Namardi - Male Impotence
Kuch din pehley ek khatoon nai mujhey phone karkay bataya kay iss ki shadi ko 8 years ho chukey hain magar abhi tak mubashrat (Intercourse) nahi hui. Husband koshish kay bawajood mubashrat (Intercourse) mein nakam raha. Ab inhonein qabool kar liya kay woh iss qabil hi nahi. Wife ney husband ko elaj kay liye hamarey pass bhijwaya. 5 sessions ka baad unhoney kamyab mubashrat (Intercourse) kar liya. Har insan ko zindagi mein kabhi na kabhi yeh masla ho jata hai. Iss mein insan ko ya to tanau (erection) nahi hota ya phir woh iss tanau (erection) ko mubashrat (Intercourse) kay liye barqarar nahi rakh sakta. Iss ki kaee types hain:
Types Of Impotence
- Primary Impotency
- Secondary Impotency
Primary Impotency mein insan ko kabhi tanau (erection) nahi hota jab kay secondary mein insan ko aam halat mein to tanau (erection) hota hai magar junhi woh mubashrat (Intercourse) karney lagta hai to tanau (erection) khatam ho jata hai. 52 years old ghulam fareed guzishta 4 saal sey mubashrat (Intercourse) nahi kar saka. Jab woh biwi kay sath foreplay kar raha hota to uss ko khoob tanau (erection) hota magar junhi mubashrat (Intercourse) kay liye kaprey utarta, tanau (erection) khatam ho jata.
Namardi Ki Mazeed Aqsaam:
Partial Impotency: Iss mein insan ko tanau (erection) hota hai magar iss mein zyada sakhti nahi hoti jiski wajha sey insan dakhool (penetration) mein nakam rehta hai.
Complete Impotency: Iss mein insan ko mamoli sa bhi tanau (erection) nahi hota.
Temporary Impotency: Iss mein insan ko kabhi tanau (erection) hota hai aur kabhi nahi hota. Biwi ka sath hoga magar kisi dusri aurat ka sath na hoga. Mera aik maroof client apni biwi ka sath bilkul normal hota tha magar kisi dusri aurat ka sath na-mard. Essi tarhan mera aik aur client biwi ka samnai mushtzani (masturbation) karta to bilkul normal hota magar intercoursre ki koshish karta to iss kay penis ka tanau (erection) khatam hojata.
Permanent Impotency: Iss mein insan ko kabhi bhi tanau (erection) nahi hota.
Namardi ka masla kafi aam hai magar premature ejaculation sey kam hai. Ek survey sey maloom hua hai kay America mein 10% log kabhi na kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain. Agar koi shakhs 4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) mein nakam hojaey to iss sey foran kisi mahir e nafsiyat sey rabta karna chahiyie. Der ki sorat mein maslai ko hal karna mushkil hojata hai. Jawani mein yeh masla taqreeban 100% nafsiyati hota hai. Jis insan ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai woh bilkul normal hota hai. Agar insan ko shadeed beemari nahi to har mard ko raat sotey hoey 4 to 5 time tanau (erection) hota hai. Jo kay kuch minutes sey lay kar half hour tak rahta hai. Magar aksar logon ko iss ka ilm aur ahsas nahi hota.
Yeh log bilkul normal hotey hain aur inki namardi nafsiyati hoti hai. Yeh janney kay liye kay apko raat ko sotey huey tanau (erection) hota hai yeh nahi ek saada sa test karein. Post office sey ticket khareed lein jo aapas mein juri hui ho. Raat ko sotey waqt inn tickets ko penis ki topi kay neechey penis kay charon taraf lapaet dein aur sojaein. Subha check karein agar yeh tickets alaehda ho gaey hun to aap ko raat ko sotey huey theek thaak tanau (erection) hua hai aur aap bilkul normal hain. Nafsiyati elaj kay liye kisi mahir e nafsiyat sey milein jo mahir e jinsiyat bhi ho. Har mahir e nafsiyat iss field mein mahir nahi hota.
40 years kay baad 15% logon ko yeh masla jismani ho sakta hai. Yani kisi jismani beemari ki wajah sey penis mein pura khoon nahi jata. Jiski wajah sey insan ko tanau (erection) nahi hota. Iss tarhan baaz adviyat (medicine) kay side effects ki wajah sey yeh masla paeda ho jata hai jo kay adviyat (medicine) chorney ya change karney sey khud ba khud theek ho jata hai.
Namardi (Jinsi Kamzori) Ki Ahem Wajoohaat:
Namardi ki bohut si wajoohaat mein sey kuch ahem wajoohaat yeh hain:Musht Zani (masturbation) Kay Nuqsanat Ka Khauf:
26 years old khubsurat sehat mand imran ki shadi honay wali thee. Usay shak tha kay woh shadi kay qabil nahi. Jab iss kay la shaour ki madad sey iss ka nafsiyati tajzia kiya gaya to pata chala kay woh bachpan mein kabhi kabhar khud lazzati/musht zani (masturbation) karleta tha. Iss doran uss ney ek pamphlet parha jis mein musht zani (masturbation) kay bohut sey nuqsanat ka zikar tha. Writer ney iss baat per bohut zor diya tha kay iss sey insan mardana kamzori (male impotency) ka shikar ho jata hai aur shadi kay qabil nahi rehta hai. Iss pamphlet kay parhney kay baad woh mardana kamzori mehsoos karney laga aur elaj kay liye ek hakeem kay pass gaya . Hakeem sahib ney usko check kara aur zor dey kar kaha kay woh jinsi tor pey bilkul khatam ho chuka hai. Uss kay baad uss kay penis ka tanau bilkul khatam ho gaya . Hamarey elaj kay chund sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya . Hamarey yahan namardi ki sab say bari wajah musht zani (masturbation) sey muzir asrat ka khauf or darr hai. Jab kay duniya bhar ki tahqeeqat sey sabit ho chuka hai kay iss kay kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat (disadvantages) nahi hain.
Zehni Dabau (Tension - Stress):
Namardi (erectile dysfunction) ki ek bohut bari wajah Zehni dabao bhi hai. Mukhtalif tajurbaat sey sabit hua hai kay Zehni dabao ki wajah sey jinsi hormones (testosterone) ki paidawar mein kami ho jati hai. jiski wajah sey jinsi khwahish (libido) aur tanau (erection) kam ho jata hai aur woh mubashrat mein nakam ho jata hai. Jab Zehni dabao ki wajah sey insan ek ya do baar mubashrat mein nakam rehta hai to phir sharmindigi ki wajah sey biwi kay pass nahi jata hai jis ki wajah sey na sirf ghar ka mahol bohut tense ho jata hai bul kay insan mustaqil tor per mardana jinsi kamzori ka shikar ho jata hai. Halan kay jis tarhan ek ya do bar khansi aaney sey insan ko TB nahi ho jati issi tarhan ek ya do baar tanau (erection) na honay sey insan namard nahi ho jata hai. Baaz log mubashrat kay zariye apna zehni dabao khatam kar letey hain.
Nakami Ka Khauf (Fear Of Failure):
Namardi (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah nakami ka khauf hota hai. Insan yeh samajhta hai kay bachpan kay ghalat kamon ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor hai aur mubashrat nahi kar sakta. Isey shadeed khauf hota hai kay woh shaadi ki pehli raat nakam ho jaey ga. Phir woh jaisa sochta hai waisa hi ho jata hai. Aksar naujawano ko khauf hota hai ka inn sey mubashrat (Intercourse) nahi hogi aur woh kamiyab nahi hongey. Chunancha woh nakam ho jatey hain. Bohut sey student exam kay khauf ki wajah sey bharpoor tayyari kay bawajood nakam ho jatey hain.
Tashweesh (Anxiety):
Aaj ki duniya tashweesh ki duniya hai. Har shakhs kisi na kisi tashweesh ya khatrat mein mubtila hai. Iss tashweesh ki wajah sey baaz auqat insan ko tanau (erection) nahi hota aur tanau na honay ki wajah sey insan khaufzada ho jata hai. Doosrey din iss ko khuaf hota hai kay shayad aaj phir woh nakam hojaey aur iss tashweesh aur khauf ki wajah sey woh phir nakam ho jata hai. Iss tarhan 1 ya 2 bar nakam honay per usko yaqeen ho jata hai kay woh namard ho chuka hai.
Depression:
Depression ek fazool nafsiyati beemari hai jismai insan shadeed udaasi, afsurdigi aur tanhai mehsoos karta hai. Kuch karney ko dil nahi chahta, kuch acha nahi lagta. Iss marz mein aksar mareezon ki jeeney ki aur jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai. Jinsi khwahish kay khatmey ki wajah sey woh tanau mehsoos nahi karta aur namardi (jinsi kamzori) ka shikar ho jata hai. Chunancha jinsi kamzori (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah depression hai. Depression ki medicines bhi mardana kamzori ka reason hoti hai. Depression ki baaz adviyat (medicine) maslan Desyrel ka asar ulta hota hai yani yeh namardi ko khatam karti hai.
Ehsaas e Gunah (Guilt):
Naujawan wakeel ki jald shadi honay wali thee magar iss ko puri tarhan tanau nahi hota tha. Iss naujawan ka ta'alluq ek mazhabi gharaney sey tha. Ab isko khauf tha kay woh shadi mein kamiyab na hoga. Mubashrat na kar sakey ga. Nafsiyati tajziya sey maloom hua kay kuch saal pehley usko kam sey kam 3 dafa zina karney ka moqa mila aur iss ney zina ki koshish bhi kari magar lashaouri ehsaas e gunah ki wajah sey isko tanau nahi hua aur woh nakam ho gaya. Uskay baad usko yaqeen hogaya kay woh mardana kamzori ka shikar hai.
Jinsi Amal Sey Perhaez:
Agar arsa daraz tak jinsi amal sey perhaiz kya jaey ya insan ko jinsi amal ka moqa na miley to bhi insan ki jinsi karkardaqi mein kami aa jati hai. Kyun kay insan apna jin aaza ko istimal nahi karta unki karkardigi kam hojati hai.
Jinsi Beemari Ka Khauf:
Jinsi beemari ka khauf bhi insan ki jinsi karkardegi ko kam aur khatam kardeta hai. Mera ek mareez ek paeshawar aurat kay pass gaya. Junhi woh mubashrat (Intercourse) shuru karney laga to foran usko khayal aya kay kahin isko AIDS na lag jaey to foran iss ka tanau (erection) khatam ho gaya. Phir woh taweel arsey tak iss qabil hi na raha.
Sharab:
Sharab shuru mein insan ko jinsi tor per stimulate karti hai. Magar baad mein yeh tanau (erection) ko mutassir karti hai. Hatta kay zyada sharabnoshi insan ko namard bana kar uski azdawaji zindagi aur khushion ko khatam kardeti hai.
Cigarette Noshi:
Research sey yeh baat samney aaee hai kay cigarette smoking sey khoon vessels shrink ho jati hain jis ki wajah sey penis ko munasib miqdaar mein khoon nahi milta jiski wajah sey insan ko tanau (erection) ka masla ho jata hai. Aaj kal cigarette smoking bhi namardi ki ek ahem wajah hai.
Trauma:
Sar aur back bone kay doosrey aur teesrey vertibra ko chot lagney sey bhi mardana quwwat kam yeh bilkul khatam hojati hai. Issi tarhan testes aur peeshab ki nali ki chot sey bhi yeh masla paeda hojata hai.
Diabetes:
Namardi ki jismani wajoohaat mein sab sey bari wajah sugar hai. Sugar kay taqreeban 50% patients apni beemari ki wajah sey mardana quwwat mein kami ka shikar hojatain hain. Aaj kal iss ka elaj bhi mushkil nahi raha.
Neechey di gaee tamam beemarion ki wajah sey yeh masla paeda hojata hai.
- Khoon ki nalion ki beemarian Vascular disorders maslan khoon pressure waghaera.
- Lever ki beemarian maslan Cirrhosis.
- Heart beemariyan.
- Jinsi hormone testosterone ki kami
- Hormones ka disturbance maslan Prolactin ki ziyatti.
- Thyroid ki karkardegi mein kami-beshi.
- Pait, Prostate yeh Pelvis ka cancer ka operation.
- Cholestrol ki ziyadti.Testes kay scrotum ki baaz beemarian.
- Kidney beemariyan.
- Pain ka khauf maslan joint pain.
Side effects Of medicine:
Bohut se adviyat (medicine) ka side effect ki wajha sey bhi yeh masla paeda hojata hai. Ahem adviyat (medicine) following hai.
- Antibitoics.
- Khoon pressure ki adviyat (medicine).
- Depression ki adviyat (medicine).
- Anxiety ki adviyat (medicine).
- Lithium.
- Stomach ki baaz adviyat (medicine).
- Heart beemariyan ki adviyat (medicine).
- Psychiatric drugs.
- Sedatives, Tranqulizers maslan valium waghaira
- Nasha awar ashiya maslan heroin waghaira.
Over Eating:
Zyada khana aur motapa bhi jinsi karkardegi mein kami ki aik wajha ban sakta hai. (Hyde: Kaplan: Bruce)
Ek naujawan surgeon jiski haal hi mein shadi hui thee, bohut pareshani kay alam mein merey pass aya. Iski biwi bhi doctor thee. Shadi kay baad ek month tak woh mubashrat (Intercourse) na kar saka. Isko tanau (erection) hota tha magar jaisey hi biwi kay pass mubashrat (Intercourse) kay liye jata iss ka tanau (erection) khatam hojata. Nafsiyati tajziye sey maloom hua kay surgeon sahib kay father ki death ho chuki thee.
Inko apni mother sey bohut mohabbat thee. Woh abhi tak mother kay sath hi sotey thay. Jab shadi hui to lashaouri tor per unhoney har aurat ko jis kay sath soya jaey apni mother samajh liya. Mother kay sath kon mubashrat (Intercourse) karta hai. Lehaza inka tanau (erection) mubashrat (Intercourse) sey pehley khatam ho jata. Uskay la-shaour ko samjhaya gaya kay har aurat mother nahi hoti. Chund sessions kay baad unka masla khatam hogaya aur unhonein kamyab mubashrat (Intercourse) karli aur ek achi aur khush gawar zindagi ka aghaz kya.
Chund saal pehley ek naujawan wakeel namardi kay elaj kay liye tashreef laey. Shadi kay kaee week baad tak mubashrat (Intercourse) na kar sakey thay. Nafsiyati analysis sey malooom hua kay kuch arsa pehley woh apney aap ko check karney kay liye kisi prostitute kay pass gaey. Dakhool (penetration) sey chund lamha pehley inko ek dam khayal aya kay kahin inko iss prostitute sey koi khatarnak beemari na lag jaey yeh khayal aatey hi inka tanau (erection) foran khatam hogaya. Ab lashaouri tor per unhoney apni biwi ko uss aurat ki tarhan khatarnak samajh liya. Yeh aisa hi hai kay aap ko Lahore mein ek kutta kaat aur phir aap na sirf Lahore bul kay Islamabad kay kutton sey bhi khauf zada hongey. Chund session kay baad inka masla hal ho gaya. Phir inkay 2 bachey bhi paeda hogaey. To ek bar phir woh issi masley kay liye merey pass aaey. Ab phir mubashrat (Intercourse) sey pehley inka tanau (erection) khatam ho jata hai aur woh mubashrat (Intercourse) na kar saktey. Yeh sabit karney kay liye kay woh bilkul normal hain, biwi kay samney musht zani (masturbation) kartey. Nafsiyati analysis sey maloom hua kay inki 2 daughters theen aur ab inko khauf tha kay kahin phir beti paeda na hojaey. Iss imkan ko khatam karney kay liye la-shaour ney inki help ki aur unko namard bana diya. Chunancha ney mubashrat (Intercourse) hogi aur na hi beti paeda hogi. Magar Chund sessions kay baad woh bilkul normal ho gaey phir Allah ney unko beta bhi ata farmaya.
Namardi Ka Elaj:
Elaj (cure) sey pehley yeh bat yad rahey kay jawani mein tanau (erection) ka masla taqreeban 100% nafsiyati hota hai. Specially agar aap koi adviyat (medicine) use nahi kar rahey hain. Iss silsiley mein aap apney la-shaour sey bhi pooch saktey hain kay aap ka masla nafsiyati hai ya medical ya jismani. Agar aap ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai specially sotey huey subah kay waqt, to aap ko koi jismani beemari nahi bul kay apni namardi 100% aap kay zehen ki paedawar hai. Iss hawaley sey aap post ki tickets wala test jis ka pehley bhi zikar kara ja chuka hai usko bhi use kar saktey hain.
Sab sey pehley yeh baat zehen sey nikal dein kay ehtelam ya bachpan kay ghalat kamon maslan musht zani (masturbation) waghaera ney aap kay jism ko koi nuqsan pohnchaya hai. Puri duniya mein research sey yeh baat bar bar sabit ho chuki hai kay yeh cheezein nuqsandeh nahi. Iss masley kay hal kay liye adviyat (medicine) specially hakeemon kay totkay bilkul bhi istimal na karein. Mustanad adviyat (medicine) maslan viagra waghaera bhi apney tor per use na karein. Adviyat (medicine) ka zyada arsey tak use khatra sey khali nahi. Merey kay client inn medicines sey nuqsan utha chukey hain. Kisi bhi big hospital kay kidney ward ka visit karein to aapko maloom hoga kay wahan pey marezoon ki majority aisey naujawanon per mushtamil hai jinhonay mardana jinsi quwwat kay liye koi adviyat (medicine) specially koi neem hakeemi nuskha istimal kya.
Note: Ek bar phir takeed hai apni mardana jinsi quwwat ko check karney kay liye kabhi zina kay qareeb na jaein. Gunah kay elawa iss sey mohlik beemariyan lag jati hain. Iss kay elawa iss koshish mein aksar insan ko nakami hoti hai aur phir insan ko yaqeen ho jata hai kay woh jinsi tor per nakara ho chuka hai halankay woh bilkul fit hota hai.
Lashaour Sey Raabta:
Sab sey pehley aap apna lashaour sey poochein kay aap ka masla jismani hai ya medical ya nafsiyati. Lashaour sey rabta karney kay liye ek ring kay sath 12 inch lamba thread tie kar lein, thread ka end ko thumb aur index finger sey iss tarhan pakrein kay ring neechey ki taraf latak rahi ho. Aapki elbow table per ho. Yeh pendulum ban jaey ga iss ki basic harkat 2 types ki hai. Right left ya qareeb aur door. Sab sey pehley aap yes aur no kay isharey maloom karein. Iss kay liye ring ko latakatey huey apney aap sey ek aisa sawal karein jiska jawab yes mein ho. Phir ek aisa sawal karein jiska jawab 'no' mein ho. Maslan ring per nazar jamatey huey apney aap sey sawal karein kay kiya mein iss waqt Lahore mein hun (agar aap Lahore mein hain) issi sawal ko bar bar repeat karein hatta kay ring kisi ek direction mein harkat karney lagey. Agar na hiley to sawal kay sath dil mein yes yes kahein aur ring hilney lagey gi iss tarhan aap ko maloom ho jaey ga kay aap kay liye aap ka yes ka lashaouri ishara kya hai phir aap apney aap sey aisa sawal karein jis ka jawab 'no' mein ho maslan ring ko bilkul still rakhtey huey sawal karein kay kya mein iss waqt ice cream kha raha hun (jo kay aap nahi kar rahey hain) bar bar poochein. Sath hi dil mein no no kahein. Jald hi no kay liye ring move karney lagey gi. Yes aur no kay isharey samajhney kay baad ring ko hang kartey huey apney aap sey sawal karein kay mera masla (masley kay barey mein sochein) nafsiyati hai? jawab ko 2 times check karein. Mazeed check karney kay liye doosra sawal poochein kay kya mera masla jismani aur medical hai? Isko bhi 2 times check karein. La-shaour kay jawab 99% durust hota hai.
Namardi Kay Elaj Ka Pehla Tariqa:
Namardi kay elaj kay silsiley mein buniyadi kaam ek American Dr. William Master aur uski biwi Johnson ney kya. Ab inka tareeqa mamooli radobadal kay sath poori duniya mein istemal ho raha hai. Iss waqt yeh sab sey popular aur kamiyab tareeqa elaj hai. Aap apney tor per iss sey faeda utha saktey hain.
- Iss mushq kay liye 20 sey 30 minutes rakhein.
- Yeh mushq rozana karein.
- Yeh mushq aap uss waqt karein jab aap bohut pur sukoon hun.
- Kisi pur sukoon jagah neem tareeki mein bister per mukammal nude ho kar laet jaein.
- 5 minute tak issi tarhan letey rahein.
- 5 minute kay baad apney jism per hath phaerna shuru kar dein. Massage karein, Thapthapaein, chutki lein. Ahista ahista mukkey marein, Iss mushq mein apney penis ko hath na lagaein aur na hi iski taraf dheyan ley kar jaein. Aap ki sari tawajjuh touch aur feelings per ho jo mushq kay doran mehsoos karein. Iss mushq ka maqsad tanau (erection) nahi. Iss mushq mein aap purani dekhi hui blue film ka tasawwur bhi kar saktey hain. Yeh bhi tasawwur kar saktey hain kay koi pasandeeda aurat aap kay jism per hath phaer rahi hai. Yeh mushq musalsal 4 din karni hai.
- Panchvey din apney hath ko chikna karein aur apney penis, testicles aur other parts kay darmiyan ki jagah ko stimulate karein. Khusoosan penis kay glans aur iss kay baerooni ring aur topi kay nichley hissey ko jahan topi aur shaft aapas mein mil rahey hain. Inn per hath phaerein. Massage karein, thapthapaein aur bheenchein etc ya apney favourite tareeqey sey musht zani karein. Iss doran yeh tasawwur karein kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani kar rahi hai. Iss kay sath sabqa dekhi gaee blue print ka tasawwur karein. Yeh mushq rozana karein. Amooman ek week kay ander ander tanau (erection) paeda ho jata hai. Tahem ek week sey zyada waqt bhi lag sakta hai.
- Iss mushq kay doran jab tanau (erection) ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley jaein takay tanau (erection) kam ho jaey. Iss kay liye 100 sey ulti ginti gini ja sakti hai. Tanau (erection) kam honay per phir musht zani karein yahan tak kay phir tanau (erection) ho jaey. Tanau (erection) honay per phir dheyan doosri taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Erection kam honay per phir musht zani karein. Iss tarhan 4 bar yeh mushq karein. Es Mushq mein inzal na ho, ho jaey to pareshan na hon. Mushq jari rakhein.
- Usually 3 weeks mein tanau (erection) aana shuru ho jata hai. Zyada waqt bhi lag sakta hai iss doran pur sukoon rahein. Aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai.
- Iss doran inzal (ejaculation) wali musht zani (masturbation) har giz na karein.
- Mardana quwwat ko check karney kay liye zina na karein.
- Agar 4 week ki mushq kay baad bhi tanau (erection) paeda na ho to phir doosra tareeqa istimaal karein warna kisi achey mahir e nafsiyat ko milein jo jinsi masail ka mahir bhi ho. Doctors ki tarhan har mahir e nafsiyat jinsi masail ka mahir nahi hota.
Eric Aid System:
Namardi kay elaj ka adviyat (medicine) kay baghaer doosra kamiyab tareeqa eric aid system hai. Yeh system bazar sey 2000 sey 10000 tak mil jata hai. Jis shop sey aap yeh system khareedein gey woh shop keeper aap ko iss kay istemaal karney ka tareeqa bhi bataey ga. Yeh ek bohut hi effective aur safe tareeqa e elaj hai.
- Exercise 20 ta 30 minute tak karein.
- Yeh exercise rozana karein.
- Exercise aisey waqt karein jab aap bohut pur sukoon hon. Iss doran koi aap ko disturb na karey. Behter yeh hai kay ap rozana ek hi waqt per exercise karein.
- System ki madad sey tanau (erection) paeda karein. Jab tanau (erection) complete ho jaey to 5 minute kay baad air kharij kar kay tanau (erection) ko kam ya khatam kardein. 1 ta 2 minute kay baad phir tanau (erection) paeda karein. 5 minute kay baad air kharij kar dein. 1 sey 2 minute kay baad phir tanau (erection) paeda karein. 5 minute kay baad air kharij kar dein. Iss tarhan yeh exercise 4 times karein.
- Yeh exercise aap ko daily 1 week tak karni hai. Exercise kay doran agar kabhi inzal (ejaculation) ho jaey to pareshan nahi hona hai, aisa ho jata hai.
- 8th day system sey tanau (erection) paeda karney kay baad penis ki base per rubber ka ring charha dein jis sey tanau (erection) khatam nahi hoga. 15 minute kay baad ring utar dein phir dekhein kay tanau (erection) kitni der tak qaem rehta hai. Yeh exercise poora week jari rakhein.
- 3rd week yehi exercise karein. 15 minute kay baad ring utar dein. Tanau (erection) kam honay per oily hath sey musht zani (masturbation) karein aur tanau (erection) ko zyada karein. Jab tanau (erection) zyada ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) ko kam karein. Tanau (erection) kam honay per phir musht zani (masturbation) karein. Tanau (erection) honay per phir tawajjuh kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Iss tarhan 4 times musht zani (masturbation) karein.
Musht zani (masturbation) kartey huey yeh sochna bohut mufeed hoga kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani (masturbation) kar rahi hai. Issi tarhan pehley kabhi dekhi gaee blue print ka tasawwur karna bhi mufeed hoga. Iss exercise mein inzal (ejaculation) na ho. Inzal (ejaculation) sey pehley ruk jaein. Agar kabhi ho jaey to pareshan na hun. Exercise jari rakhein.
8. Pura week yeh exercise jari rakhein yeh uss waqt tak jari rakhein jab tak aap puri tarhan satisfied na ho jaein. (Zilbergled)
9. Iss doran inzal (ejaculation) wali musht zani (masturbation) nahi karein.
10. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina nahi karein.
Namardi Ka Adviyat Sey Elaj:
Viagra aur iss tarhan ki doosri adviyat bhi Male Impotence (erectile dysfunction) kay masley mein muasser hain magar 100% nahi. Viagra taqreeban 80% logon kay liye kamyaab hai. Viagra kay kaee side effects hain. Maslan headache, face ka red ho jana, chakkar aana, allergy, dysentery aur eye sights weak ho jana etc. Viagra ka zyada aur continuous istemal nuqsandeh hai. Ek andazey kay mutabiq ab tak iss sey 30 death ho chuki hain. Viagra effective hai magar iss ka asar temporary hai aur yeh iss masley ka elaj nahi. Iss tarhan ki adviyat (medicine) kay sath sath nafsiyati elaj bhi zaroori hai. Yeh adviyat (medicine) 30 minute kay baad effective hoti hain aur iss ka asar 6 hours tak rehta hai. Yani khaney kay 4 hours kay baad kisi bhi waqt iss sey faida uthaya ja sakta hai.
Viagra ki wajah sey agar tanau (erection) 4 hours sey zyada rahey to foran doctor ka pass jaein warna insan mustaqil namardi ka shikar ho sakta hai. Viagra khali pait li jati hai. Ek bar mubashrat (Intercourse) kay baad agar 24 hours kay baad phir mubashrat (Intercourse) ki koshish kari jaey to phir iss ka asar shuru hojata hai. Baaz mardon kay liye viagra ek do dafa istemaal karney sey effective nahi hoti. Iss soorat mein yeh 3rd aur 4th time effective sabit hoti hai.
Viagra aur iss tarhan ki adviyat (medicine) har insan kay liye nahi hai. Aisey log jinko recently heart attack hua ho woh iss ko istemaal na karein. Iss kay elawa hypertensive aur hypotensive log bhi isko use na karein, heart aur kidney ki beemari kay patient bhi iss ko use na karein. Issi tarhan stomach ulcer aur khoon ki beemariyun ki soorat mein viagra ko use na kya jaey. Baaz adviyat (medicine) kay sath bhi iss ka use nuqsan deh hai maslan high blood pressure ki medicines, Nitrite wali medicines (Isosorbide, Angised etc) issi tarhan viagra ko angina ki adviyat (medicine) kay sath bhi use na kya jaey.
Yeh tablets 100mg ki packing mein aati hain. Iss ki safe dose 50 mg hai. Aksar logon kay liye 25mg effective hai. Jin logon ko lever ya kidney ka masla hai yeh jo aids ki medicines ley rahey hain woh 25mg sey zyada na lein. Issi tarhan 60 years ki age kay baad iss ki safe dose 25mg hai. Aisi adviyat (medicine) week mein ek bar leni chahiyien. Week mein 2 dafa sey zyada to har giz na li jaein. Darmiyani waqfa kam sey kam 2 days ka ho.
Aaj kal herbal medicines bohut famous hain. Jab kay aksar herbal medicines mein viagra waghaera bhi shamil hoti hai. Baaz jahil hakeem mardana quwwat ki bahaali kay liye steroids dey detey hain. Yeh waqti tor per testosterone ki tarhan jinsi khwahish (libido) aur tanau (erection) ko zyada kartey hain. Magar baad mein iss sey zyada jinsi masail paeda ho jatey hain. Maslan tanau (erection) ka paeda na hona ya barqarar na rehna. Issi tarhan inzal (ejaculation) aur orgasm kay masail bhi paeda ho jatey hain. Yani insan kay liye orgasm aur inzal (ejaculation) hasil karna mushkil ho jata hai. Yani mustaqil masail paeda ho jatey hain. (Bruce; Zilbergeld).
No comments:
Post a Comment