MUBASHRAT INTERCOURSE FOR WOMEN
Shaadi ki bunyad mubashrat hai magar humarey haan aksar log iss ki alif bay sey bhi waqif nahin yaqeen karein kuch logon ko to yeh bhi ma'aloom nahin kay mubashrat kahan hoti hai woh exact jagah konsi hai? Iss silsilay mein humari khawateen ki ma'aloomaat to na honey kay baraber hain jis ki wajah sey woh azdwajii zindagi sey bharpoor andaaz sey lutf andooz nahin hotiin bul kay aksar to shadeed jhunjhalahat (frustration) ka shikar hoti rehti hain. Humarey haan amooman mubashrat ko achi cheez nahin samjha jata jis ki wajah sey aksar khawateen jinsi amal mein bharpoor shirkat aur ta'awwun nahin kartiin nateejatan woh khud bhi aksar auqaat azdwajii lutf sey mehroom rehti hain aur khawand bhi bharpoor jinsi sukoon aur lutf hasil nahin kar pata. Haala'n kay islam mein shadi kay ba'ad mubashrat koi na pasandeeda cheez nahin bul kay Allah kay nabi ney mubashrat ko naekii aur sadqa qaraar diya hai jis ka sawab milta hai.(muslim) aur agar biwi ta'awwun na karey to woh gunah ki murtakib hoti hai. (bukhari) Aksar khawateen kay nazdeek mubashrat ek takleef deh cheez hai aur woh iss se khauf zada hoti hain chuna'ncha mubashrat kay iss khud saakhta khauf ki wajah se inn ka jism tann aur akar jata hai, khusoosan faraj (vagina) kay muscles tann jatey hain jis ki wajah se mubashrat ka amal takleef deh ho jata hai. Lekin agar biwi mubashrat kay doran apney jism, khusoosan faraj (vagina) kay paththo'n (muscles) ko bilkul dheela chor dey to amooman mubashrat mein takleef nahin hoti. Aam tor per shuru ki chund mubashraton mein kuch takleef hoti hai lekin yeh takleef bhi uss takleef sey kam hoti hai jo aurton ko zaiwar kay shoq main naak, kaan mein chaed karwaney sey hoti hai.
SEXUAL DIFFERENCE BETWEEN MAN AND WOMEN
Jinsi (sexually) le'haz sey mard aur aurat mein fitri tor per bohut sexual differences (jinsi farq) hain, mard ma'amooli ishteaal (stimulation) sey bohut jald jinsi amal kay liye tayyar ho jata hai phir jun'hi mard jinsi tor per mushta'il ho jata hai to woh mubashrat kay zari'ay manzil ho kar jinsi sukoon hasil karna chahta hai lekin agar woh jinsi ishtia'al kay ba'ad manzil na ho to woh na sirf apney aap ko ghaer mutma'in mehsoos karta hai bul kay shadeed jhunjhalaahat aur takleef (discomfort) ka shikar ho jata hai. Agar mard ko biwi kay adum ta'awwun ki wajah sey bar bar iss tajurbey sey guzarna parey to phir ya to woh jins mein dilchaspi kho deta hai, ba'az intihaee surto'n mein to woh na mardi ka shikar ho jata hai ya phir doosri aurton ki taraf maa'il ho kar gunah ki daldal mein dhans jata hai. Isi liye Allah kay nabi ney farmaya : "shohar jab biwi ko apni zaroorat kay liye bulaey to woh foran uss kay liye hazir ho jaey chahey woh tanoor per bethi ho (roti paka rahi ho)"(tirmazi) Ek doosri hadees mein irshaad hai kay shohar jab bhi apni biwi ko apney bister per bulaey aur woh inkaar kar dey to farishtey subah tak uss per la'anat bhejte rehtey hain (bukhari)Jinsi tayyari kay liye waqt kay le'haz sey bhi donon mein bohut difference (farq) hai mard jinsi amal kay liye jald tayyar ho jata hai, mard do teen minute kay jinsi ishti'aal sey manzil ho kar orgasm (intiha-e-lazzat) hasil kar leta hai, jab kay aurat ko orgasm hasil karne kay liye Fitri tor per mard sey 10 guna zyada waqt ki zaroorat hai usey orgasm kay liye, 30 minute kay mohabbat kay khel (Foreplay) aur a'aza-e-makhsoosa (genitals) kay ishtia'al ki zaroorat hai. Mard aur aurat kay jinsi tajurbey bhi ek doosrey sey mukhtalif hotey hain mard bunyadi tor per jinsi haejaan ko kharij karna chahta hai jab kay aurat ka tajurba iss kay bilkul ulat hota hai aurat ko jinsi khushi uss waqt zyada mehsoos hoti hai jab uss kay jinsi haejaan mein aahista aahista izafa ho.
SEXUAL DESIRE IN MAN AND WOMEN
Mian biwi ki sexual desires (jinsi khwahish) bhi ek jaisi nahin hoti kabhi mard mein kam aur aurat mein zyada hoti hai aur kabhi iss ka ulat hota hai iss tarah kabhi khawand mein jinsi khwahish (libido) zyada hoti hai aur kabhi biwi mein. Amooman mard ki sexual desires (jinsi khwahish) aurat ki nisbat kuch zyada aur shadeed hoti hai, usooli tor per mard ki jinsi khwahish aur dilchaspi 17 ta 19 saal ki umar mein urooj per hoti hai jab kay aurat kay jinsi urooj ki umar 25 ta 39 saal hai. Mard aur aurat ki jinsi khwahish aur dilchaspi mein tabdeeli aati rehti hai ba'az auqaat zehni daba'u aur zyada masroofiyat ki wajah sey mard ki sexual desires (libido) kam ho jati hai jab kay doosri taraf khawand ghar sey bahar pur kashish khawateen ko dekhta hai jiski wajah sey usey zyada jinsi angaekht ka samna karna parta hai iss surat mein uss kay jinsi jazbaat foran mushta'il ho jatey hain phir woh jinsi sukoon chahta hai. Isi liye Allah kay nabi ney farmaya: "tum mein se kisi ko jab (koi doosri) aurat bhali mehsoos ho aur dil per chot parey to chahiyie kay apni biwi kay sath humbister ho, iss tadbeer sey ajnabee aurat ka asar dil sey jata rahega."(muslim)
Isliye zaroori hai kay biwi aisi soorat e haal mein khawand kay sath ta'awwun karey warna gunah gaar hogi. Ek survey mein ma'aloom hua kay 2/3 khawateen mardon ki nisbat mubashrat ki kam khwahish rakhti hain, Kinsey kay survey kay mutabiq shaadi kay shuru mein khawand biwi sey zyada mubashrat ki khwahish rakhta hai lekin darmiyani umar (35 -40) mein ulat yani iss umar mein aurat zyada jinsi khwahish rakhti hai. Hunt kay survey sey ma'aloom hua kay 5% aurton mein shadi kay ba'ad mubashrat ki khwahish nisbatan kam thi yani shaadi kay ibtida'ee dino'n mein iski jinsi khwahish kam thi magar Redook kay survey mein 33% biwiyon ney bataya kay unki khwahish thi kay woh mojooda haalat sey zyada mubashrat kartiin. Aksar mahireen ka khayal hai kay mard sex ko zyada ahmiat deta hai jab kay aurat romance ko magar ba'az doosrey mahireen ka khayal hai kay donon mubashrat chahtey hain yani donon jinsi khwahish kay hawale sey mukhtalif nahi, doosrey alfaz mein aurat bhi sex ko bohut pasand karti hai farq yeh hai kay aurat ko sex sey bharpoor lutf andoz honay kay liye kam az kam 20 ta 30 minute Foreplay (mohabbat kay khel) ki zaroorat hoti hai jab kay mard ko amooman sirf 2, 3 minute kay foreplay ki zaroorat hai aur ba'az ko koi zaroorat nahin, woh foran jinsi amal kay liye tayyar ho jatey hain ta'hum ek baat per saarey mahireen muttafiq hain kay mard bunyadi tor per mubashrat aur inzal chahta hai, woh mard jin ko bharpoor sex milti hai woh apni biwiyon ko bharpoor mohabbat detey hain kyun kay mard kay dil aur rooh ko kholney kay liye usey bharpoor sex ki zaroorat hai.
No comments:
Post a Comment