Pages

Tuesday, 7 August 2012

Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size

Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size

Baaz naujawan apney Khusyon ki jisamat kay hawaley sey fikar mand hotey hain. Aam tor per tasawwur kiya jata hai ka chotey size kay Khusyon wala insan jinsi tor per kamzor hota hai. Essi tarhan scrotum agar tani honay ka bajai dheli dhali aur latki hui ho ya bhi jinsi kamzori ki alamat samjhi jati hai. Jabka haqeeqat yeh hai ka testicles ka size yeh theli ki jild ki lachak ka jinsi quwwat kay sath koi ta'alluq nahi.

Khusyon (Testicles) Ki Golion Ka Ooper Neechey Hona:

 Kuch naujawan isliye bhi pareshan hotey hain ka enka testis ki golian kabhi ooper chali jatin hain aur kabhi neechey. Es hawaley sey pareshan hona ki zarorat nahi kyun ka yeh kisi kharabi ki alamat nahi bul kay aik normal physiological process hai. Darasal Sperms testis mein paeda hotey hain. Enka zinda rahna ka liye zarori hai ka testis ka temperature jism sey kuch kam ho. Kyun ka agar testis ka temperature jism ka temperature ka baraber hojaiga to sperm marjaingai aur insan yeh to aulad paeda na kar sakaiga aur agar aulad hogi bhi to yeh zyada tar larkian hongi. Fitrat nai es silsilai mein aisa nizam banaya hai ka sardion mein yeh golian ooper jism ka kareeb chali jatin hain taqai required temperature barqarar rahey kyun ka zyada thandhak bhi sperms ka liye nuqsan deh hai aur garmion mein yeh golian jism sey door neechey chali jati hain taqai enka temperature jism ka temperature sey kam rahey aur sperms ko koi nuqsan na pohnchey. Yad rahey kay hiddat (heat) sperms ki dushman hai.
                Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles)
    Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuch bari hoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde)

Mani (Seminal Fluid):

 Musht zani (masturbation) kay baad sab sey zyada ghalat batain mani (seminal fluid) ka barai mein mashoor hain. Aksar naujawan mani ki quality (seminal fluid quality) kay hawaley sey pareshan hotey hain kay yeh patli hai ya garhi, thori hai yeh zyada, taqat sey nikalti hai yeh baghair taqat ka. Neem hakeem isey bhi khoob exploit kartain hain.

Mani (seminal fluid) 3 jagha banta hai:
  1. Testis
  2. Prostate Glands
  3. Seminal Vesicles
  Inn teeno jagha sey nikal kar peeshab ki nali mein jama hojata hai. Testis mein 2 types ka cells hotain hain. Aik kisim jinsi hormones testosterone paeda kartey hain jinka ta'alluq sexual drives aur mardana potency yani tanau (erection) ka sath hai. Yani es hormone ki wajha sey shawat aur penis mein tanau (erection) paeda hoti hai. Doosrey cell sperms paeda kartey hain jo bachai paeda karna ka sabab bantai hain. Insan jab aik bar ejaculate kar daita hai to kharij hona wali mani (seminal fluid) ki ta'adad 3.5ml hoti hai jismai 20 crore sey 1 million sperms hotey hain. Pregnancy ka liye 3 crore active sperms ki zarorat hai magar es surat mein usually larki paeda hoti hai. Agar sperms zyada hongai to larka paeda hona ka chances mein ezafa hojata hai. Sperm ka jinsi quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Agar sperms bilkul khatam bhi hojain to bhi insan ki mardana quwwat per koi asar nahi parta aur woh jinsi amal ka liye bilkul fit hota hai. Essi liye baaz afrat jinsi lihaz sey bohut mazboot aur active hotey hain magar woh bacha paeda nahi kar saktey hain. (Kothari:Shettle)

Mani Ki Quality Mein Farq:

Infiraadi ikhtilafaat ki wajha sey mani (seminal fluid) ki quality mein farq hota hai. Jiskamardana quwwat (potency) kay sath koi ta'alluq nahi. Mani (seminal fluid) ka siwaey bachey paeda karney kay aur koi function nahi isliye iski quality ki bhi koi ahmiyat nahi. Mani (seminal fluid) sperms kay ikhraj kay liye ek carrier hai yani iss ka zariyey sperms bahir aatey hain. Iss kay elawa mani (seminal fluid) mein protien aur sugar waghaira ki sorat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Lehaza mani (seminal fluid) ki quality ka hawaley sey hargiz pareshan honay ki zarorat nahi hai. Mani (seminal fluid) urine aur stool ki tarhan napak nahi. Kuch ulma esko bilkul napak samajhtey hain aur baaz issey khafeef napak samajhtey hain. Lehaza dry mani (seminal fluid) ko ragarna hi kafi hai. Hazrat Ayesha Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki dry mani (seminal fluid) ko ragar kar saf kardiya karti theen aur wash nahi karti thee albatta geeli mani (seminal fluid) ko dhoya karti thee aur Hazrat Muhammad (P.B.U.H) unhi geeley kapron mein namaz kay liye masjid jaya kartey thai. Hazrat Ayesha  farmati hain ka "Mein Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapray sey mani (seminal fluid) ko mul deti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) iss mein namaz parhtey". (Muslim)
   Aik dusri hadees mein ap farmati hain ka "Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapra sey mani ko mein dhoti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) namaz ka liye tashreef laijatai aur dhona ka neshan usmai hota". (Bukhari,Muslim)
    Es silsila mein aik ahem masla yeh hai ka agar mani (seminal fluid) lutf ka sath yeh phir puri tarhan baghair lutf sey nikal jai to insan per ghussal farz hojata hai.

Misconceptions About Seminal Fluid:

Mani Ek Qeemti Cheez Hai – Khoon Sey Bhi Qeemti?

 Neem Hakeemon ka khayal kay mutabiq mani (seminal fluid) johar-e-hayat aur ek bohut qeemti cheez hai. Famous formula hai kay 100 qatrey (drops) desi ghee ka to ek drop khoon ka aur 100 qatrey (drops) khoon kay to ek drop mani (seminal fluid) ka. Yani mani (seminal fluid) ka behna khoon kay behney sey bhi zyada qeemti hai. Mera ek naujawan client es khayal ki wajha sey pagal hogaya kyun ka iss ka khayal tha ka yeh ek bohut qeemti cheez hai. Ek bar yeh naujawan musht zani (masturbation) kar raha tha. Inzaal (ejaculation) ka kareeb esko khayal aya ka to ek bohut qeemti cheez hai to esna mani (seminal fluid) ko collect kara aur drink kargaya.

    Latest research sey sabit howa hai ka mani (seminal fluid) quwwat-e-hayat nahi aur na hi yeh khoon sey qeemti hai aur na hi iss ka khoorak kay sath direct koi ta'alluq hai. Agar hota to ghareebon kay bachey paeda hi nahi hotey. Mardana kamzori ki wajha sey enki biwiyan bhag jatin. Ek Indian doctor Kaiwal Dheer nai hisab kitab kar kay andaza lagaya hai ka agar mani (seminal fluid) waqai khoon sey qeemti hai to ek bar inzal (ejaculation) sey khoon ki ek bottle (500ml) nikal jati hai. Bohut sey logon nai kabhi na kabhi din mein 2 bar musht zani (masturbation) zaror kari hogi. Iss surat mein 2 bottles khoon ki nikalnay kay baad woh zinda kaisay rahey. Mera woh client jo din mein 15 bar tak kar leta tha isey to kisi bhi surat zinda nahi hona chahiya jab kay woh na sirf zinda hai bul kay healthy hai aur bachey paeda kar raha hai. Darasal mani (seminal fluid) thook sey ziyda qeemti nahi aur iss ka banney mein jism ki etni hi taqat sarf hoti hai jitni thook bananey mein. (Dastoor:Zakir:Mobeen)
                      Pichley dino ek khubsurat 6 feet ka healthy naujawan merey  paas elaj ka liye aya. Iss ney mujhey bataya kay uss ki mother uski shadi karna chahti hai, magar woh inkari hai. Ussey yaqeen tha kay woh shadi kay qabil nahi kyun kay uss ney musht zani (masturbation) kay zariyay apni mardana quwwat zaya kardi. Woh pichley 14 years sey musht zani (masturbation) kar raha hai aur koshish kay bawajood esko rok nahi saka. Research sey yeh bat sabit ho chuki hai ka mani (seminal fluid) koi energy nahi aur na hi iss ka mardana quwwat (male potency) kay sath koi ta'alluq hai. Ju'nhi iss naujawan ko iss haqeeqat ka ilm howa to uss ki khushi aur itmenan dekha na jata tha. Uss ney hansi khushi shadi kay liye haan kardi. (Dastoor:Zakir:Mobeen:Kaiwal Dheer)

Thick Mani Sey Zyada Jinsi Surur Aata hai?

    Aksar logon ka khayal hai kay orgasm kay liye mani (seminal fluid) ka shehed (honey) ki tarhan thick hona zarori hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi orgasm ka liye mani (seminal fluid) ka sirf kharij hona zarori hai. Baaz auqat insan inzal (ejaculation) kay baghair bhi orgasm hasil kar leta hai aur kabhi aisa bhi hota hai kay insan thick mani (seminal fluid) kharij karta hai magar orgasm sey mehroom rehta hai. Yeh sab kuch normal hai. (Dastoor:Zakir:Mobeen)

Mani Ahista Nikley To Bacha Paeda Na Hoga? 

Aam khayal hai kay inzal (ejaculation) kay waqt mani (seminal fluid) ko force kay sath nikalna chahiye warna bacha paeda na hoga. Yeh khayal bhi 100% ghalat hai. Mani (seminal fluid) ko agar spoon ki madad sey bhi vagina mein dal diya jai to bhi bacha paeda hojaiga. Iss silsiley mein American researchers Master and Johnson ney research ki hai kay inzaal (ejaculation) ka waqt ek naujawan ki mani (seminal fluid) 1feet sey 2feet ja girti hai jab kay 40 years kay baad 6 inch ta 1feet door ja girti hai.
    Research sey yeh baat bhi sabit ho chuki hai kay mani (seminal fluid) door girey ya nazdeek iss ka mardana quwwat aur bachey ki paedaesh sey koi ta'alluq nahi.


Patli (Thin) Mani Jinsi Aur Takhleeqi Kamzori Ki Alamat Hai?

Kashif ek sehat mand naujawan tha yeh shadi sey pahlotahi kar raha tha. Elaj kay liye mera pas aya. Iss ka yeh khayal tha ka kyun ka eski mani (seminal fluid) bohut thin hai lehaza woh jinsi tor per kamzor hai jiski wajah sey woh biwi ko satisfy nahi kar sakaiga aur dusra iss ka bachai bhi  paeda nahi hongai. Yeh ek aur ghalat baat hai ka agar mani (seminal fluid) thin hai to yeh jinsi kamzori ki alamat hai aur essai takhleeqi kamzori bhi zahir hoti hai. Yani agar mani (seminal fluid) thin hogi to essai bacha paeda na hoga. En dono baton ki koi haqeeqat nahi hai. Latest research sey en dono baton ki tardeed hoti hai. (Zakir:Mobeen)
Usul to yeh hai ka mubashrat (Intercourse) kay doran jab insan ka inzal (ejaculation) hota hai to mard ka sperms fallopian tube mein pohonch kar  hamal (pregnancy) ka sabab bantey hain. Magar baaz auqat mard kay inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho sakti hai. Iss ki sorat kuch youn hoti hai kay inzal (ejaculation) sey pehley penis sey ek khaas liquid kay 1 ya 2 qatrey (drops) kharij hotey hain. Baaz auqat iss liquid mein sperms bhi hotey hain. Chunachey insan jab mubashrat (Intercourse) kay doran inzal (ejaculation) nahi karta magar yeh qatrey (drops) nikal jatey hain jiski wajah sey baaz auqat inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho jati hai. Agarcha iss kay imkanat bohut hi kam hai. (Hyde)

Kya Mani (seminal fluid) Ko Mehfooz (Store) Kya Ja Sakta Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam tasawwur yeh hai ka mani (seminal fluid) ko store kiya ja sakta hai. Iss sey insan ki taqat mahfooz rahey gi. Haqeeqat yeh hai kay duniya mein koi bhi shakhs seminal fluids ko store nahi kar sakta kyun ka yeh musalsal banti aur kharij hoti rehti hai. Glass bhar janey ki sorat mein agar iss mein mazeed pani dala jaey to zahir hai kay pani gir jaey ga. Issi tarhan seminal vesicles bhar janey kay baad inzal (ejaculation) ka taqaza kartey hain. Yeh theliyan amooman 3.5 din kay baad bhar jati hain. Phir agar insan shaori tor per mani (seminal fluid) kharij nahi karey ga to yeh ehtelam ki sorat mein ghair shaori tor per kharij ho jaey gi.


    Married mard hazrat taqat aur mani (semen) ko store karney kay chakkar mein mubashrat(Intercourse) sey perhaiz kartey hain. Halan kay mubashrat (Intercourse) sey perhaiz ki sorat mein insan ki mardana quwwat mein kami aa jati hai. Doosri taraf jinsi khwaish (libido) ko musalsal dabaney sey insan kaee tarhan kay nafsiyati masail maslan lack of concentration, sleep disorder, tension, frustration aur nervousness ka shikar ho jata hai.  
    Jo log mulk sey bahir kam kartey hain aur saal ya 2 saal kay baad watan wapis aatey hain lamba arsa mubashrat (Intercourse) sey mehroom honay ki wajah sey inn afraad ki jinsi khwahish aur mardana quwwat yani tanau (erection) mein kami ho jatey hain. Iss kay elawa yeh log premature ejaculation ka bhi shikar ho jatey hain. Iss surat mein elaj karaney ki zarorat nahi bul kay sexual activity mein hissa leney ki wajah sey yeh problems khud ba khud solve ho jati hain. Europe aur America mein aisi daleel kay ba'is jail kay qaidion ko apni biwion sey milney ki ijazat di jati hai.

Kya Mani (semen) Ko Mehfooz Karney Sey Sehat Behtar Hoti Hai?

Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani (semen) ko kharij na honay diya jaey aur iss ko safe karliya jaey to insan ki sehat achi hogi, jism mazboot hoga, age lambi hogi aur iss ki athletics ki abilities mein izafa hoga. Yani agar koi insan mani (semen) ko kharij na karey to woh super athlete ban jaey ga. Iss falsafey kay tehet hamarey yahan pehelwanon ki jald shadi nahi kari jati. Research sey iss tarhan ki koi baat sabit nahi ho saki. Lehaza yeh tasawwur bilkul ghalat hai kay mani (semen) ko safe karney sey insan rustam e zama ban jaiga. (Dastoor:Zakir:Kaiwal Dheer:Mobeen)

Seminal Fluid Discharge And Health

Mani (semen) Ka Ikhraj Sehat Kay Liye Nuqsandeh Hai? 

 Yeh baat 100% ghalat hai ka mani (semen) ka ikhraj sey sehat per burey asraat partey hain bul kay haqeeqat yeh hai kay mani (seminal fluid) ka ikhraj sehat kay liye bohut mufeed hai. Kyun kay iss kay ikhraj sey insan ko hamesha zehni aur jismani sukoon milta hai jis sey sehat achi hoti hai na kay kharab. Iss liye naee shaadi ki sorat jab naujawan zyada mubashrat (Intercourse) kar kay zyada mani (semen) kharij kartey hain to inki sehat kharab honay ka bajaey behter hoti hai aur aksar naujawan shadi kay baad motey ho jatey hain. (Time:Zakir:Mobeen)

Mani (semen) Ki Miqdaar Mein Kami Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam khayal yeh bhi hai kay agar inzal (ejaculation) ka waqt kam miqdar mein mani (semen) kharij ho to yeh jinsi mardana kamzori (erectile dysfunction) ki alamat hai. Iss ka haqeeqat sey door ka bhi koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ki amount ka inhisar kay baton per hai. Naujawano mein mani (seminal fluid) ki miqdar zyada hoti hai. Magar 50 years kay baad iss ka amount kam ho jata hai. Issi tarhan agar jaldi jaldi mani (semen) kharij kari jai yani rozana mubashrat (Intercourse) kari jaey to bhi mani (semen) ka amount kam hoga aur agar week mein ek bar mubashrat (Intercourse) ki jaey to mani (seminal fluid) ka amount zyada hoga. Issi tarhan agar insan sexually zyada stimulate ho yani foreplay lamba ho to bhi zyada miqdar mein mani (semen) kharij hogi. Waisey Master and Johnson ki research kay mutabiq average 1 inzal (ejaculation) mein 3.5 ml mani (semen) kharij hoti hai. (Mobeen:Koth Ram)

Mani (semen) Mein Khoon Ya Pus Ana:

Baaz auqat insan ki mani (seminal fluid) mein khoon ya pus shamil hoti hai. Iss ki bari wajah prostate gland aur seminal vesicles ka infection, inflammation aur congestion hoti hai. Iss kay elawa trauma aur urethritis ki wajah sey bhi mani (seminal fluid) mein khoon aur pus aa jata hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey elaj karwaein. (Kothari)

Jiryan / Dhat Syndrome: 

Jiryan sey murad amooman woh white material liye jata hai jo peeshab ya rafa e hajat kay baad ya pehley mard kay penis sey kharij hota hai. Neem Hakeem isey ek bohut hi khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jis kay bohut sey nuqsanat hain. 

Jiryan Ki Mafrooza Tabaahkariyan: 

Jiryan kay hawaley sey mukhtalif logon ney ghalat fehmiyan phaelaee hui hain jin ka haqeeqat kay sath koi ta'alluq nahi. 
Homeo doctor Ali Asghar Choudri apni book mein farmatey hain kay jiryan sey:
  1. Dimagh kamzor ho jata hai. Parhney ko dil nahi chahta aur parhney kay bawajood kuch yad nahi hota.
  2. Eye sight kamzor honay lagti hai.
  3. Nerves kamzor hojati hain. Tarhan tarhan kay khouf tari ho jatey hain. Zara zara si baat per ghabrahat hoti hai. Dil dharakta hai aur eyes kay aagey andhera aajata hai.
  4. Chusti chalaki khatam hojati hai. Chehra bey ronaq ho jata hai. Badan sust aur kamzor honay lagta hai. Zara si mehnat mushaqqat per badan thak kay choor ho jata hai.
  5. Kisi kam ko dil nahi chahta.
  6. Legs aur kamar mein dard honay lagta hai.
  7. Susti aur udasi cha jati hai.
  8. Mezaj mein chirchira pan paeda honay lagta hai.
  9. Ahsas e kamtari tari hojati hai aur kisi sey ankh mila ka bat karna ka hosla nahi rehta.
  10. Gatherings mein janey sey khouf sa mehsoos hota hai.
Mani (seminal fluid) johar e hayat hai iss kay zaya honay sey zindagi ka chiragh timtimaney lagta hai aur isski roshni kam honay lagti hai.

Yeh Sab Ghalat Hai:


Agar aap kabhi Sunday kay newspapers kay ads aur dewari ads ka jaeza lein to mehsoos hoga kay sari nation jinsi mareez hai aur iss nation ka sab sey bara problem jiryan hai. Naujawan iss kay elaj per hazaron rupee kharch kar detey hain magar kuch farq nahi parta. Haqeeqat yeh hai kay yeh koi beemari nahi yeh urethral gland sey nikalney wala material hota hai jo usually uss waqt nikalta hai jab insan peeshab  ya stool kay liye zor lagata hai. Baz auqat sexual stimulation ya ehtilam waghaera ki wajah sey kuch mani (seminal fluid) kharij ho jati hai chun key peehsab ki naali seedhi nahi bul kay English kay letter S ki shakal ki hai jiski wajah sey sari mani (seminal fluid) kharij nahi hoti bul kay mani (seminal fluid) kay 1 ya 2 qatrey (drops) peeshab ki naali kay neechey waley curve hissey mein reh jati hain. Chunkay urine aur mani (seminal fluid) kay ikhraj ka ek hi rasta hai chunacha baad mein jab insan urine pas karta hai to yeh bachi hui mani (seminal fluid) urine ka pehla drop kay sath bahir aa jata hai.
    Medical science ki nazar mein jiryan ki koi ahmiyat nahi aur na hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai iss kay elaj ki koi zarorat nahi kyun kay yeh ek natural process hai.

Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine):

 Aksar  naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi tanau (erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay mani (seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai. 
    Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai prostate glands sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.
Kyun kay insan jab bhi sex kay hawaley sey sochta hai to agla qadam mubashrat(Intercourse) hi hota hai. Qudrat insan ko iss kaam kay liye tayyar kar deti hai aur kuch chikna material nikal kar penis kay munh per aa jata hai jo bator lubricant kaam karta hai jiski wajah sey penis ka munh chikna ho jata hai jis sey dakhool (penetration) aasan ho jata hai. Research sey yeh baat bhi sabit ho chuki hai kay iss liquid ka ikhraj kisi bhi tarhan sey nuqsan deh nahi.  
    Iss kay elawa zyada jinsi haejan mein inzaal (ejaculation) sey pehley 1 ya 2 qatrey (drops after urine) clear liquid kay bhi kharij hotey hain. Yeh mani (seminal fluid) nahi hota bul kayCowper's gland sey nikalney wala liquid hota hai jis ko qudrat ek aur khas maqsad kay tehet inzal (ejaculation) sey pehley kharij karti hai. Penis ki nali mein peeshab ki wajah sey sakht acidity paeda hojati hai aur agar iss acidity ko khatam karey baghair hi mani (seminal fluid) kharij hojaey to acidity ki wajah sey sperms mar jaein aur bachey ki paedaesh na ho. Lehaza yeh material peeshab ki naali ki acidity ko khatam karta hai. Iss kay elawa yeh material peeshab ki naali ko bhi chikna kar deta hai jiski wajah sey mani (semen) ka inzaal (ejaculation) easy ho jata hai. Warna thick mani (seminal fluid) ka ikhraj mushkil aur lutf ka bajaey jismani takleef ka ba'is ban jaey. Baaz auqat bazahir baghair kisi jinsi haejan kay bhi yeh material kharij ho jata hai. Aisi surat mein jinsi haejan laashaori hota hai jin sey insan aagah nahi hota magar iss kay reaction mein liquid kharij ho jata hai. Yeh bhi koi beemari nahi hai magar neem hakeemoon kay zaberdast propaganda ki wajah sey naujawan iss ko beemari samajh letey hain aur phir kamzori mehsoos karney lagtey hain kyun kay insan jaisa sochta hai waisa hi hojata hai. (Zakir:Mobeen:Kothari)
Chu'nkay mani (seminal fluid) aur urine kay ikhraj ki ek hi naali hai chunacha jinsi tor per stimulate honay per urine sey pehley aur baad white material ka ikhraj ek normal process hai na kay koi  beemari. Iss liye iss silsiley mein fikar mand honay ki koi zarorat nahi. Albatta agar sexual stimulation mein yeh liquid kharij nahi hota to yeh baat fikar ki hai.
    Iss hawaley sey ek aur ahem baat zehen mein rahein kay inn qatron (drops) sey kaprey napak nahi hotey aur na hi iss sey ghusl farz hojata hai. In qatron (drops) kay baad penis ko wash kar lena kafi hai. Dress ko dhoney ki zaroorat nahi. Inn per sirf paani chirrak diya jaey aur ghusl kay bajaey sirf wazoo kar liya jaey. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ek sahabi ko yeh masla tha to Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey masla poocha gaya. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay uzoo ko dho kar, kapron per paani spray karliya jaey aur wuzu kar liya jaey. (Muslim). In qatron ko usually mazzi kaha jata hai.

No comments:

Post a Comment