Pages

Saturday, 4 August 2012

Zina - Adultry In Islam And Quran

Zina - Adultry In In Islam And Quran


 Mani (semen) kay ikhraj ka chotha zarya zina hai jo kay gunah e kabira hai jis sey har soorat mein bachna chahiyie. Quran majeed mein irshad hai kay "zina kay qareeb na phatko, woh bohut bura fael hai aur bara hi bura rasta hai" (Bani Israel ayat 32) 
Zina ki kaee surtein hain maslan
   Mard ka apni biwi kay elawa kisi aur aurat sey mubashrat (Intercourse) karna ya biwi ka apney khawand kay elawa kisi aur mard sey mubashrat karna. Zina muashirey ki tabahi ka ek bohut bara unser (factor) hai. Isliye Islam mein zina ki sakht saza hai. Shadi shuda fard kay liye sangsaari aur ghaer shadi shuda kay liye 100 korey. Quran majeed mein irshad hai kay "zania aurat aur zani mard donon mein sey har ek ko so (100) korey maro aur inn per taras khaney ka jazba Allah kay deen kay muamley mein tumko daman geer na ho, agar tum Allah aur roz e aakhirat per eemaan rakhtey ho aur inko saza detey waqt ahl e eemaan ka ek groh mojood rahey" (sura noor ayat 2)
 Allah kay Nabi ney hamsaya (neighbour) ki aurat sey zina ko aam zina sey zyada bura qarar diya hai. Isi tarah qareebi rishtey daaron kay sath zina bohut hi buri harkat hai. Yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusl farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho. Yeh jinsi beyrahrawi (sexual perversions) maghrib khusoosan America mein bohut aam hai. Ek survey kay mutabiq 97% mard aur 80% aurtein shadi sey pehley mubashrat kar chukey hotey hain. (Hyde).

Zina Ki Wajoohaat:

  1. Jinsi khwahish (libido) ko poora karney kay liye mard sab sey zyada paesha war aurton tawaif kay paas jatey hain, inn mein aksar aurtein beemaar hoti hain jin sey sozak, aatishik aur AIDS jaisi mohlik aur khatarnaak beemari lagney ka qawi imkan hota hai, inn sey her soorat bachna chahiyie. Ba'az naujawan apni jinsi salahiyat ko check karney kay liye paeshawar aurton kay paas jatey hain. Mardana quwwat ko check karney ka yeh budtareen tariqa hai. Jab bhi koi fard shaoori tor per apni mardana taqat check karney ki koshish karta hai to woh khauf aur ehsas e gunah ki wajah sey akser nakaam rehta hai. Usko ya to tanau (erection) hota hi nahin ya phir jaldi khatam ho jata hai, ya phir jald inzaal ho jata hai hala'n kay jawani mein taqreeban koi bhi fard mardana tor per kamzor nahin hota. Jis fard ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai who bilkul normal hota hai, kharabi uskay dimagh mein hoti hai jis kay liye neem hakeem ya doctor ki bajaey mahir e nafsiyat sey elaj ki zaroorat hoti hai.Zina ki bohut bari wajah bey parda mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada jinsi beyrahrawi(sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain. Pardey daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta
  2. Makhloot talim bhi zina ka ek ahem sabab hai. Makhloot talim mein naujawan larkey aur larkiyon ko milney kay mawaqae zyada miltey hain. Larkey, larkiyon ko flirt kartey hain aur larkiyan ishq aur shadi kay laluch mein apni esmat ga'nwa bethti hain.
  3. Makhloot majalis jinsi beyrahrawi ka ek bara zarya hai. America kay woh elaqey maslan California jahan aurat aur mard kay milney kay zyada mawaqae hain wahan jinsi beyrahrawi zyada hai aur talaq ki sharah bhi baqi mulk kay muqabley mein zyada hai.
  4. America mein amooman talaq ki sharah 50% sey zyada hai jab kay California mein 4 shadiyon mein sey 3 talaq per khatam hoti hain yani wahan talaq ki sharah 75% hai. Merey paas taqreeban har maah ek do case aisey zaroor aatey hain jahan makhloot majalis ki wajah sey doosri aurat ya mard mein involve ho jatey hain aur ghar bachaney kay liye humari madad talb kartey hain na janey woh shadi shuda log kitney hain jo humarey paas nahin aatey aur jinsi beyrahrawi (sexual perversion) mein mubtala rehtey hain . Iss tarah na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain.
  5. Cousin culture: humarey haan amooman bachiyan apney cousin larkon kay sath mael jol mein kuch zyada hi frank ho jati hain aur ghanto'n alaehdgi mein gupshup karti hain jis ki wajah sey larkon ko unhein flirt karney kay mawaqae mil jatey hain, iss tarah bohut si bachiyan inn cousins kay hathon lutt jati hain. Hala'n kay Allah kay Nabi ney sagey jawan behen bhaee ko bhi tanhayee mein bethney sey mana farmaya hai. Isi tarah bohut sey behnoee apni saaliyon sey flirt karney ki koshish kartey hain aur iss gunah kay murtakib hotey hain.
  6. Jinsi beyrahrawi ka ek aur bara sabab khawateen ka mardon kay sath kaam karna hai. Secretary level ki ek khatoon CSP officer ney mujhey bataya kay mardon kay sath kam karney wali kam az kam 50% aurtein apni izzat bachaney mein nakaam rehti hain, isliye nurses aur istaqbalia (reception) per kaam karney wali khawateen kay liye apni asmat bachana naa mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Taqreeban 100% mulazimat paesha khawateen mardon ki jinsi harassment ka shikar hoti hain.
  7. Barey shehron mein jinsi beyrahrawi ki ek bari wajah mard tutor hain. Bohut sey gharaney apni jawan larkiyon ko mard hazraat sey tuition parhwatey hain. Budqismati sey taqreeban har mard bachiyon ko phuslaney ki koshish karta hai. Ek naujawan larkey aur larki ko ghanton ikatthey bethney ka moqa dey kar yeh tawaqqa rakhna kay kharabi na hogi saadgi ya himaqat ki inteha hai. Ghee aag kay paas para ho aur phir bhi na pighley….na mumkin. merey paas gahey ba gahey iss tarah kay cases aatey rehtey hain.
  8. Budqismati sey humarey haan sex education nahin hai jis ki wajah sey taqreeban 70% sey zyada khawateen jinsi tor per mutmaen nahin hotiin. Dunya mein sex kay ek bohut barey muhaqqiq Alfred Kinsey ney Calcutta mein ek lecture kay doran kaha kay Asian aurat maan banti hai hutta kay dadi, nani ban jati hai magar woh saari umer orgasm(jinsi lutf) hasil nahin karti. Aisi aurtein shadeed frustration ka shikar hoti hain. Aisi aurton mein kuch sabar, shukar kar leti hain, kuch nafsiyati beemariyon ka shikar ho jati hain aur kuch jinsi beyrahrawi mein mubtala ho jati hain. Merey paas ek 40 sala khatoon aaee'n unhon ney mujhey bataya kay woh saari umer kabhi jinsi tor per mutmaen na huiin aur ab unka gunah karney ko dil chahta hai. Na janey kitni aurtein iss wajah sey gunah mein mulawwis ho jati hain. Hum iss hawaley sey Lahore aur doosrey shehron mein har maah ek roza seminar/workshop ka intezam kartey hain  jis mein azdawaji zindagi ko zyada purlutf bananey, biwi ko mutmaen karney aur ghareloo zindagi ko khushgawar bananey kay tips batatey hain.
  9. Aaj kal jinsi beyrahravi ki ek ahem wajah internet chatting aur phone per gupshup hai. Bohut sey afraad ek planning kay tehet bholi bhali bachiyon ko warghalatey hain, maan baap ko chahiyie kay koshish karein kay ghar mein jawan bachiyan phone attend na karein bul  kay koi mard ya bari umr ki khatoon phone sunein. Iss tarah internet istaemal karney waley bachon ki nigraani ki jaey ta'kay woh iska ghalat istaemal na kar sakein. Amooman larkey larkiyan ban kar larkiyon sey gupshup kartey hain aur phir waqt per larki ko asli soorat-e-haal sey aagah kartey hain. Ab inn haalaat mein larki kay liye peechey hutna mushkil ho jata hai iss tarah paesha war aurtein naujawan larkonka shikar karti hain.

    Or Ek Or Soorat:

     Mard ka mard kay sath mubashrat karna, isko qom-e-loot ka amal (homosexuality) kaha jata hai. Islam mein fa'el aur maf'ool donon kay liye sakht saza hai. Ek barey gunah kay elawa aaj kay daur mein yeh amal AIDS aur doosri jinsi beemariyon kay phaelney ki ek bohut bari wajah hai. Yeh amooman bachpan sey shuru hota hai. Amooman fa'el aur maf'ool qareebi dost ya aziz hotey hain. Aksar fa'el bari umer ka hota hai jis ki wajah sey woh kam umer rishtey daar ya dost ko behla phusla kar ya dara dhamka kar yeh kaam karta hai. Iss kay elawa woh naujawan jo ikatthey sotey hain chahey woh sagey bhaee hi kyun nah un, ba'az auqaat iss ka shikar ho jatey hain. Merey paas iss tarah kay kaee case aatey hain jahan ek bhaee ney doosrey bhaee sey budfaeli ki. Iss sey bachney kay liye zaroori hai kay waladaen chotey bachon ki nigraani karein. Inn ko barey bachon kay sath akela na honey dein.

    Sexual Abuse:



    Kisi dost kay haan raat na guzarney dein. Khaas kar ghar mein bachey ikatthey na so'ein. Allah kay Nabi ney 10 saal ki umer kay ba'ad do afraad ko chahey larkey hun ya larkiyan, bhaee hun ya behnein, ek chadar mein soney sey mana farmaya hai. Jadeed ahl e ilm bhi iss baat ki sifarish kartey hain kay 9 saal kay ba'ad bachon kay bister alaehda hun. Iss kay elawa bachon ko iss sey bachney ki tarbiyat dii jaey kay ju'nhi koi unn kay peeshab, pakhaney ki jagah ko chu'ey ya inn ko apna zakar pakarney ko kahey to yeh na sirf inkaar kardein bul kay foran maan ya baap ko bataein. Isi tarah kay ek walid ney apney bachon ki iss tarah tarbiyat ki hui thi. Ek tutor ney unki choti bachi sey kaha kay woh iss ka zakar (penis) pakrey, bachi hath dhoney kay bahaney ander gaee aur saari baat apney walid ko bata di. Walid ney tutor ko la'anat malamat kii aur naukri sey farigh kardiya. Iss tarah bachi jinsi tashaddud (sexual abuse) sey mehfooz rahi.

        Humarey haan naukar, naukrani, humsaya, qareebi aziz, bachon aur bachiyon ko jinsi tor per abuse karney ki koshish kartey hain lekin agar bachon ki tarbiyat kar di jaey to woh iss jinsi abuse sey bach saktey hain. Merey ek naujawan client ko bachpan mein inn ki naukrani jinsi tor per istaemaal karti thi. Isi tarah meri ek naujawan shadeed nafsiyati mareeza ka jab nafsiyati tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay 5 saal ki umer mein ek humsaya ney uss kay sath budkaari ki koshish ki. Woh shadeed khaufzada ho gaee aur bhaag aaee aur maan ko bataya. Iss tarah woh aa'enda kay liye bhi  mehfooz ho gaee. Iss tarah merey ek naujawan client sey uss kay sagey behnoee ney budfaeli ki aur dara dhamka kar bohut arsey tak karta raha hatta kay phir usko aadat parr gaee. Ta'hum iska elaj kiya ja sakta hai.



    Zina Ka Hal - Teesri Or Akhri Soorat:



      Hazrat Abdullah bin Mas'ood sey marvi hai kay Rasool Allah ney farmaya "Aey naujawanon tum mein jo koi nikah ki isteta'at rakhta hai woh nikah karey kay yeh ajnabi aurat ki taraf nazar karney sey rokney wala hai aur sharam gaah ki hifazat karney wala hai aur jis mein nikah ki isteta'at nahi woh rozey rakhey kay roza qatae shahoot hai" (Bukhari, Muslim)
        Zina ki jin wajoohaat ka guzishta auraaq mein zikr hua hai unka tadaruk kya jaey. Bey hayaee, uryaani, bey pardagi, fahaashi aur makhloot majalis waghaera ka khatima kya jaey. Sports aur doosri masbat sargarmiyon ko farogh diya jaey.

         

No comments:

Post a Comment