Pages

Friday, 24 August 2012

INFERTILITY (BAANJHPAN)

BAANJHPAN (INFERTILITY)

 American research kay mutabiq wahan 12% log aulad paeda karney kay qabil nahi. Ek research sey maloom hua kay infertility waley afraad mein sey 33% mardon mein naqs hai aur 33% aurton mein aur baqi donon mein. Ek doosri research kay mutabiq 40% mard infertility ka shikar hain. Aaj kal banjhpan ka masla kafi aam hai. 5 couples mein sey 1 couple iss ka shikar hai (Rashid Latif) iss mein kabhi mard mein problem hota hai aur kabhi aurat mein aur kabhi donon mein. Ek research kay mutabiq banjhpan kay responsible 33% mard hotey hain. 33% aurtein hoti hain aur 33% donon hotey hain.

INFERTILITY IN MAN:

Mardon kay banjhpan ki ek hi wajah hoti hai. Inn kay active motile sperms ki tadaad kam hoti hai. Mard kay ek baar discharge honay per mani (semen) ki miqdaar average 3.5ml hoti hai (mera ek patient ki miqdaar 8ml thee) jis mein 20 crore sey 1 arab sperms hotey hain. Average 40 crore sperm hotey hain. Mard ki body mein rozana 30 crore sperms bantey hain. Garmi aur zyada exercise sperms ki tadaad ko kam karti hai. Lekin agar 3 months garmi sey door raha jaey aur 3 month exercise na ki jaey to halaat normal ho jatey hain. Iss kay elawa shadeed beemari, sakht mehnat aur stress bhi sperms ki tadaad ko kam kartey hain. Computer per zyada der bethney sey bhi sperms ki tadaad kam ho jati hai. Bachey ki paedaesh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hai magar ek sperm ka fallopian tubes tak pohonchney kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Bohut sey rastey mein hi mar jatey hain aur bohut sey ghalat tube mein chaley jatey hain. 2 tube mein sey kisi ek mein egg hota hai. Yani bachey ki paedaesh kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Iss soorat mein amooman beti paeda hoti hai. Kabhi kabhi 2 crore sperms sey bhi bacha paeda ho jata hai.

Mardon main Banchpan ki wajoohat:

  1. Sehatmand sperms ki tadaad main kami hona.
  2. Sehatmand sperms bilkul hi na hona.

 Apney infertility causes (banjhpan ki wajah) jannay kay liye aap apni mani (semen) ka tajziya karaein. Behter hai kay mani (semen) lab mein hi nikali jaey. Ghar sey ley janay ki soorat mein amooman result sahi nahi ata. Agar ghar sey ley jana zaroori ho to aap 15min kay ander ander isey lab mein pohncha dein. Agar aap mein kharabi hai to last result nikalney sey pehley kam az kam ek aur lab sey mani (semen) ka test karwaein. Agar donon report sey maloom ho kay kharabi aap mein hai to bhi pur sukoon rahein aur kisi achey urologist sey milein. Aaj kal aisi medicines market mein aa chuki hain jin ki madad sey iss masley ko hal kya ja sakta hai.

Sperms ki tadaad barhany k kuch tariqay:

  • Cigarette noshi sperm ki dushman hai. Ek research sey pata chalta hai kay cigarette noshi sey 15% sperm kam hojaatey hain. Iss kay elwa cigarette noshi ki wajah sey sperm ovum kay ander dakhil nahi hosakta, jis ki wajah sey ovum bar awar naa hoga. Lehaza agar aap cigarette noshi kartey hain to husool-e-aulad kay liye chor dein.
  • Sharab noshi bhi sperm kay liay nuqsan dey hai. Iss sey sperm khusoosan naazuk Y sperm mar jaatey hain. Chunancha sharab noshi bhi tark kardein. Sharabnoshi gunah e kabeera hai.
  • Apney weight ko kam karein. Motapey ki sorat mein khusyey jism kay saath lagey rehtey hain. Jis ki wajah sey in ka darja e hararat barh jata hai aur iss sey sperm mar jatey hain research sey maloom hua hai kay motey aadmi kay khusyey ka darja e hararat nisbatan zyada hota hai jis ki wajah sey bohut sey sperm mar jatey hain.
  •  Khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat sey kam hota hai. Agar in ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojaey to bhi sperms mar jatey hain. Agar aap tight dresses khusoosan tight underwear pehentey hain to aap kay khusyey aksar auqat aap kay jism kay sath lagey rehtey hain jis ki wajah sey khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojata hai jo kay sperms kay liye nuqsandeh hai. Lehaza khula libas pehnein khusoosan garmiyom mein aap kay khusyey zyada der jism kay sath na lagey rahein.
  • Garmi sperms ki dushman hai. Lehaza garam pani mein zyada der tak naa bethein, zyada der tak garam pani sey na bath lein, apney khusyey ko thanda rakhein. Jab bhi bath room jaein khusyey per 1 – 2 minute kay liye thanda pani dalein. Aag kay qareeb kaam karney walon kay han aksar larkiyan paeda hoti hain. Garmi sey Y chromosomes jald mar jatey hain.
  • Jo log rozana zyada driving kartey hain, engine ki garmi ki wajah sey inn kay sehatmand sperm count kam ho jata hai. Iss kay liye apney neechey hawa dar seat rakhein. Har 1 yeh 2 hours baad khusyon ko cold pani sey wash karein.
  • Diet mutawazin ho jis mein sarey vitamin khusoosan vitamin A, aur vitamin E ka zyada use ho.
  • Ek research sey maloom hua hai kay zyada run aur cycle chalaney sey 2 week mein Sperm Count 29% kam ho jati hai. Yani bohut zyada exercise bhi sperms kay liye nuqsandeh sabit hogi.

  •  Baaz chemicals maslan karm kash medicine, glycol ether jo ka printing aur gond waghaera bananey mein use hota hain bhi sperms kay liye nuqsandeh hain. Karm kash medicine ka spray kartey waqt khusoosi ahtiyat ki zaroorat hai.
  • Research ma yeh bhi maloom hua hai kay computer kay samney zyada der bethney sey bhi sperm ki tadad kam hojati hai jis ki wajah sey aisey afraad kay han aksar larkiyan paeda hoti hai.
  • Zehni stress bhi sperm ka bohut bara dushman hai. Yeh sperm kay count ko kam karta hai. Lehaza iss sey bachein aur hamesha pursukoon rahnay ki koshish karein.

INFERTILITY IN WOMEN



Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.

  Aurton mein baanjhpan (infertility in women) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein. Apni biwi ki kharabi ko jannay kay liye kisi mahir doctor sey rabta karian khawateen ki bohut si bemariyan qabil-e-elaj hain.

GHUSL-E-JANABAT KA TARIKA

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Hazrat Ayesha riwayat farmati hain kay jab Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ghusl e janabat ka irada farmatey to (Iss tarhan) shuru kartey kay (Pehley) donon hathon (Pohncho tak) dhotey, phir wuzu kartey jis tarhan namaz kay liye wuzu kartey. Phir apni ungliyan pani mein (Tar karney kay liye) dakhil kar kay nikaltey aur inn sey apney balon ki jaron ko khalal kartey. Phir apney donon hathon kay sath 3 chullu pani apney sar per daltey iss kay baad apney tamam badan per pani bahatey. (Muslim, Bukhari)

Umm ul momineen Hazrat Maimoona biyan karti hain kay mein ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ghusl kay liye pani ka ahtemam kya. Chunancha (jab ap ghusl farmaney lagey to) aap ney apney dae'in hath sey bae'in hath per pani daal kar donon hathon ko dhoya phir apni sharam gah ko dhoya. Phir aap ney apney hath ko zameen per rakh kar mitti sey ragrra aur phir iss ko dho dala. Iss kay baad kulli kari aur naak mein pani charhaya phir chehrey ko dhoya aur sar per pani dala phir iss jagah sey hutt kar aap ney apney donon pao'n dhoey. Phir aap ko roomal paesh kya gaya lekin aap ney iss sey na poncha. (Muslim, Bukhari)

Hazrat Ali sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jo shakhs ghusl e janabat mein ek baal ki jagah bhi bina dhoey chorey ga usko azaab hoga. (Abu Dawood) magar aurton kay liye kuch riayat hai.

Hazrat Salma sey riwayat hai kay meiney arz ki Hazrat Muhammad (P.B.U.H) mein apney sar ki choti mazbooti sey goondhti hun to kya ghusl e janabat kay liye iss ko khol dalon. Farmaya nahi. Tujh ko sirf yehi kifayat karta hai kay sar per 3 lab pani daley, phir apney ooper pani baha ley paak ho jaey gi. (Muslim)


ORAL SEX

Oral Sex

Sexual Satisfaction Alternatives

Maghrib mein aaj kal oral sex ki waba aam hai. Wahan taqreeban 90% mard aur khawateen iss mein mulawwis hain. Oral sex mein husband wife ek doosrey kay sex organs ko mouth kay zariye stimulate (Choomna, Chatna, Choosna etc) kar kay orgasm hasil kartey hain. Hamarey yahan bhi kuch log jinsi lutf kay liye yeh tareeqa use kartey hain. Isey 69 game bhi kaha jata hai. (Hyde)

Oral sex kay 2 aspects hain. Ek sehat ka aur doosra mazhab ka. Sehat kay lehaz sey iss ka sab sey big nuqsan yeh hai kay iss kay zariye ek shakhs ki beemari maslan aids aur doosri jinsi beemariyan doosrey shakhs ko jald transfer ho jati hain. Agarcha aurat kay genital organ aur mard kay genital organ sey nikalney wala mawaad koi khas nuqsan deh nahi. Mahireen ka khayal hai kay yeh mawaad thook sey kam harmful hai jo kay French kissing mein ek doosrey kay mouth mein chala jata hai. (Reuben, Woman And Body) Religious point of view sey ulma ki raey mein ikhtilaf hai. Imam Hambal kay manney waley iss ko jaez samajtey hain. Hum ney Lahore kay fiqa e hanfiya kay ek famous idarey sey bhi fatwa liya. Unhoney iss ko aam halat mein makrooh qarar diya aur kaha kay agar mani (seminal fluid) aurat kay mouth mein chali jaey to haram hoga. Baaz doosrey ulma ney iss ko haram qarar diya hai magar iss kay haram honay ki Quran o sunnah mein koi wazeh daleel nahi hai. Zaati tor per mujhey isey shadeed karahiyat hai.


LEUCORRHEA - WOMEN'S DISEASE

Leucorrhea

 Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.

Leucorrhea Treatment:


Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey ghusl farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein.

Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.



Frigidity In Women

Khawateen Mein Sardmehri:

Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton mein jinsi khwahish (libido) aur raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse) per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse). Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.

Menopause:

Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses) band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12 month kay baad 50 saala aurat banjh ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley chest mein hota hai phir gardan aur face mein.


Menopause Symptoms

Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan:


Face red ho jata hai. Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat, neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly koi ta'alluq nahi hai.

Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai.

Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan, bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.

Low Libido In Women:

Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain.

  Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde).