Pages

Thursday, 2 August 2012

NOJAWANO KAY MASAIL KA HAL

NOJAWANO KAY MASAIL KA HAL

Sex Education in urdu is easy to read and understand. i have used very simple words you can easily read it. Because i have used simple language which is used in daily life Or commonly we used in sms messages. Ye blog un logon k liye hy jo apny personal problems kisi k sath share karny se katratay hain. Is blog kay zariye ap ko bohat si maloomat hasil ho gi jis main nojawano kay jinsi magaltay sar-e-fehrist hain. aaj kal kay neem haqeem or mukhtalif logo ne paida kiye hain jin ki waja se aksar nojawan bohat depressed ho gaye hain un ko asal haqiqat ka pata nahi chalta k akhir asaliyat hay kia. Neem haqeem apnay paisay banany k liye nojawano k sahara letay hain So please neem haqimon se bachiye. Ye blog parhany se inshaALLAH ap ko bohat faida ho ga. Or ap apny ap main khud behtari mehsoos karain gay. Sab se pehlay hum islam ki nazar se dekhtay hain sexual life islam k tariqay se kaise guzari ja sakti hai.

1. SEXUAL LIFE ISLAM KI NAZAR SE:

Jaisa kay har musalman janta hai kay islam ne jo kam jis tariqay se karnay ko bataya us me kabhi bhi humara nuqsaan nahi hua bal'k har wo kaam jo quran or sun'nat ne barson pehlay bata diya tha wohi science aaj prove kar rahi hai. Insan me sab se pehaly Hazrat ADAM (A.S) Or Amma HAWA ko paida farmaya.

QURAN-E-PAK mein irshad hai kay AUR USI K NISHANAT MAIN SE HAY K US NE TUMHARI HI JINS SE AURTAIN PAIDA KI (TA'K UN KI TARAF MA'EL HO) <Surah Rome Ayat 21> QURAN-E-PAK main jinsi zindagi kay baray main main kafi zikar kia gaya hai jis main Shadi or us k baad mubashrat ko halal qarar diya aur is k sath sath kcuh cheezon se mana bhi farmay jin main sare-e-fehrist zina hy jis ko gunah-e-qabeera kaha hy is k elawa humjinsiat (homosexuality) aur sex kay doran kuch galat tareeqay wagera. aur mani (sperm), Haiz (Menses), aur hamal (pragnancy) ka bhi zikar hay.

Nikah karna sunnat hay is liye jab beta ya beti balogat ko pohanchay to us ki shadi ka socho. HAZRAT MOHAMMAD (S.A.W.W) ne farmaya nikah meri suunat-e-mubarak hai jis ne is pe amal na kia wo hum main se nahi. Bohat se logon ko khas to pe pakistan main sex education ki kami ki waja se log ghumrah ho jatay hain. Achi zindagi guzarnay kay liye sex education aur sex k baray knowledge bohat zaroori hay.