Pages

Thursday, 27 September 2012

BIRTH CONTROL IN HINDI URDU

BIRTH CONTROL IN ISLAM

Islam main birth control ki ijazat nahi. ulma kay nazdeek birth control ki gunjaesh hai kyun kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney apney daur mein birth control sey sahaba karam ko manaa nahi farmaya (bukhari, muslim) kuch ulma kay naazdeek muflisi kay darr sey birth control haram hai jab kay doosri soorton mein jaez hai. 

BIRTH CONTROL KI WAJOOHAT:

  • Bachay ziada honay ka Darr.
  • Ziada bachon ki dekh bhaal main mushil ka khadsha.
  • Khandan ko chota rakhna.
  • Bohut si khawateen ki khwahish hoti hai ka en kay bachon ki paeda'esh kay darmiyan 2 ya dhaee saal ka gap ho kyun ka yeh en ki aur inkay bachon ki sehat kay liye mufeed hai. Quran sey bhi iss tarhan ka irshad milta hai. Jis mein bachon ko 2 saal doodh pilaney ka zikar hai.
  • Bachay normal na honay k darr se. kyun k kuch test se pata chal sakta hai k bacha normal ho ga ya nahi.
  • Inherited diseases ki waja se bhi birth control kia jata hai.
  • Mulazimat pesha khawateen ziyada bachey nahi chahtiin. Kyun kay ek waqt mein ek hi kam bahter ho sakta hai, bachon ki perwarish ya mulazimat.

BIRTH CONTROL K TARIQAY:

Birth control k bohat se tariqay hain jis main se kuch kamyab hain or kuch nakaam.

BIRTH CONTROL K KUCH TARIQAY:

Withdrawal:  Iss tariqey mein mard anzal kay qareeb zakar ko faraj sey bahir nikal leyta hai aur mani (semen) ko faraj sey bahir kharij karta hai.  Inzal sey pehley jinsi uruj mein mani kay chand qatrey nikal jatey hain inn mein bhi sperm ho saktey hain. Iss sey bacha paeda ho sakta hai. Baaz auqat mard jinsi jazbaat ki shiddat ki wajah sey zakar ko baher nikaltey huey inzal ho jata hai. Iss mein inzal faraj kay ander to nahi hota magar iss kay ooper ho jata hai jis ki wajah sey sperm faraj kay ander ja saktey hain. Baaz auqat fard zakar ko baher nikal hi nahi pata aur roknay kay bawajood faraj kay ander hi inzal ho jata hai. Baaz auqat iss wajah sey fard early inzal ka shikar ho jata hai. Withdrawal (uzul) ki wajah sey mard sex sey bharpoor lutf andoz nahi hota. Kyun kay iss ka dheyan inzal ki taraf hi rehta hai aur lutf ki taraf kam tahem iss tariqey kay koi burey asraat nahi hain. Islam mein uzul sey manaa nahi kya gaya aur uzul kay bawajood bacha paeda ho sakta hai. Mazkoora aur baaz doosri ahadees ki roshni mein fuqha ki ek jamat nay uzul ko jaez qarar diya hai jab kay baaz doosrey fuqah nay isey makruh qarar dya hai. Condom ka use uzul sey mushaba hai isi liye baaz ulma kay nazdeek Birth control (zabt e wiladat) ki gunjaesh nikalti hai. Jab kay baaz doosrey ulma kay nazdeek islam mein Birth control ki ijazat nahi.

CONDOM:


Mardon mein pregnancy rokney kay liye sab sey zyada use honay wala tariqa yehi hai. Iss mein mard mubashrat (intercourse) sey pehley ek rubber kay ghilaf ko zakar kay ooper charha leta hai ta kay iss ka ikhraj faraj kay ander naa ho bul kay condom mein ho iss tarhan aurat ko pregnancy nahi hogi. Yeh bhi 100% kamiyab tariqa nahi. Iss mein nakami ki sharah 10% sey 26% tak hai. agar iss kay sath biwi pregnancy rokney kay liye cream ya diaphragm use karey to kamiyabi ki sharah 100% ho jati hai Condom ka use jinsi bemariyon sey bachney ka ek useful tariqa hai.

MALE STERILIZATION:


Iss tariqa mein local anesthesia dey kar mamooli sa operation kar dya jata hai. Iss sey mard ki mardana quwqat kisi bhi tarhan muta'assir nahi hoti. Male Sterilization ki kamiyabi ki sharah 100% hai iss kay koi khaas side effects bhi nahi hain. Hasb e zaroorat iss operation ko reverse kya ja sakta hai yani mard dubara aulad paeda karney kay qabil ho jata hai magar iss ki kamiyabi ki sharah har year kam hoti jati hai operation kay ek year baad kamiyabi ki sharah taqreeban 90% aur 5 year kay baad sirf 30% reh jaati hai. Aksar doctor pregnancy rokney kay liye aurat kay bajaey Male Sterilization ki sifarish kartey hain, kyun kay aurat ka sterilization ka operation qadrey paecheeda hai aur issey mustaqil hi samjha jata hai agarcha isey bhi reverse kya ja sakta hai magar iss ki kamiyabi ki sharah kam hai.

FEMALE STERILIZATION:


Aurat ki sterilization, pregnancy roknay ki khanay wali medicine, Diaphragm, Manaa hamal foam, cream aur jelly aur faraj ka dhona...!!!


No comments:

Post a Comment