Pages

Monday, 5 November 2012

FEMALE EROGENOUS ZONE (ZINSI LEHAZ SE HASA HISAY)

FEMALE EROGENOUS ZONE

(ZINSI LEHAZ SE HASA HISAY)

Jo ziada hasaas hisay hotay hain un main...
  1. clitoris (Bazer).
  2. G-spot.
  3. Vagina (faraj).
  4. Labias (Lub).
  5. Breasts (pistaan).
  6. Buttocks (Sareen).

1. CLITORIS (BAZER):

Maahireen kay mutabiq aurat kay jism ka hassas tareen hissa uska bazer hai taa'hum kuch aurton ki faraj (vagina) zyada hassas hoti hai, bazer aurat kay a'aaza-e-makhsoosa kay ooper waley hissey mein jahan inner labias (androoni lub) miltey hain mojood hota hai yeh murghi ki kalghi ya matar kay daaney jaisa hota hai iss ka size amooman 1/ 4 ta 1/5 inch hota hai taa'hum iss ka size chota, bara ho sakta hai, bazer ko aurat ki taa'ngein khol kar aasani kay sath dekha ja sakta hai, achi tarah dekhney kay liye iss kay hood ko ek taraf kar dein.  Bazer (Clitoris) ko mushta'il karney sey aurat laaziman jinsi urooj hasil kar leti hai, yeh jinsi ishtia'al mein akarr jata hai magar jinsi ishtia'al kay urooj aur orgasm kay ba'ad sukarr jata hai. Bazer ka jinsi lutf kay elawa aur koi maqsad nahin chu'n kay yah faraj sey kafi duur taqreeban derh inch (1.5inch) kay faasley per hota hai jis ki wajah sey aam haalaat mein mubashrat kay doran zakar (penis) iss ko touch nahin karta isey amooman ungli sey hi chuna aur mushta'il karna parta hai, bazer ko chuna faraj kay chuney sey zyada lutf angaez hota hai. Aurat kay jinsi urooj kay ba'ad yeh zyada hassas ho jata hai phir aurat ko isey chuna napasand hota hai, chuney sey usey takleef hoti hai, taa'hum iski hassasiyat badalti rehti hai. Iska sab sey hassas hissa iska ooper wala hota hai agarchae iss kay pehlu (sides) bhi bohut hassas hotey hain.

2. G-SPOT:

Bazer kay ba'ad aurat ka doosra jinsi hissa g spot kehlata hai, iss ko ek german doctor Grafen Berg ney 1950 mein daryaaft kya aur ab yeh usi kay naam sey mosoom hai. Agar aurat muu'nh aasman ki taraf kar kay laet jaey to yeh maqam uski faraj kay ek do inch ander faraj ki ooper wali deewar mein hota hai. G spot ko mushta'il karne sey aurat zabardast orgasm hasil karti hai magar yeh orgasm khud lazzati (Masturbation) aur dakhool yani mubashrat kay orgasm sey mukhtalif hota hai magar bohut lutf angaez. Yeh amooman chotey lobia (kidney bean) ki shakal ka hota hai magar ragarney sey mushta'il ho kar dugna ho jata hai taa'hum har aurat kay G spot kay size aur maqam mein farq hota hai G spot mushta'il karne sey aurat ko jhatka lagta hai, jagah sooj jati hai.  Aur aurat ko peeshaab ki khwahish mehsoos hoti hai le'haza isey mushta'il karney sey pehley aurat ko peeshaab kar lena chahiyie taa'hum agar ishti'aal jari rahey to 2 ta 20 minutes kay massage kay ba'ad aurat ko jinsi lutf mehsoos honay lagta hai. G spot stimulation sey 54% aurtein paani kharij karti hain aur 14% humesha ikhraj karti hain, yeh ikhraj bey rung hota hai taa'hum ikhraj ya baghaer ikhraj kay orgasm kay lutf mein ma'amooli farq hota hai ek survey mein 80% khawateen ney isey jinsi le'haz sey bohut hassas hissa qarar diya. Ek aur survey mein 66% aurton ney bataya kay unn ko iss jagah ka ilm hai, humarey haan 99.9% log g spot sey aagah nahin.

Dr. Davidson aur uss kay saathiyo'n ka khayal hai kay har aurat g spot rakhti hai aur ikhraj ki ahel hai magar ikhraj amooman doosrey ya teesrey orgasm mein hasil hota hai. Yaad rahey kay aurat ek hi waqt mein ek sey zyada orgasm hasil kar sakti hai. Mubashrat mein g spot tak pohonchney kay liye aagey peechey (rear entry) yani Doggy Style zyada munasib hai jab kay ba'az khawateen khawand kay zakar ko g spot per ragarr sakti hain.  Apney g spot ko talaash karney kay liye aap apni faraj mein ghari (clock) ka tasawwur karein iss kay 12 bajay naaf per tasawwur karein aur g spot 11 bajay aur 1 bajay kay darmyaan hoga iss ki talaash kay liye apni ungliya'n faraj mein daakhil kar kay iss maqam ko ungliyo'n sey daei'n (right), baei'n (left) zor zor sey ragrei'n woh jagah sooj jaey gi, aapko peeshaab ki khwakish mehsoos hogi magar aap rub karti jaei'n hatta kay aap orgasm hasil karlein gi agar ragarrna jari rakhein gi to ek sey zyada orgasm aur ikhraj hasil kar sakti hain.

3. VAGINA (FARAJ):

Aurat ka teesra hassas hissa uski faraj hai sari faraj hassas nahin hoti bul kay sirf iska baerooni teesra hissa 1 ta 1.5 inch hassas hota hai ba'az aurton kay faraj kay muu'nh (entrance) ki bajaey uski dae'n aur bae'n atraaf zyada hassas hoti hain.

4. LABIAS (LUB):

Aurat ki andaam-e-nihaani kay lub bhi bohut hassas hotey hain, baerooni lub jin per baal hotey hain kam aur androoni surkh lub zyada hassas hotey hain ba'az auqaat androoni lubo'n kay ishtia'al sey bhi aurat orgasm hasil kar leti hai.

5. BREASTS (PISTAAN):

Aurat kay pistaan bhi jinsi tor per bohut hassas hotey hain yani aurtein (1%) sirf inn kay ishti'aal sey bhi orgasm hasil karleti hain. Pistan chotey, barey ho saktey hain magar inn kay size ka aurat ki jinsi hassasiyat sey koi ta'alluq nahin. Choti chaatiya'n zyada aur bari kum hassas ho sakti hain. Pistaan dekhney mein bhi jinsi tor per bohut purkashish hotey hain, inn ka sab sey hassas hissa inn kay nipples hotey hain. Bohut si aurton kay nipples aur andaam-e-nihaani ka bila wasta ta'alluq hota hai chuna'ncha nipples ko mushta'il karna dar'asal vulva ko mushta'il karna hai. Jinsi haejaan mein nipples tunn jatey hain magar doodh pilaney wali aurton mein aisa nahin hota. Ek dilchusp baat yeh hai kay ek nipple nisbatan zyada hassas hota hai, aurat ko iss cheez ka ilm hona chahiyie taa'kay woh jinsi lutf kay liye apney khawand ko bata sakey.

6. Buttocks (Sareen):

Pistaan kay ba'ad aurat kay sareen bhi kafi hassas hotey hain inn ko chaerna aur mushta'il karna aurat ko pasand hai yeh dekhney mein bhi khoobsoorat lagtey hain bohut sey mard sirf inn ko dekh kar jinsi tor per mushta'il hojatey hain.

DOOSRY HASAAS HISSAY

Naaf kay neechey aur andaam-e-nihaani kay lubo'n kay ooper baalo'n wala hissa bhi bohut hassas hota hai, isi tarah paet khusoosan paet ki bae'n taraf naaf aur naaf kay neechey wala hissa bhi kafi hassas hai iss kay elawa faraj aur maq'ad (anus) kay darmyan wala hissa jinsi tor per bohut hassas hai, khud maq'ad kay ird gird kay hissey ko mushta'il karna bhi bohut si aurton ko pasand hai. Raane'in, khusoosan unka androoni hissa, baazu aur unka androoni hissa, gaal, haunt (lips), zubaan, muu'nh ka androoni hissa, baghal, kamar, gardan aur iska pichla aur bae'n taraf ka hissa, gala, kaan ki laue'en, kaan ka pichla hissa, ghutno'n ka pichla hissa, haatho'n ki ungliyo'n ki paurei'n, pao'n ka angootha aur jild waghaera.

LATEST RESEARCH:

Taaza tareen research mein maahireen ney do hassas maqamaat ki nishan dahi ki hai U spot yani peeshaab ki naali ka agla sooraakh (urethral opening) X spot yani bachcha daani ka muu'nh (cervix).

No comments:

Post a Comment