Pages

Sunday, 13 January 2013

SEX AND OLD AGE (BURHAPA OR JINSI ZINSI ZINDAGI)

SEX AND OLD AGE

BURHAPA OR JINSI ZINSI ZINDAGI)

Sunyaas (menopause) kay qareeb baeza daaniyon ki kaarkardagi batadreej kam honay lagti hai jis ki wajah sey jinsi hormone estrogen ki paedawar bhi ahista ahista kam honay lagti hai estrogen ki kami ki wajah sey aurat kay jinsi a'aza'a (female genital organs) mein kaee tabdeeliyan aa jati hain faraj ki deewarein jo pehley moti aur lachakdaar hoti hain ab patli, ghaer lachakdaar aur stiff ho jati hain ab faraj mubashrat kay doran jhatkon ko pehley ki tarah bardaasht nahin kar sakti. Iss kay elawa masaney aur peeshab ki nali mein sozish ho jati hai jis ki wajah sey boorhi aurton ko mubashrat kay foran ba'ad peeshab karney ki zaroorat parti hai aur faraj choraee aur lambaee donon atraaf mein sukarr jati hai. Baerooni lub bhi sukarr jatey hain iss tarah faraj kay dahaney mein khincha'u paeda ho jata hai jis ki wajah sey zakar ka dakhool nisbatan mushkil ho jata hai aur poorey size kay zakar ka faraj mein samana mushkil ho jata hai. Menopause kay 5 saal ba'ad faraj ki chiknahat aur ratubat kafi kam ho jati hai jis ki wajah sey mubashrat aurat kay liye mushkil aur takleef deh ho sakti hai. Hormones kay ghaer mutawazan honay ki wajah sey orgasm kay waqt faraj ka sukrao iss qadar takleef deh hota hai kay aurat mubashrat sey pehlootahi aur ijtenaab karti hai ta'hum aurat 80 saal ki umar mein bhi orgasm hasil karney ki wahi salahiyat rakhti hai jo woh 30 saal ki umar mein rakhti thi. Inn haalaat mein kamyaabi kay kaee tariqey hain le'haza mayoos na hun ba'az doctor menopause kay ba'ad khawateen ko Estrogen Replacement Therapy tajweez kartey hain ek saada hal yeh hai kay faraj ki ratoobat ki kami ko poora karney kay liye jaraseem sey paak masnooee chiknaahat istaemaal ki ja sakti hai yeh baat bhi samney aaee hai kay iss masley ki bari wajah jinsi sargarmi maslan mubashrat waghaera ki kami hai.

Master aur Johnson ki tehqeeq kay mutabiq woh aurtein jin ki jinsi sargarmi kam ho (ek maah mein ek baar ya kam) aur woh baqaeda khud lazzati bhi na karti hun to 60 saal ki umar kay ba'ad woh mubashrat mein takleef (painful intercourse) mehsoos karti hain aur woh aurtein jo baqaeda mubashrat karti hain (haftey mein ek ya do baar) un ko mubashrat mein koi takleef na hogi. Iss liye Master & Johnson iss baat per zor detey hain kay khawateen ko inn aur ba'az doosri wajoohaat ki wajah sey zyada umar mein bhi baqaedgi sey sex karni chahiyie. Le'haza burhapay mein jinsi amal ko jari rakhney ka inhisaar saabqa jinsi sargarmiyon aur ba'az doosri nafsiyati wajoohaat per hai mard aur aurat donon kay liye jismani wajoohaat ka kirdaar zyada ahem nahin. Burhapey mein mardon mein bhi testosterone ki paedawar mein kami aa jati hai jis ki wajah sey mard ko pehlay ki tarah fori tanau (instant erection) nahin hota bul kay iss umar mein amooman tanau (erection) der sey aata hai mardon ko iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh ek bilkul fitri amar hai iss sey biwi yeh nateejah na nikaley kay mian ko tanau ka koi masla hai. Khawateen ko yeh ilm bhi hona chahiyie kay ba'az auqaat mardon ko tanau kay liye biwi ki madad ki zaroorat hoti hai yani biwi ko tana'u kay liye mard kay zakar ko mushta'el karna hoga yeh bhi ek normal cheez hai. na kay kamzori ta'hum iss sey khawateen yeh na samjhein kay mard mein jinsi khwahish/taaqat kam ho gaee hai.

  Humarey haan boorhey logon ki jnsi zindagi kay hawaley sey logon ki raa'ey bilkul manfi hai aksar logon ka khayal hai kay 60 saal kay ba'ad boorhey logon ko sex ki zaroorat nahin aur 70 saala jorey kay jinsi amal ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein khud lazzati ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey mard 70 saal ki umer mein biwi kay adum ta'awwun ki wajah sey khud lazzati per majboor hain aam logon ka yeh khayal bhi hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahin rehta aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyon ko mu'attel kar detey hain jis ki wajah sey kuch arsey ba'ad woh jinsi amal kay qabil hi nahin rehtey kyun kay jis cheez ko istaemaal na kya jaey (jismaani uzu) to kuch arsey ba'ad woh istaemaal kay qabil nahin rehti. Jab kay haqeeqat yeh hai kay boorhon ko bhi jawanon ki tarah sex ki zaroorat hai aurat ki sehat kay liye orgasm mufeed cheez hai agar mian biwi sehat mand hain to martey dam tak woh jinsi amal kay qabil hotey hain khusoosan aurton ko to jinsi amal mein koi diqqat paesh nahin aati kyun kay unn ko mardon ki tarah tana'u ki zaroorat nahin agarcha jinsi hormone ki kami ki wajah sey aurat aur mard donon ki jinsi khwahish (libido) kuch kam ho jati hai aur mard ko foran tana'u nahin hota aur na hi jawani ki tarah zyada sukht hota hai magar jinsi amal kay liye kafi hota hai iss tarah jawani mein aurat ki faraj mein 10 ta 30 second mein ratoobat aa jati hai magar burhapey mein 5 minute tak lag jatey hain beemari ki wajah sey ba'az auqaat jinsi amal mein ta'attul aa sakta hai magar jinsi amal kay na honay ki wajah sey jinsi salahiyat main kami aa jati hai jinsi amal na kar sakney ki bari wajah kam jinsi amal ya tark e mubashrat hai na kay koi jismaani kharabi.  Boorhey logon ki ek research sey ma'aloom hua kay unn mein 75% ghaer fa'aal hain. 3, 4 saal ba'ad unn kay interview sey ma'aloom hua kay inn mein 14% ney dobara fa'aal zindagi ikhtyar karli aur baqi ghaer fa'aal rahey jis sey yeh baat samney aaee kay ghaer fa'aal jinsi zindagi kay ba'ad jinsi tor per fa'aal hona ek mushkil amar hai. Master & Johnson ney iss baat per zor diya kay burhapey mein achi jismani aur zehni sehat kay liye jinsi sargarmi zaroori hai.


Burhapey mein jinsi sargarmi ko bahaal rakhney kay liye 2 anaasir bohut ahem hain. 

1. Achi jismaani aur zehni sehat:

mahireen kay mutabiq woh mian biwi jo burhapey mein mubashrat jari rakhtey hain inn ki zehni aur jismaani sehat behter hoti hai.

2. Jawani mein jinsi amal mein baqaedgi:

woh mian biwi jo jawani mein haftey mein ek do baar khusoosan aisi khawateen ko burhapey mein kisi takleef ka samna nahin karna parta woh mian biwi jo jawani mein ek maah mein ek aadh baar jinsi sargarmi mein hissa letey hain woh burhapey mein ba mushkil sex sey lutf andoz hotey hain aur biwi ko takleef bhi ho sakti hai.

                            Agarcha jinsi dilchaspi aur jinsi sargarmi umr kay sath kuch kam ho jati hai magar khaasi bari ta'adaad mein aisey log mojood hain jo 80 saal kay ba'ad bhi fa'aal jinsi zindagi guzartey hain 60 ta 71 saal kay sehatmund boorhon ki ek research sey ma'aloom hua kay inn mein 40 ta 65% kisi hudd tak ba kasrat mubashrat kartey hain. Ek survey sey ma'aloom hua kay 50 ta 80 saal ki umar mein  Aksar khawateen aur taqreeban tamam mard sex mein dilchaspi rakhtey hain ek research mein sehat mund boorhon jin ki umar 80 aur 102 saal kay darmiyan thi ki jinsi zindagi ka jaeza liya gaya to ma'aloom hua kay unn mein 62% mard aur 30% aurtein ab bhi mubaashirat kartey hain albatta ba'az beemariyan maslan joron kay dard, ser kay dard, doosrey puraney dard, sugar, dil kay amraaz, peeshaab per control ki kami, heart attack, chaati ya bacha daani ka operation waghaera sex sey lutf andoz honey mein kuch rukawat sabit hotey hain. Ba'az adviyat kay istaemaal sey aurton ki jinsi khwahish mein kami ho jati hai ta'hum boorhi aurton ko mardon ki nisbat kam masail ka saamna karna parta hai magar iss kay bawajood khawateen aakhri dum tak sex sey lutf andoz ho sakti hain yeh unki amoomi sehat kay liye mufeed hai.

No comments:

Post a Comment