Pages

Monday, 31 December 2012

PRAGNANCY AND INTERCOURSE (HAMAL OR MUBASHRAT)

PRAGNANCY AND INTERCOURSE (HAMAL OR MUBASHRAT)

Hamal ka arsa 9 maah per mushtamil hota hai itna arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai, khwateen mein bhi jinsi khwahish maand nahin parti bul kay 80% khwateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh maahi (4 ta 6 maah) mein izaafa hojata hai. Agarcha aakhri 3 maah mein aksar khwateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master & Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand haamla aurat kay sath bachey ki paedae'sh sey 4 haftey qabal tak mehfooz tor per mubashrat ki ja sakti hai.

pragnancy and sex

HAMAL K AKHRI MAHINAY

Ba'az afraad to aakhri din tak bhi mubashrat jari rakhtey hain Master & Johnson kay mutabiq bachey ki paedae'sh kay 3 haftey ba'ad aurat sehatyaab ho jati hai aur uss sey mubashrat ki jasakti hai iss doran uski jinsi khwahish wapis aa jati hai. Woh khawateen jo miscarriage ya abortion ka tajurba kar chuki hain unn kay liye yeh behter hai kay woh hamal kay poorey arsey mein khusoosan pehley chund hafton aur aakhri hafton mein mubashrat aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage ka khatra barh jata hai.  Iss tarah kuch doosrey maahireen kay mutabiq hamal kay aakhri 6 hafton mein behter yehi hai kay mubashrat na ki jaey aakhri hafton mein mubashrat ki wajah sey labor pains (labor ka dard) pehley shuru ho sakta hai iss tarah bacha waqt sey pehley paeda ho jata hai. Hamal kay 6 maah pehley tak to aam haalaat ki tarah mubashrat ki jasakti hai aur itni hi baar ki ja sakti hai jitni bar pehley hoti rahi hai albatta aakhri maah perhaez karna behter hai iss doran biwi khawand ko mutabadil jinsi tariqon (sexual satisfaction alternatives) sey jinsi sukoon muhayya kar sakti hai.

Hamal kay doran khusoosan aakhri mahinon mein mubashrat ka missionary tariqa yani aurat neechey waley tariqey ko bilkul tark kardiya jaey albatta ibteda'ee dinon mein ek do maah yeh tariqa istaemaal kya ja sakta hai. Hamal kay doran mubashrat ki sab sey behter position pehlu ba pehlu (side by side) hai iss kay elawa aagey peechey wala tariqa (rear entry) bhi ikhtiyar kya ja sakta hai. Hamal kay aakhri chund hafton kay doran missionary tariqa ikhtiyar karney sey jhilli qabal az waqt phatt jati hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt ho jati hai. Delivery kay ba'ad aurat kay jinsi radd e amal mein 50 % kam aa jati hai magar 3 hafton kay ba'ad uski jinsi khwahish wapis aa jati hai aur woh normal ho jati hai jaisa kay pehley bataya ja chuka hai Master & Johnson kay mutabiq delivery kay 3 hafton kay ba'ad mubashrat ki ja sakti hai lekin agar aurat ko khoon aa raha ho ya operation hua ho to khoon kay bund honay aur zakhm kay mundamil honay ka intezar karna chahiyie.

No comments:

Post a Comment