhs ham bistari kay liye biwi kay pas ai to yeh dua parhey     Tarjuma: Ya Allah! humein shetan sey mehfooz rakh aur iss aulad ko bhi jo to humko ata farmein. (Bukhari) 
  28. Aap ko chahiyie kay mubashrat (intercourse)  kay foran baad biwi sey alag naa hojaeyn biwi kay saath liptai rahey chahey kuch seconds kay liye hi kyun naa ho. Yeh aurat kay liye bohut lutf angaez hai. 
  29. Agar ap mubashrat (intercourse)  mein condom use kartey hain to issko charhanay aur utarney ki khoob practice karleyn. Utarney kay liye yeh to discharge kay baad tanau (erection) khatam honay wai pehley hi utarleyn warnaa yeh faraj kay ander rah jaeyga yeh phir isska woh hissa jo bahir hai discharge kay baad issko pakar leyn. Iss tarhan tanau (erection) khatam honay kay baad bhi ap issko aasani sey bahir nikal sakayngai.
  30. Heart Attack aur hernia kay operaation kay kuch arsey baad foreplay aur mubashrat (intercourse) sey perhaiz kareyn. Iss mein mubashrat (intercourse) sey pehley apney doctor sey mashwara karey...

            GIVE YOUR COMMENTS PLEASE....!!!


Friday, 24 August 2012

INFERTILITY (BAANJHPAN)

BAANJHPAN (INFERTILITY)

 American research kay mutabiq wahan 12% log aulad paeda karney kay qabil nahi. Ek research sey maloom hua kay infertility waley afraad mein sey 33% mardon mein naqs hai aur 33% aurton mein aur baqi donon mein. Ek doosri research kay mutabiq 40% mard infertility ka shikar hain. Aaj kal banjhpan ka masla kafi aam hai. 5 couples mein sey 1 couple iss ka shikar hai (Rashid Latif) iss mein kabhi mard mein problem hota hai aur kabhi aurat mein aur kabhi donon mein. Ek research kay mutabiq banjhpan kay responsible 33% mard hotey hain. 33% aurtein hoti hain aur 33% donon hotey hain.

INFERTILITY IN MAN:

Mardon kay banjhpan ki ek hi wajah hoti hai. Inn kay active motile sperms ki tadaad kam hoti hai. Mard kay ek baar discharge honay per mani (semen) ki miqdaar average 3.5ml hoti hai (mera ek patient ki miqdaar 8ml thee) jis mein 20 crore sey 1 arab sperms hotey hain. Average 40 crore sperm hotey hain. Mard ki body mein rozana 30 crore sperms bantey hain. Garmi aur zyada exercise sperms ki tadaad ko kam karti hai. Lekin agar 3 months garmi sey door raha jaey aur 3 month exercise na ki jaey to halaat normal ho jatey hain. Iss kay elawa shadeed beemari, sakht mehnat aur stress bhi sperms ki tadaad ko kam kartey hain. Computer per zyada der bethney sey bhi sperms ki tadaad kam ho jati hai. Bachey ki paedaesh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hai magar ek sperm ka fallopian tubes tak pohonchney kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Bohut sey rastey mein hi mar jatey hain aur bohut sey ghalat tube mein chaley jatey hain. 2 tube mein sey kisi ek mein egg hota hai. Yani bachey ki paedaesh kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Iss soorat mein amooman beti paeda hoti hai. Kabhi kabhi 2 crore sperms sey bhi bacha paeda ho jata hai.

Mardon main Banchpan ki wajoohat:

  1. Sehatmand sperms ki tadaad main kami hona.
  2. Sehatmand sperms bilkul hi na hona.

 Apney infertility causes (banjhpan ki wajah) jannay kay liye aap apni mani (semen) ka tajziya karaein. Behter hai kay mani (semen) lab mein hi nikali jaey. Ghar sey ley janay ki soorat mein amooman result sahi nahi ata. Agar ghar sey ley jana zaroori ho to aap 15min kay ander ander isey lab mein pohncha dein. Agar aap mein kharabi hai to last result nikalney sey pehley kam az kam ek aur lab sey mani (semen) ka test karwaein. Agar donon report sey maloom ho kay kharabi aap mein hai to bhi pur sukoon rahein aur kisi achey urologist sey milein. Aaj kal aisi medicines market mein aa chuki hain jin ki madad sey iss masley ko hal kya ja sakta hai.

Sperms ki tadaad barhany k kuch tariqay:

  • Cigarette noshi sperm ki dushman hai. Ek research sey pata chalta hai kay cigarette noshi sey 15% sperm kam hojaatey hain. Iss kay elwa cigarette noshi ki wajah sey sperm ovum kay ander dakhil nahi hosakta, jis ki wajah sey ovum bar awar naa hoga. Lehaza agar aap cigarette noshi kartey hain to husool-e-aulad kay liye chor dein.
  • Sharab noshi bhi sperm kay liay nuqsan dey hai. Iss sey sperm khusoosan naazuk Y sperm mar jaatey hain. Chunancha sharab noshi bhi tark kardein. Sharabnoshi gunah e kabeera hai.
  • Apney weight ko kam karein. Motapey ki sorat mein khusyey jism kay saath lagey rehtey hain. Jis ki wajah sey in ka darja e hararat barh jata hai aur iss sey sperm mar jatey hain research sey maloom hua hai kay motey aadmi kay khusyey ka darja e hararat nisbatan zyada hota hai jis ki wajah sey bohut sey sperm mar jatey hain.
  •  Khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat sey kam hota hai. Agar in ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojaey to bhi sperms mar jatey hain. Agar aap tight dresses khusoosan tight underwear pehentey hain to aap kay khusyey aksar auqat aap kay jism kay sath lagey rehtey hain jis ki wajah sey khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojata hai jo kay sperms kay liye nuqsandeh hai. Lehaza khula libas pehnein khusoosan garmiyom mein aap kay khusyey zyada der jism kay sath na lagey rahein.
  • Garmi sperms ki dushman hai. Lehaza garam pani mein zyada der tak naa bethein, zyada der tak garam pani sey na bath lein, apney khusyey ko thanda rakhein. Jab bhi bath room jaein khusyey per 1 – 2 minute kay liye thanda pani dalein. Aag kay qareeb kaam karney walon kay han aksar larkiyan paeda hoti hain. Garmi sey Y chromosomes jald mar jatey hain.
  • Jo log rozana zyada driving kartey hain, engine ki garmi ki wajah sey inn kay sehatmand sperm count kam ho jata hai. Iss kay liye apney neechey hawa dar seat rakhein. Har 1 yeh 2 hours baad khusyon ko cold pani sey wash karein.
  • Diet mutawazin ho jis mein sarey vitamin khusoosan vitamin A, aur vitamin E ka zyada use ho.
  • Ek research sey maloom hua hai kay zyada run aur cycle chalaney sey 2 week mein Sperm Count 29% kam ho jati hai. Yani bohut zyada exercise bhi sperms kay liye nuqsandeh sabit hogi.

  •  Baaz chemicals maslan karm kash medicine, glycol ether jo ka printing aur gond waghaera bananey mein use hota hain bhi sperms kay liye nuqsandeh hain. Karm kash medicine ka spray kartey waqt khusoosi ahtiyat ki zaroorat hai.
  • Research ma yeh bhi maloom hua hai kay computer kay samney zyada der bethney sey bhi sperm ki tadad kam hojati hai jis ki wajah sey aisey afraad kay han aksar larkiyan paeda hoti hai.
  • Zehni stress bhi sperm ka bohut bara dushman hai. Yeh sperm kay count ko kam karta hai. Lehaza iss sey bachein aur hamesha pursukoon rahnay ki koshish karein.

INFERTILITY IN WOMEN



Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.

  Aurton mein baanjhpan (infertility in women) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein. Apni biwi ki kharabi ko jannay kay liye kisi mahir doctor sey rabta karian khawateen ki bohut si bemariyan qabil-e-elaj hain.

GHUSL-E-JANABAT KA TARIKA

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Hazrat Ayesha riwayat farmati hain kay jab Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ghusl e janabat ka irada farmatey to (Iss tarhan) shuru kartey kay (Pehley) donon hathon (Pohncho tak) dhotey, phir wuzu kartey jis tarhan namaz kay liye wuzu kartey. Phir apni ungliyan pani mein (Tar karney kay liye) dakhil kar kay nikaltey aur inn sey apney balon ki jaron ko khalal kartey. Phir apney donon hathon kay sath 3 chullu pani apney sar per daltey iss kay baad apney tamam badan per pani bahatey. (Muslim, Bukhari)

Umm ul momineen Hazrat Maimoona biyan karti hain kay mein ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ghusl kay liye pani ka ahtemam kya. Chunancha (jab ap ghusl farmaney lagey to) aap ney apney dae'in hath sey bae'in hath per pani daal kar donon hathon ko dhoya phir apni sharam gah ko dhoya. Phir aap ney apney hath ko zameen per rakh kar mitti sey ragrra aur phir iss ko dho dala. Iss kay baad kulli kari aur naak mein pani charhaya phir chehrey ko dhoya aur sar per pani dala phir iss jagah sey hutt kar aap ney apney donon pao'n dhoey. Phir aap ko roomal paesh kya gaya lekin aap ney iss sey na poncha. (Muslim, Bukhari)

Hazrat Ali sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jo shakhs ghusl e janabat mein ek baal ki jagah bhi bina dhoey chorey ga usko azaab hoga. (Abu Dawood) magar aurton kay liye kuch riayat hai.

Hazrat Salma sey riwayat hai kay meiney arz ki Hazrat Muhammad (P.B.U.H) mein apney sar ki choti mazbooti sey goondhti hun to kya ghusl e janabat kay liye iss ko khol dalon. Farmaya nahi. Tujh ko sirf yehi kifayat karta hai kay sar per 3 lab pani daley, phir apney ooper pani baha ley paak ho jaey gi. (Muslim)


ORAL SEX

Oral Sex

Sexual Satisfaction Alternatives

Maghrib mein aaj kal oral sex ki waba aam hai. Wahan taqreeban 90% mard aur khawateen iss mein mulawwis hain. Oral sex mein husband wife ek doosrey kay sex organs ko mouth kay zariye stimulate (Choomna, Chatna, Choosna etc) kar kay orgasm hasil kartey hain. Hamarey yahan bhi kuch log jinsi lutf kay liye yeh tareeqa use kartey hain. Isey 69 game bhi kaha jata hai. (Hyde)

Oral sex kay 2 aspects hain. Ek sehat ka aur doosra mazhab ka. Sehat kay lehaz sey iss ka sab sey big nuqsan yeh hai kay iss kay zariye ek shakhs ki beemari maslan aids aur doosri jinsi beemariyan doosrey shakhs ko jald transfer ho jati hain. Agarcha aurat kay genital organ aur mard kay genital organ sey nikalney wala mawaad koi khas nuqsan deh nahi. Mahireen ka khayal hai kay yeh mawaad thook sey kam harmful hai jo kay French kissing mein ek doosrey kay mouth mein chala jata hai. (Reuben, Woman And Body) Religious point of view sey ulma ki raey mein ikhtilaf hai. Imam Hambal kay manney waley iss ko jaez samajtey hain. Hum ney Lahore kay fiqa e hanfiya kay ek famous idarey sey bhi fatwa liya. Unhoney iss ko aam halat mein makrooh qarar diya aur kaha kay agar mani (seminal fluid) aurat kay mouth mein chali jaey to haram hoga. Baaz doosrey ulma ney iss ko haram qarar diya hai magar iss kay haram honay ki Quran o sunnah mein koi wazeh daleel nahi hai. Zaati tor per mujhey isey shadeed karahiyat hai.


LEUCORRHEA - WOMEN'S DISEASE

Leucorrhea

 Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.

Leucorrhea Treatment:


Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey ghusl farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein.

Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.



Frigidity In Women

Khawateen Mein Sardmehri:

Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton mein jinsi khwahish (libido) aur raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse) per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse). Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.

Menopause:

Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses) band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12 month kay baad 50 saala aurat banjh ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley chest mein hota hai phir gardan aur face mein.


Menopause Symptoms

Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan:


Face red ho jata hai. Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat, neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly koi ta'alluq nahi hai.

Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai.

Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan, bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.

Low Libido In Women:

Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain.

  Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde).

Monday, 20 August 2012

INTERCOURSE IN ISLAM IN URDU

Mubashrat (Intercourse) In Islam In urdu

 Azdwajii zindagi ki buniyad mubashrat (Intercourse) hai. Allah kay nabbi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nai jaiz tareeqai sey jinsi khwahish ki takmeel ko sadqa aur naiki qarar diya hai. Jiska zojain ko sawab milta hai. (Sahi Muslim)
  Pakistani muashrey mein yeh bat bohut famous hai kay khawateen kay liye mubashrat (Intercourse) aik bohut painful amal hai. Jiski wajha sey aksar khawateen jinsi amal sey khauf zada hoti hain. Yeh khawateen mubashrat (Intercourse) sey lutf andooz nahi hotin aur apnai husband kay sath cooperate nahi Karti. Jo biwi mubashirat mein apnai husband kay sath tawun na karai Allah kay nabbi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ershad kay mutabiq fareshtai sari rat usper lanat bhaijtain hain. (Muslim, Bukhari, Nesai)
     Buniyadi tor per mubashrat (Intercourse) husband wife dono kay liye bohut hi lutf aur sukoon daina wala amal hai. Quran mein ershad hai "Esnai tumhari hi jins sey tumharai liye jorai paeda karai taqai enkai sath milkar tum sukoon aur etminan hasil karoo" (Surah Rom Ayat 21)
     Agarcha shuru mein aik aad bar hymen kay rupture honay ki wajha sey khawateen ko kuch pain hota hai. Albatta baaz khawateen ko mubashrat (Intercourse) mein takleef (pain)hoti hai jo kay aik beemari hai jissai Dyspareunia kaha jata hai. Eski wajha ya to mubashrat (Intercourse) ka khauf hota hai yeh phir wajaina mein infection waghaira. Baaz auqat aurat mubashrat (Intercourse) kay liye puri tarhan tayar nahi hoti jiski wajha sey iss kay vagina mein lubrication nahi hoti. Chunancha aurat mubashrat (Intercourse) mein takleef mehsoos karti hai.
           Es tarhan kabhi kabhar hymen mukammal tor per rupture nahi hota, essai bhi takleef hoti hai. Iss kay elawa vagina yeh vulva mein koi allergy yeh infection bhi hosakta hai. Usually mubashrat (Intercourse) koi takleefdai process nahi hai. Agar biwi mubashrat (Intercourse) kay doran pursukoon aur relax rahey to lutf aiga. Taham baaz auqat deep dakhool (penetration) aur zoor daar strokes bhi takleef ka sabab bantai hain. Usually mubashrat (Intercourse) ka pain pahla Chund martaba kay mubashrat (Intercourse) mein hota hai. Iss kay baad lutf hi lutf. (Mobeen).

Mubashrat (Intercourse) Ka Sharaee Tariqa:

    Mubashrat (Intercourse) kay bohut sey famous tareeqai hain. Famous method missionary tareeqa hai. Iss mein wife neechey jabkai husband ooper hota hai. Iss mein dakhool (penetration) easy hai magar iss mein penis bazer (Clitoris) ko touch nahi karta jiski wajha sey aurat zyada lutf andooz nahi hoti. Yeh tareeqa pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi munasib nahi. Hamara yaha yeh tareeqa hi sab sey zyada use hota hai. Baaz log jahalat ki wajha sey esko Islami tareeqa qarar daitain hain jiski wajha sey bohut si khawateen apnai husband ko mubashrat (Intercourse) ka koi dusra method use Karney nahi daitin. Halankay Hazrat Muhammad(P.BU.H) nai kisi tareeqai ko Islami tareeqa qarar nahi diya. Aurat kay zyada jinsi lutf kay liye mard neechey aur aurat ka ooper wala tareeqa zyada mufeed hai. Iss mein aurat apni marzi sey bazer (Clitoris) ko penis kay sath rub kar sakti hai aur pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi yeh tareeqa mufeed hai.

Orgasm Or

Jinsi Lutf Ki Inteha

 Madina mein shuru shuru mein missionary tareeqey kay elawa doosrey tareeqey raij nahi thay. Hazrat Jabir biyan kartey hain kay yahoodion ka kehna hai kay agar koi shohar apni biwi kay peechey ki taraf reh kar mubashrat (Intercourse) karey to iss surat mein bhaenga bacha paeda hoga chunancha "Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao". Agar koi chahey to peechey ki taraf reh kar bhi mubashrat kar sakta hai lekin mubashrat sirf ek rastey faraj sey honi chahiyie. (Muslim) yahoodion kay asar ki wajah sey Madina mein ansar missionary method kay elawa doosrey methods ko jaeiz nahi samajhtey thay, Yahan tak kay Quran mein ayat nazil hui. 'Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao' (Surah Baqra Ayat 223) albatta anus mein dakhool (penetration) haram hai.

Orgasm (Sexual Climax):

    Jinsi lutf ki intiha ko orgasm kaha jata hai. Mard aur aurat kay orgasm mein farq hai. Mard ka orgasm kay foran baad inzal (discharge) ho jata hai jab kay aurton ka mardon ki tarhan discharge nahi hota. Albatta 5% aurtein pani kharij karti hain. Mard orgasm ki hadd tak jald pohonch jata hai aur iss ka duration bhi kam hota hai aur woh jald normal halat mein aa jata hai. Jab kay aurat der sey orgasm hasil karti hai aur iss ka orgasm der tak rehta hai. Iss ko normal honay mein bhi zyada waqt lagta hai. Ek bara farq yeh hai kay mard taqreeban har bar orgasm hasil kar leta hai jab kay sirf 30% aurtein har bar orgasm hasil karti hain. 10% kabhi orgasm hasil nahi kartiin. Unko nafsiyati elaj aur baaz auqat operation ki zarorat parti hai.
 Mard usually ek mubashrat (Intercourse) mein ek orgasm hasil karta hai jab kay aurat ek mubashrat (Intercourse) mein ek sey zyada orgasm hasil kar sakti hai. Ek experiment mein ek aurat ney 50 orgasm hasil karey. Iss kay elawa mard usually pehley orgasm mein zyada lutf uthata hai jab kay aurat doosrey, teesrey orgasm mein zyada lutf uthati hai. Hite kay survey kay mutabiq agar chahein to tamam aurtein ek sey zyada orgasm hasil karney ki salahiyat rakhti hain. Aurat mubashrat (Intercourse) ki nisbat musht zani (masturbation) sey jald orgasm hasil kar leti hai. (Hite: Hyde)

Types Of Female Orgasms

Aurton Kay Orgasm Ki Aqsaam

Aurton ka orgasm 2 types ka hota hai.
(Types Of Female Orgasm)
  1. Dakhooli (Vaginal)
  2. Bazeri (Clitoral)
    Master and Johnson kay mutabiq har aurat indirectly or directly clitoral stimulation sey hi orgasm hasil karti hai jab kay doosrey mahireen ka khayal hai kay taqreeban 80% aurtein clitoral stimulation sey aur baqi dakhool (penetration) sey orgasm hasil karti hain. Sherry Hite kay survey kay mutabiq taqreeban tamam aurton ko orgasm hasil karney kay liye clitoral stimulation ki zaroorat hai. Yani bohut bari tadaad sirf dakhool (penetration) sey orgasm hasil nahi karti, chahey mubashrat (Intercourse) 2 hours tak jari rahey. Aurat ka asal sensitive part bazer (Clitoris) hai jo kay vagina sey door labia minora kay ooper waley hissey mein chicken ki kalghi ki tarhan hota hai. Aam mubashrat (Intercourse) mein penis iss ko touch nahi karta
 lehaza aksar aurton kay orgasm kay liye zaroori hai kay husband ya biwi khud mubashrat (Intercourse) kay doran bazer (Clitoris) ko finger sey stimulate karey. Kyun kay hamarey yahan husband wife donon iss haqeeqat sey aagah nahin jis ki wajah sey aurton ki ek big taadaad orgasm hasil nahi karti jiski wajah sey inki jinsi zindagi khushgawar nahi hoti. Aurat ka mubashrat (Intercourse) kay doran orgasm hasil karna zaroori nahi bul kay aurat agar mubashrat (Intercourse) sey pehley ya mubashrat kay baad dakhool (penetration) kay bajaey clitoral stimulation jo finger sey bhi ho sakta hai, sey bhi orgasm hasil karey to bhi woh bharpoor jinsi lutf hasil kar leti hai.
    Aksar mahireen kay mutabiq lutf kay lehaz sey vaginal aur clitoral orgasm donon baraber hain magar Hite kay survey kay mutabiq vaginal orgasm ki nisbat clitoral orgasm zyada lutf angaez hai. In other words aurat kay jinsi lutf kay liye dakhool (penetration) zaroori nahi bul kay clitoris ko kisi bhi cheez maslan finger sey stimulate kar kay bharpoor jinsi lutf hasil kya ja sakta hai. Isi liye west mein 90% sey zyada khawateen musht zani (masturbation) kay doran bazer (Clitoris) hi ko stimulate karti hain. Vaginal orgasm ki soorat mein zaroori hai kay mard 5 ta 10 minute mubashrat (Intercourse) ko jari rakh sakey kyun kay aurat ko orgasm kay liye dakhool (penetration) kay baad 5 minutes sey zyada fast stroking ki zaroorat hai jab kay mardon ki bohut bari tadaad taqreeban 90% fitri tor per 2 ta 3.5 minutes sey zyada der tak mubashrat (Intercourse) jari nahi rakh saktey. Lehaza aurat kay orgasm kay liye bazer (Clitoris) ka stimulation zarori hai chahey finger sey hi kyun na ho. Albatta baaz khawateen sirf pistaan kay ishteaal (Breast Stimulation) sey bhi orgasm hasil kar leti hain aur kuch khawateen sirf imagination sey hi orgasm hasil kar leti hain. Ek aurat kay liye har bar orgasm hasil karna zaroori nahi hota. Bohut si aurton kay liye qurbat ka ahsas, touch honay ka ahsas, hath phaerna aur husband ki taraf sey foreplay zyada lutf angaez hota hai jis sey woh jinsi lutf aur sukoon hasil karleti hain. (Zakir).

How To Get Orgasm:

Aurton Kay Liye Har Bar Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?

Aam khayal hai kay khushgawar azdawaji zindagi kay liye aurat ko mubashrat (Intercourse) mein har bar orgasm hasil karna chahiyie jab kay haqeeqat mein aisa nahi. 1994 mein America ki university ki ek research kay mutabiq sirf 33% sey kuch kam aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Shaadi kay shuru mein yani jawani mein aurtein kam orgasm hasil karti hain jab kay 30 saal kay baad aurtein zyada orgasm hasil karti hain. Ek survey mein 50% khawateen ney tasleem kya kay woh hamesha orgasm hasil nahi karti magar inki azdawaji zindagi bey hudd khushgawar hai. Doosri taraf bohut si khawateen ney bataya kay woh hamesha orgasm hasil karti hain magar inki azdawaji zindagi bohut khushgawar nahi. Agarcha khushgawar azdawaji zindagi kay liye orgasm zaroori hai magar sirf orgasm kafi nahi bul kay ek mohabbat aur khayal rakhney wala insan bhi zaroori hai. (Zakir: Stefan)
  Merey ek client kay bhai ki shadi hui lekin biwi iss shadi sey mutmain na thi, kyun kay wohorgasm hasil nahi karti thi. Baad mein iss aurat ka bacha paeda ho gaya to merey client ney apni bhabhi sey tanziya kaha kay tum to kehti thiin kay miyan mujhey mutmain nahi kar pata phir yeh bacha kaisey paeda ho gaya.  Ek research sey sabit hua hai kay bachey ki paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Aurat ki taraf sey sirf egg ki zaroorat hai aur egg kay ikhraj ka aurat kay orgasm sey koi ta'alluq nahi. (Zakir)
 Hamarey yahan aam logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf aur bachey ki paedaesh kay liye donon husband wife ka ek hi waqt jinsi urooj tak pohonchna zaroori hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Jinsi lutf kay liye donon ka orgasm hasil karna zaroori hai. Chahey husband wife mein ek pehley orgasm hasil karley aur doosra baad mein. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Agar aap ko betey ki khwahish hai to agar biwi pehley orgasm hasil karley to mufeed hai. Nabi Kareem Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay miyan biwi mein sey jiska pani ghalib aaey ga aulad iss per hogi. (Mashkawa) Ek aur research sey maloom hua kay woh  aurtein jo mard sey pehley orgasm hasil karti hain (chahey tariqa koi bhi ho) woh sex sey zyada lutf andoz hoti hain. (Zakir)
La ilmi ki wajah sey humarey yahan yeh baat mashhoor hai kay aurat bhi mubashrat(Intercourse) mein mard ki tarhan mani (seminal fluid) discharge karti hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Aurtein jab jinsi tor per stimulate hoti hain to inki vagina geeli ho jati hai aur yeh iss cheez ki alamat hai kay aurat mubashrat (Intercourse) kay liye tayyar hai aur yeh secretion iss liye hoti hai kay dakhool (penetration) aasan ho aur aurat aur mard ko mubashrat (Intercourse) mein takleef na ho. Magar aurtein hargiz mardon ki tarhan orgasm mein mani (seminal fluid) discharge nahi kartiin. Albatta 5% aurtein orgasm mein pani kharij karti hain jo kay mani (semen) nahi hota. (Dastoor: Zakir) 

Sexual Pleasure For Men

Jinsi Lutf Sirf Mardon Kay Liye:

Aurtein Bhi Mubashrat Mein Mardon Ki Tarhan Mani Ka Ikhraj Karti Hain?

Humarey yahan yeh baat bhi mashhoor hai kay jinsi lutf sirf mard kay liye hai. Aurat ka kaam sirf yeh hai kay woh mard ko har tarhan sey jinsi lutf fraham karey. Is liye humarey yahan biwi sirf husband ko jinsi lutf fraham karney wali ek machine hai jisey khud jinsi lutf ki zaroorat nahi. Humarey yahan aurat ka jinsi lutf hasil karna mayoob (bura) samjha jata hai. Halan kay Allah ney jinsi milap mein husband aur wife donon kay liye sukoon rakha hai. Chunkay humarey muasharey mein aurat ka sex sey lutf andoz hona acha nahi samjha jata, jiski wajah sey aurat ki jinsi taskeen ka bandobast ya koshish nahi ki jati. Jiski wajah sey aurat shadeed frustration ka shikar hoti hai aur ghar mein laraii jhagrey hotey hain.
        Puri duniya mein sex ko ek gandi aur na pasandeeda cheez samjha jata hai. (Dastoor) Isliye khawateen kay bohut sey jinsi masail ki bari wajah yehi ghalat tasawwur hai. Islam mein baghaer nikah kay jinsi amal na sirf buri aur gandi cheez hai bul kay bohut bara gunah (sin) hai. Jab kay nikah kay baad jinsi amal na sirf gandi cheez nahi bul kay ek pasandeeda amal hai. Jisko Allah kay nabi Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ney sadqa aur naeki qarar diya hai. Nikah kay baad jinsi amal mein shareek ho kar husband wife donon ajar aur sawab kay mustahiq ho jatey hain.

Kya Aurat Sex Ko Pasand Nahi Karti? 

    Logon mein ek aam khayal yeh bhi paya jata hai kay aurtein sex ko zyada pasand nahi kartiin. Iss khayal ki ek bari wajah yeh hai kay mubashrat (Intercourse) kay doran khawateen active kay bajaey passive role ada karti hain. Yani foreplay aur mubashrat (Intercourse) kay doran aurtein amooman khamosh leti rehti hain. Zinda lash ki tarhan, iss doran jo karna hai mard ney karna hai. Khawateen khwahish kay bawajood mubashrat (Intercourse) meinsexually active kirdar ada nahi kartiin. Issi tarhan hamarey yahan aurat amooman pehel nahi karti. Doosrey mafroozon ki tarhan yeh bhi ek ghalat mafrooza hai. Kyun kay mard aur aurat donon hi sex ko pasand kartey hain. Donon mubashrat (Intercourse) kay khwahishmand hain lekin mashriqi sharm o haya aur ilm ki kami ki wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein active role play nahi karti. Agar aap ko waqaee sex na pasand hai ya iss sey nafrat hai to foran kisi mahir e nafsiyat sey raabta karein ta kay.
 woh apka nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde)  


Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?

    Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh baat bitha di gaee hai ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat nahi kartey ya unko pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh baat na sirf mashriq mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss baat ki koi haqeeqat nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada comfortable feel kartey hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein dilchaspi leti hain. (Angelis)

Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot?

    Yeh baat bar bar suni jati hai kay aurton mein jinsi khwahish (sexual desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat mein chahey janey ki khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak jinsi khwahish (libido) ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch researchers ka khayal hai kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber hain aur kuch ka khayal hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada hai. Darasal aurat mein mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard mein mubashrat (Intercourse) ki. 'Woman wants to talk man wants to do'. Lehaza science kay mutabiq yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein jinsi jazbat mard sey 8 guna zyada hain. (Zakir: Hyde)

Frequent Intercourse

Kasrat e Mubashrat

Frequent Intercourse Is Harmful:

    26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada mubashrat (Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat (Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi. Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)

Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai? 

    Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant)hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay burey asraat nahi partey.  Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki sehat muta'assir nahi hoti lekin agar pregnancy kay doran aur bachey ki paedaesh kay baad isey achi khoorak nahi milti to waqaee iss ki sehat muta'assir hogi. Maghrib mein specially America mein naujawan larkey larkiyan choti age mein shadi kay shoqeen hain. Wahan per bohut bari tadaad 20 saal sey pehley shadi kar leti hai. Meiney wahan kisi aisi larki ki sehat kharab nahi dekhi kyun kay wahan unko achi khoorak hasil hai.

Sex Aur Age:

Zyada Age Ka Husband Naujawan Biwi Ko Satisfy Nahi Kar Sakta?

    29 years old Imrana rich parents ki beti thee aur kaee nafsiyati beemarion ka shikar thee. Imrana ki shakal wajibi thi. Iss liye abhi tak iss ka koi sahi rishta nahi mila. Ab iss ki shadeed khwahish thee kay shadi ho jaey. Iss ka husband iss ka khayal rakhney wala aur mohabbat karney wala ho. Badqismati sey iss ko parents sey puri mohabbat nahi mili thee. Isey apna ek colleague jiski age 41 years thee pasand aa gaya. Jab iss ki friends ko pata chala to unhon ney daraya kay woh iss ko jinsi tor per satisfy nahi kar paey ga lekin haqeeqat yeh hai kay husband wife mein 10 or 11 years ka farq koi farq nahi aur sexual satisfaction ka ta'alluq age kay sath hargiz nahi bul kay technique kay sath hota hai. Humarey clinic mein jinsi tor per unsatisfaction kay hawaley sey zyada ter naujawan larkon ki biwiyan hi aati hain jinhein woh ilm ki kami ki wajah sey satisfy nahi kar patey.

Female Sexual Desire - Libido

Aurat Kay Jism Per Baal:

    Kahin kahin ek khayal yeh bhi paya jata hai kay woh aurat jis kay jism per zyada baal hon woh zyada shahoot parast hoti hai. Magar iss ka koi scientific proof nahi. Taham baaz aurtein zyada unwanted hairs ki wajah sey pareshan ho jati hain. Aaj kay daur mein pareshan honay ki zaroorat nahi. Ab aisey bohut sey tareeqey eejad ho chukey hain jinki madad sey inn unwanted hairs ko hamesha kay liye khatam kya ja sakta hai. (Zakir: Mobeen) 

Aurton Ki Jinsi Khwahish Mein Tabdeeli:

    Aurton kay jinsi khwahish hamesha ek jaisi nahi rehti bul kay iss mein changes aatey rehtey hain kabhi zyada to kabhi kam. Baaz aurton ki jinsi khwahish (libido) uss waqt zyada hojati hai jab ovulation ka waqt ho. Issi tarhan aksar khawateen ki jinsi khwahish mahwaari (menses) shuru honay sey pehley aur baaz ki mahwaari (menses) kay doran zyada hojati hai. Magar yeh change har khatoon mein nahi ata. Issi tarhan mahwaari (menses) khatam honay per baaz khawateen ki jinsi khwahish kam ho jati hai. (Hyde)

Aurat Aur Jinsi Tasawwuraat:

    Mahireen kay mukhtalif survey sey yeh baat samney aaee hai kay maghribi khawateen ki majority musht zani (masturbation) aur mubashrat (Intercourse) kay doran jinsi lutf ko zyada karney kay liye mukhtalif qism kay jinsi tasawwur karti hai. Baaz mahireen ka khayal hai kay tamam aurtein kabhi na kabhi jinsi tasawwuraat sey lutfandoz hoti hain.
 Inn jinsi tasawwurat mein aurat kisi kay sath foreplay aur mubashrat sey lutfandoz hoti hai. Agar yeh tasawwurat zaroorat sey zyada hun to phir yeh normal azdawaji zindagi mein rukawat sabit hotey hain. Meri ek 28 saala married client apney husband kay sath mubashrat (Intercourse) mein bharpoor shirkat nahi karti. Iss ney mujhey bataya kay woh tasawwur ki madad sey zyada jinsi lutf hasil kar leti hai aur woh 6 or 7 saal ki umer sey tasawwurat ki madad sey lutf hasil karti aa rahi hai. (Hyde)

Aurat Baghair Mubashrat Kay Haamla Ho Sakti Hai:

Aurat kay pregnancy kay liye mubashrat (Intercourse) aur dakhool (penetration) zaroori nahi. Aisi examples mojood hain kay ek larki pregnant ho gaee halan kay iss ney mubashrat (Intercourse) nahi ki. 22 saala Margaret check up kay liye apni family doctor kay pass gaee. Doctor ney iss ko bataya kay woh pregnant hai aur woh shadeed ghussey mein aa gaee. Iss ney cheekhtey huey doctor ko bataya kay iss ney kabhi mubashrat (Intercourse) nahi ki to pregnancy kaisey ho sakti hai. Isey bataya gaya kay baaz auqat mubashrat (Intercourse) kay baghaer foreplay kay doran mard ka discharge ho jata hai agarcha discharge vagina sey baher hua ho magar vulva kay ooper hua ho iss tarhan mani (seminal fluid) ka ek aadh drop vulva kay ander chala jata hai aur wahan sey sperm vagina mein chaley jatey hain. Issi tarhan agar aurat ek aisey kaprey sey apni vagina ko saaf karey jis per mard ki mani (semen) lagi ho to iss soorat mein bhi larki ko pregnancy honay ka imkaan hai. (Kothram: Reuben)

Wednesday, 8 August 2012

MAHWAARI (MENSES) IN URDU

Mahwaari (menses)

 Mein club sey wapis aya hi tha ka biwi ney mujhey bataya kay meri ek cousin aaj bey hosh ho gaee aur iss ko doctor kay pass ley jaya gaya. Mein pareshan ho gaya aur foran doctor sey contact kya aur maloom hua kay usko first time mahwaari (menses) aaee hai. Chunkey iss ko iss ka kuch pata nahi tha iss liye woh khoon dekh kar khauf zada ho kar bey hosh hogaee. Larki jab baloghat ki manzil mein dakhil hoti hai to iss kay jism mein ahem tareen change yeh aata hai kay iss ko mahwaari (menses) aaney lagti hai. Yeh ek fitri function hai. Yeh Allah ka inam hai kay iss sey aurat ki takmeel ho jati hai aur woh mother banney kay qabil ho jati hai. Mother jo duniya mein sab sey mohtaram hasti hai, jis kay qadmon mein jannat hai.
    Mahwaari (menses) usually 6 ta 16 saal ki umer mein shuru hoti hai. Zyada tar larkiyon ko 10 ta 14 saal kay doran shuru hoti hai jo usually 2 ta 8 din aur zyada tar 4 ta 6 din jari rehti hai. Agar yeh 18 saal kay baad bhi shuru na ho to kisi doctor sey mashwara kya jaey. Larkiyon ko iss age sey pehley iss ka pata hona chahiyie takay woh khaufzada ho kay beyhosh na hojaein. Mahwaari (menses) ki duration Islam mein kam sey kam 3 din aur 3 raat hai yani poorey 72 hours aur zyada sey zyada 10 din aur 10 raat hai. Imam Maalik aur Imam Shafai kay nazdeek ek mahwaari (menses) ki zyada sey zyada duration 15 din hai jab kay Imam Abu Hanifa kay nazdeek 10 din hai. Mahwaari (menses) kay elawa kisi beemari ki wajah sey bhi khoon aata hai jis sey istihaza kehtey hain aur child birth kay baad aaney wala khoon nifas kehlata hai. (Mobeen).

Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari:

 Menses cycle usually 28 din ka hota hai. Yani har 28 din kay baad mahwaari (menses) hoti hai. Magar baaz khawateen ka cycle kam days (22 days) aur baaz ka zyada (40 days) ka bhi ho sakta hai. Yeh badal bhi sakta hai yani kabhi 28 days aur kabhi 32 days ka. Yeh sab kuch normal hai. Mahwaari kay shuru mein red aur blackish khoon aata hai. Yani yeh khoon bilkul red nahi hota shuru mein yeh zyada aata hai magar ek din baad iss ki miqdar kam hojati hai. 3rd aur 4th day iss ka colour change ho jata hai. Hatta ka yeh ratoobat bilkul khatam ho jati hai. Iss ki miqdar sab larkiyon mein baraber nahi hoti. Kisi ka zyada aur kisi ka kam. Mahwaari (menses) sara khoon nahi hota. Iss mein 50% khoon aur baqi doosra material hota hai aur yeh khoon doosrey khoon ki tarhan jamta nahi hai. Hamal (Pregnancy) kay doran mahwaari (menses) band hojati hai. Magar baaz auqat jari rehti hai. Aisa bohut hi kam hota hai. Iss mein pareshan honay ki zaroorat nahi aur na hi iss ka elaj karaney ki zaroorat nahi. Mahwaari (menses) ka silsila usually 45 years tak chalta hai aur phir band ho jata hai. Kabhi kabhi mahwaari (menses) shuru honay kay waqt iss kay cycle mein kharabi hojati hai. Baaz larkiyon ko zindagi mein first time mahwaari (menses) aaney kay baad 2nd time ya next time mahwaari (menses) 28 din kay baad nahi aati bul kay kuch haftey (weeks) ya kuch months kay baad aatey hain. Kuch larkiyon ko shuru hi sey mahwaari (menses) baqaida waqt per aaney lagti hai.
 Jin larkiyon ko shuru shuru mein mahwaari (menses) sahi time per nahi aati hai inko bhi kuch arsey kay baad khud hi mahwaari (menses) sahi waqt per aur regular honay lagti hai. Baloghat kay ibtidaee daur mein mahwaari (menses) usually irregular hoti hai. Agar mahwaari (menses) mein bohut zyada irregularity ya khoon flow ho ya khoon ka ikhraj bohut zyada miqdar mein honay lagey to kisi achey doctor sey contact karein. (Kawal Dheer)

Premenstrual Syndrome -

Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan:

 Menstrual cycle mamooli diseases maslan flu waghaera sey disturb ho jata hai. Iss tarhan tension, udaasi, depression, anxiety, stress, khauf, trauma aur kharab general sehat ki wajah sey bhi disturb ho kar band ho jata hai. Lehaza inn dino aap ki sehat achi honi chahiyie aur aap ko zehni tor per pur sukoon hona chahiyie.
    Menstrual cycle kay doran aurat kay mood mein changes (premenstrual syndrome) aati hain maslan ovulation kay waqt aurat ka mood positive hota hai. Iss ka self confidence aur self esteem urooj per hotey hain. Magar mahwaari (menses) sey 2 ta 7 din pehley mood negative ho jata hai. Iss doran khawateen ki big ta'adad 75% sey bhi zyada tension, depression, anxiety, irritability, thakawat, death aur paralyze honay ka shadeed khauf mehsoos karti hain.
Headache kay elawa inki self esteem aur self confidence bohut hi low ho jati hai. Yeh symptoms PMS yani premenstrual syndrome kehlata hai. Inn dino aurton mein crimes ka rate zyada ho jata hai. France mein inn dinon mein honay waley crimes per PMS ki wajah sey saza mein narmi ki jati hai. Chunancha famous American Dr. Edgar Berman ney kaha tha kay koi aurat mood kay iss change ki wajah sey kisi ahem position kay liye unfit hai. (Hyde) Isi liye Islam mein mard ko family ka sarbarah banaya hai aur zindagi ki zyada tar aur zyada ahem responsibilities aurat kay bajaey mardon kay shoulders per dali gaee hain. Isi liye Islam mein kisi country mein aurat ki surbarahi ki gunjaesh nahi. Mahwaari (menses) sey pehley inn symptoms kay elaj kay liye progesterone therapy ki sifarish ki jati hai.
    Mahwaari (menses) ek napak cheez hai jis cloth per yeh khoon lag jaey iss ko wash kar kay pak kara jaey. Hazrat Asma bint e Abu Bakar riwayat karti hain kay ek aurat ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey poocha kay jis kaprey ko haez lag jaey to kya karein. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay isko chutkiyon sey mal kar pani sey dho dalna chahiyie aur phir iss mein namaz ada kari jaey. (Bukhari, Muslim) 
    Ek muslim khatoon jitney din mahwaari (menses) ki halat mein rahey itney din namaz na parhey, ramazan hun to rozey na rakhey lekin rozey baad mein qaza rakhna farz hain. Albatta itney dino ki namazein maaf hain. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai. Farmaya kay jin dinon mein haez aaey inn mein namaz chordey, phir nahaey aur har namaz kay waqt wuzu karey aur namaz parhey aur rozey rakhey. (Abu Dawood)
 Albatta istehaza mein na namaz maaf hai aur na rozey aur na hi mubashrat haram hai.

Intercourse During Menses In Islam:

 Mahwaari (menses) mein aurat kay sath mubashrat (Intercourse) haram hai. 1990 ki ek American research sey maloom hua kay mahwaari (menses) mein mubashrat (Intercourse) sey husband aur wife donon ko STDs aids waghaera lagney ka khatra bohut zyada hojata hai. (Stefan) agar mubashrat (Intercourse) kar li jaey to sakht gunah hai. Quran mein irshad hai kay
    "Aey mehboob tumsey Haez kay barey mein log sawal kartey hain tum farma do woh gandi cheez hai. To Haez mein aurton sey bacho. Inn sey qurbat na karo jab tak woh pak na ho lein. To jab pak ho jaein to unn kay paas uss jagah aoo jis ka Allah pak ney tumko hukum diya hai. Bey shak Allah dost rakhta hai toba karney walon ko aur dost rakhta hai pak honay walon ko" (Surah Baqra Ayat 222)
    Issi tarhan Hazrat Ibn e Abbas sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jab koi shakhs apni biwi sey Haez mein mubashrat karey to nisf denar sadqa dey. (Tirmizi) 
    Agarcha islam mein mahwaari (menses) mein aurat sey mubashrat (Intercourse) bilkul mana hai magar iss kay jism ka doosrey hisson sey lutf andoz honay ki ijazat hai. Hadees e Nabwi (SAW) hai kay

    Hazrat Anas Bin Maalik farmatey hain kay yahoodion mein kisi aurat ko haez aata to isey na apney sath khilatey na apney sath gharon mein rakhtey. Sahaba ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey sawal kara to iss per Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney irshad farmaya mubashrat kay siwa har shaey karo.

 Iss ki khaber yahoodiyon ko pohnchi to kehney lagey kay Nabi hamari har baat kay khilaf karna chahta hai. (Muslim, Bukhari) Iss tarhan Hazrat Maaz Bin Jaber ney arz kya "Ya Hazrat Muhammad (P.B.U.H) meri aurat haez mein ho to merey liye kiya cheez iss sey halal hai. Farmaya tehband (Naaf) sey ooper aur iss sey bachna behtar hai. (Abu Dawood)
    Mahwaari (menses) mein aurat kay liye har cheez jaez hai. Siwaey namaz, Roza, Khana e ka'aba kay ander jana aur iss ka tawaf karna, Sajda e shukar aur sajda e tilawat kay. Isi tarhan aisi aurat Quran ko na touch karey aur na hi parhey albatta quran sun sakti hai.

Precautions During Menses - Mahwaari Mein Ehtiyat:

  Mahwaari (menses) kay chund dino mein agar thori si ehtiyat (precautions) rakhi jaey to munasib hoga. Inn dinon mein neend theek aani chahiyie ta kay din kay waqt bey chaini mehsoos na ho. Larki agar mahwaari (menses) ko aam routine ki cheez samajh kay  pareshan nahi hoti aur hamesha ki tarhan din bhar apney kamon mein masroof rehti hai to yaqeenan woh raat ko neend kay mazey lootey gi.
    Mahwaari (menses) kay dino mein khoorak thori si change karli jaey. Aam dino kay muqabley mein larki ko solid ki jagah soft aur halki diet leni chahiyie. Milk, fruit juices aur pani ki zyada miqdar leni chahiyie. Green vegetables aur fruits ka zyada istemal karna chahiyie. Fried cheezon sey parhaez karna chahiyie. Diet sada aur digestible ho.
    Mahwaari (menses) mein jism kay ander kuch khas qism kay glands secretion kharij kartey hain aur in ki wajah sey paseeney (sweat) sey halki smell aaney lagti hai. Jo na sirf apney aap ko bul kay doosron ko bhi buri lagti hai. Iss smell sey mehfooz rehney kay liye jism per perfumed powder ya phir body spray waghaera use kya ja sakta hai. 
 Mahwaari (menses) kay khoon sey jism aur kapron ko bachaney kay liye kafi qism kay pads use kiye jatey hain yeh sanitary towel bazar mein farokht kiye jatey hain. Iss qism kay pads zyada saaf suthrey, aramdeh aur jaraseem sey pak hotey hain aur iss kay istemal sey kafi sahoolat ho jati hai. Yeh pads iss tarhan kay baney hotey hain kay yeh khoon ko absorb kar letey hain. Bohut si larkiyan bazari pads kay bajaey ghar kay tayyar shuda cotton aur kaprey kay pads use karti hain. Aisey pads banatey huey khayal rakha jaey kay cotton aur kapra saaf ho. Rough na ho, jaraseem sey pak ho aur khoon ko achi tarhan absorb kar sakey.
    Lagatar ek pads istemal karney kay bajaey pad ko badalna chahiyie. Ek pad ko zyada der use karney ki soorat mein smell paeda ho sakti hai aur kharish waghaera bhi ho sakti hain jo baad mein zyada ho sakti hai.

Painful Menses

Takleef deh Mahwaari:

  Aksar khawateen ki mahwaari (menses) normal hoti hai aur inko koi khas takleef nahi hoti. Magar kuch khawateen mahwaari (menses) kay doran backache, headache, Pait aur pelvic region kay dard, nausea aur pressure kay ahsas ki shikayat karti hain. Iss silsiley mein sab sey ahem masla mahwaari (menses) ka pain hai. Thora bohut pain taqreeban har aurat kabhi na kabhi feel karti hai aur yeh sab kuch normal hai. Iss pain ko Aspirin ya Panadol waghaera sey control kya ja sakta hai. (Kawal Dheer)
 Mahwaari kay dinon mein paeda honay wali takleefdeh haalat na to sangeen hoti hai aur na hi mustaqil. Iss liye pareshan honay ki zaroorat nahin bul kay aisi takleef ko aam samajh kar apney aap ko maamool kay kaamon mein masroof rakhna chahiyie. Jo larkiyan aisi kisi takleef ko zyada feel karti hain aur aksar leti rehti hain woh stress ka shikar ho kar painful condition mein phans jatin hain.
    Mahwaari (menses) ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarhan pareshani ka bais nahi hona chahiyie. Larki ko yeh samajh lena chahiyie kay yeh qudrat ka ek aam jismani process hai. Usually isey bataya jata hai kay mahwaari (menses) kay dino mein larki ki zehni aur jismani halat ek beemar jaisi hoti hai aur inn dino isko zyada aaram karna chahiyie. Yeh bhi mehez ek ghalat fehmi hai. Mahwaari (menses) mein iski halat ek mareez jaisi nahi hoti bul kay jawan hoti hui larki kay liye yeh to iss kay healthy honay ki alamat hoti hai. Iss kay zariye growth hasil karney ka amal hota hai. Isliye isko apney aap ko beemar samajh kar bister per letey nahi rehna chahiyie bul kay daily routine kay kaam kaaj mein hissa lena chahiyie. Is sey woh apney qudrati mahol mein masroof reh kar un-natural mehsoos nahi karti.  
    Baaz larkiyon ko mahwaari (menses) painful hoti hai jo kay ek beemari Dysmenorrhea hai. Yeh 2 type ka hota hai. Pehli type mein takleef uterus kay muscles stiffness ki wajah sey hota hai. Iss ka sabab heredity, jismani aur nafsiyati bhi ho sakta hai. Yeh usually naujawani kay aaghaz mein hota hai. Jab kay doosri type mein nisbatan big age mein takleef hoti hai. Iss ka sabab usually genitalia ka shrink ho jana hota hai.
  Mahwaari (menses) ka pain aksar nafsiyati hota hai. Aksar larkiyon nai suna hota hai kay  mahwaari (menses) sey takleef hoti hai. Isliye woh mahwaari (menses) kay aghaz hi sey iss sey khauf zada hoti hain aur phir iss khauf ki wajha sey uterus mein stiffness aur takleef paeda hojati hai. Larkiyon ko yeh pata hona chahiya kay mahwaari (menses) koi takleef deh cheez nahi lehaza woh relax rahein. Iss sorat mein unko mahwaari (menses) ki takleef nahi hogi. Kuch khawateen ko mahwaari (menses) sey 2 ya 3 din pehley headache, backache, pait ka dard shuru ho jata hai aur inkay pistaan (Breast) swell ho jatey hain. Kuch khawateen ko puri mahwaari (menses) kay doran dard hota hai. Yeh sab kuch normal hai koi beemari nahi. Agar takleef kuch zyada ho to gynecologist sey contact karein.

Mahwaari Mein Nahana Khatarnak Hai?

 Hamarey yahan kam parhi likhi khawateen mein yeh baat bohut hi famous hai kay mahwaari  mein nahaney (taking bath durng menses) aur organs ko pani waghaera sey saaf karney sey na sirf bohut si big beemariyan lag jati hain bul kay motapa bhi ho jata hai. Iss liye aksar khawateen inn dino pani sey perhaez karti hain. Halan kay mahwaari (menses) kay dinon mein larki ko daily apney jinsi aaza (female genital organs) ki safaee khas tor per karni chahiyie. Achi tarhan safaee na karney sey khoon ka kuch na kuch hissa yahan per jum kar smell paeda kar sakta hai. Lagataar kaee din tak safaee na karney sey inflammation ho sakti hai. Kharish aur halkey zakhm bhi ho saktey hain. Mahwaari (menses) kay doran ghusl ya jismani safaee kay liye mosam kay mutabiq hot ya cold water use kya ja sakta hai. Iss silsiley mein kisi ghalat fehmi ka shikar nahi hona chahiyie kay mahwaari (menses) kay doran nahana khatarnak sabit ho sakta hai. (Kawal Dheer).