Pages

Tuesday, 7 August 2012

Female Sexual Problems - Larkiyon Kay Masail Aur Hal

Female Sexual Problems

Larkiyon Kay Masail Aur Hal:

  Mard aur aurat kay genitals mein bohut farq hai. Iss farq ki wajah sey dono ek doosrey sey alag alag hain. Aurat kay genitals ko 2 parts mein divide kya ja sakta hai. 
  1. Woh organs jinko hum bahir sey dekh saktey hain.
  2. Woh organs jo jism kay ander hotey hain aur jinko hum dekh nahi saktey hain.
    Aurat kay baerooni aaza (external genitals) ko Vulva kaha jata hai. Jis hissey per baal hotey hain inko Labia majora kaha jata hai. Inn lips kay ander waley lips ko Labia Minora kaha jata hai. Labia Minora sexually bohut hi sensitive hotey hain.
 Agar labia majora ko kuch khola jaey to aap dekhein gey kay sab sey neechey vagina hai, yeh ooper neechey 2 walls hoti hain jo kay aapas mein mili hoti hain. Vagina ki length 3.5 to 4.5 inches hai aur average 4 inch hoti hai. Mard iss mein mubashrat (Intercourse) karta hai. Isi sey mahwaari (menses) ka khoon bahir ata hai. Issi sey bachey ki paedaesh hoti hai.Vagina kay mouth kay kuch ander ek membrane hoti hai jisko hymen kaha jata hai.
    Vagina kay kuch ooper peeshab ki nali hoti hai jis kay zariye urine bladder sey bahir aata hai. Iss kay ooper jahan labia minora khatam hoti hai waha bazer (Clitoris) hota hai jo pea sead kay baraber chicken ki kalghi ki tarhan hota hai. Iss ka size ¼ to 1/5 inch hota hai. Iss kay ooper ek hood hota hai. Sexually aurat ka sab sey sensitive part yehi hai. Jinsi lutf kay elawa iss ka koi aur maqsad ya kaam nahi.
    Aurat kay internal genitalia mein ahem tareen organ G spot hai. Bazer (Clitoris) kay baad sexually yeh second sensitive part hai. Isey ek german gynecologist Earnest Grafenberg ney discover kya aur yeh issi kay name sey famous bhi hai. Agar aurat face aasmaan ki taraf kar kay letey to yeh uski umbilicus kay neechey vagina ki ooper wali wall mein 1 ta 1.5 inch ander ki taraf hota hai. Yeh ek chotey lobia ki shakal ka hota hai. Iski stimulation sey aurat zabardast orgasm hasil karti hai. Magar yeh orgasm musht zani (masturbation) aur mubashrat (Intercourse) kay orgasm sey mukhtalif hota hai. G spot kay stimulation sey 54% aurtein pani kharij karti hain. Vagina kay end per uterus hota hai jis mein baby ki growth hoti hai. Uterus amrood ki shape ka hota hai. Iss ki walls moti aur muscles ki bani hui hoti hain. Uterus ka munh vagina mein khulta hai. Uterus kay dono taraf left aur right 2 tubes hoti hain. Inko fallopian tubes kaha jata hai. Yeh tubes ek taraf uterus sey mili hoti hain aur doosrey end per ovaries sey mili hoti hain. Ovaries 2 hoti hain. Ovaries mein lakhon ki ta'adaad mein eggs hotey hain. Har month sirf ek egg ki growth hoti hai. Yeh egg left ya right kisi bhi ek ovary mein tayyar ho sakta hai. Qudrati tor per har month bari bari ovaries mein sey kisi ek sey egg nikalta hai. Ovulation kay waqt ek egg kisi ek ovary sey nikal kar fallopian tube mein aa jata hai. Doosri taraf sey mard ka sperm aata hai. Donon kay milney sey pregnancy ho jati hai. Yeh egg aur sperm mil jatey hain to phir uterus mein aa jatey hain. Jahan baby ki growth hoti hai.

Bara Bazer (Clitoris) Zyada Jinsi Khwahish Ki Alamat?

 Individual difference ki wajha sey different khawateen kay bazer (Clitoris) ka size different hota hai. Aurat ka sexually most sensitive yehi part hai. Qadeem zamaney sey yeh khayal chala aa raha hai kay jin aurton ka bazer (Clitoris) big hota hai woh zyada jinsi khwahish(libido) rakhti hain.
Yani jitna big bazer (Clitoris) utni hi zyada jinsi khwahish. Doosri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hota hai unki jinsi khwahish kam (low libido) hoti hai. Iss liye big bazer (Clitoris) wali aurton kay bazer (Clitoris) kay ooper wala kuch hissa cut kar diya jata hai takay zyada jinsi khwahish aur jazbat ki wajah sey woh sexually zyada active ho karbeyrahrawi ikhtiyar kar kay family ki badnaami ka sabab na banein. Aaj bhi Egypt aur doosri African countries aur America kay baaz hisson mein bazer (Clitoris) ka circumcision hota hai. Jab ka es nazariya ki koi haqeeqat nahi. Dekha gaya hai kay aisi aurtein jin kay bazer (Clitoris) ka size big hai woh sexually zyada active nahi hotiin. Doosri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hai woh zyada active hoti hain. 

Parda e Bakarat (Hymen): 

Pakistan kay baaz elaqon mein suhag raat mein bed per white bedsheet bichai jati hai takay aurat ki virginity check ki ja sakey. Agar pehli raat bed per khoon laga hai to aurat ko virgin samjha jata hai warna iss ko foran divorce dey di jati hai. Yani agar khoon na nikley to isko badkirdar samjha jata hai. Hymen ki majoodgi ya adum-mojoodgi aurat ki virginity ka sign nahi. Merey ek naujawan client ney meri ek workshop "Shadi ki bharpoor khushi---Masail aur hal" mein shirkat kari aur phir iss ki shadi ho gaee. Shaadi kay next day us ka phone aya. Woh bohut hi pareshan tha aur biwi ko divorce deney ka soch raha tha. Pareshan iss liye tha kay iss ney successful mubashrat (Intercourse) kii magar iss raat uski biwi ko khoon nahi aya.
Hamarey yahan hymen kay silsiley mein bhi ghalat maloomat ki bharmaar hai aur iss ko virginity ka sign samjha jata hai. Yeh vagina kay hole mein zara ander ki taraf mojood hota hai. Magar yeh mukammal tor per vagina ko band nahi karta. Iss mein 1 sey 2 holes hotey hain takay mahwaari (menses) ka khoon nikal sakey. Yeh usually moon shaped hota hai lekin yeh size, shakal aur thickness kay lehaz sey mukhtalif aurton ka mukhtalif hota hai. Aksar aurton ka yeh hymen narm o nazuk hota hai aur pehli mubashrat (Intercourse) mein aasani sey rupture ho jata hai. Jis sey mamooli takleef hoti hai aur kuch khoon bhi nikalta hai. Baaz aurton ka hymen sakht gosht ka bana hota hai jo mubashrat (Intercourse) mein rukawat aur takleef ka sabab banta hai. Aisi surat mein minor operation ki zaroorat hoti hai. Baaz khawateen ka yeh hymen bohut hi elastic hota hai jo kay mubashrat (Intercourse) sey rupture nahi hota kyun kay yeh ander ko push kara ja sakta hai. Aisi surat mein aurat pregnant ho jati hai aur baaz surton mein to child birth bhi ho jati hai phir bhi yeh rupture nahi hota. Prostitutes iss soorat e haal sey khoob faeda uthati hain aur bar bar nath khulwai wasool karti hain.
    Hymen ka hona ya na hona kisi bhi aurat kay virgin honay ka suboot nahi. Bohut si larkion ka hymen kisi accident ya uchal kood ki wajah sey rupture ho jata hai. Baaz ka musht zani(masturbation) ki wajah sey rupture ho jata hai. Issi tarhan mahwaari (menses) kay doran pads waghaera kay use ya safaee sey bhi phat sakta hai. Baaz khawateen ka paidaishi tor per mojood hi nahi hota aur kuch khawateen ka hymen khoon kay ikhraj aur takleef kay baghaer hi phatt jata hai. Baaz mahireen ka khayal hai kay zyada tar khawateen ka hymen paedaesh kay baad fitri tor per ahista ahista ghayab hona shuru hojata hai. Lehaza hymen ka na hona hargiz iss baat ka suboot nahi kay larki badkirdar hai. (Zakir: Mobeen: Hyde: Bechtel)

Pistaan (Breasts)

Baloghat mein larkyon kay jism mein bohut si tabdeelian aati hain. Inn mein ek ahem change pistaan (Breast) ka ubhar hai. Yeh ek medical kaifiyat hai. Yeh kaifiyat larki ko aurat bananey aur mother banney kay liye tayyar karney ki ibtidaee manzil hai. Aurat kay pistaan (Breast) ka ubhar husn ki alamat samjhee jati hai. Aurat kay jism mein pistaan (Breast) sab sey zyada prominent sexual characteristic hain. Na sirf mard bul kay aurtein bhi inn ko sexual sign samajhti hain. Aurton kay pistaan (Breast) chotey bhi ho saktey hain aur big bhi. Baaz elaqon maslan france mein chotey aur smart pistaan (Breast) zyada pasandeeda hain. Jab kay bohut sey doosrey elaqon mein big pistaan (Breast) husun ki alamat hain. Issi tarhan baaz afraad ko big pistaan (Breast) pasand hain aur baaz mard chotey aur smart pistaan (Breast) kay aashiq hotey hain. Pistaan (Breast) kay chotey ya big honay mein heredity, female hormones aur general sehat ka dakhal hai.
    Jin elaqon mein big pistaan (Breast) pasand kiye jatey hain wahan unko barhanai ki bharpoor koshish ki jati hai. Wahan har khatoon ki khwahish hoti hai kay inn kay pistaan (Breast) big hon. Western countries mein khusoosan America mein pistaan (Breast) enlarge karney kay bohut sey tareeqey aazmaey ja chukey hain jin mein surgery bhi shamil hai. Magar iss mein koi khas kamiyabi hasil nahi hui.

 Breast Size - Pistaan Ka Size:

 Birth control ki tablets mein female hormones shamil hotey hain inkay istemal kay baad pistaan (Breast) size mein kisi had tak izafa ho sakta hai. Issi tarhan silicon ka injection dey kar bhi pistaan (Breast) ko artificially big kya ja sakta hai. Estrogen cream laganey sey bhi pistaan (Breast) kuch enlarged ho saktey hain. Surgery ki madad sey bhi inko big kya ja sakta hai. Magar surgery bohut khatarnak hai aur yeh surgery expensive bhi hai. Aisi surgery usually shaadi kay baad ki jati hai. Issi tarhan kuch log vacuum kay zariye bhi pistaan (Breast) big karney ka dawa kartey hain. Yeh system Pakistan mein bhi mojood hai magar iss sey koi farq nahi parta magar try karna mein kya harj hai. Shaadi kay baad specially bachey ki paedaesh kay baad khawateen kay pistaan (Breast) big ho jatey hain. Baaz khawateen kay pistaan (Breast) naram aur loose ho jatey hain aur inko exercise kay zariye hard kya ja sakta hai.
    Kuch din pehley Kashmir sey ek 26 year old unmarried larki ney mujhey call ki woh apna large pistaan (Breast) ki wajah sey pareshan thee. Usually big pistaan (Breast) aurat kay husn ko dobala kartey hain magar agar yeh bohut big ho to inn ko sambhalna mushkil ho jata hai. Iss surat mein operation kay zariye unko small kya ja sakta hai. Magar un-married larkiyon ko iss ka mashwara nahi diya ja sakta. Kyun kay operation kay nishan nazar aatey hain. Iss tarhan husband kisi ghalat fehmi ka shikar ho sakta hai.
    Baaz auqat ek pistaan (Breast) kuch big aur doosra kuch small hota hai. Yeh ek normal cheez hai. Na kay koi beemari. Iss kay elaj ki zaroorat nahi lekin agar yeh farq bohut hi zyada ho to shaadi kay baad surgery ki madad li ja sakti hai.
        Issi tarhan baaz auqat ek pistaan (Breast) zyada sensitive hota hai aur doosra kam. Yeh bhi ek normal cheez hai. Baaz larkiyon kay pistaan (Breast) kay nipples kay bahir Areola kay erd gird kuch baal grow ho jatey hain yeh bhi ek normal cheez hai. Iss kay elaj ki zaroorat nahi. Agar chahein to inko aasani sey laser sey remove karaya ja sakta hai.
    Bohut si larkiyan pistaan (Breast) kay tanau sey nijat hasil karney kay liye aur apni personality ko purkashish bananey ka liye bra ka estimal karney lagti hain. Baaz auqat woh tight bra pehenti hain takay tanau sey nijat hasil ho sakey. Magar yeh tareeqa sahi nahi kyun kay tight bra sey pistaan (Breast) ki growth ruk jati hai. Baaz larkiyan bohut loose bra use karti hain woh bhi sahi nahi, Iss sey pistaan (Breast) latak jatey hain. Lehaza bra na bohut zyada tight ho aur na hi bohut loose. Bul kay pistaan (Breast) kay size kay mutabiq ho. (Dastoor: Kawal Dheer)

Breast Cancer: (Chaati Ka Cancer):

Breast cancer (Chaati ka cancer) puri duniya mein aam hai. Aurton kay cancer mein 25% khawateen sirf Breast cancer ka shikar hain. America mein 10% khawateen iss marz mein mubtila hain. Wahan har year 41000 khawateen iss beemari sey marti hain. Hamarey yahan yeh beemari nisbatan kam hai. Yeh beemari 40 ta 60 years ki age mein khawateen ko hoti hai. Agar kisi aurat ki dadi, nani, mother ya sister ko yeh beemari thee to aisi aurat ko iss beemari ka zyada khatra hota hai. Woh aurtein jo choti age mein bachey paeda karti hain aur woh aurtein jo bachon ko apna doodh pilati hain woh iss beemari sey mehfooz rehti hain. Agar iss beemari ka initial stage mein pata chal jaey to 10 mein sey 9 mareez sehatiyab ho jatey hain. Iss beemari ki diagnosis aap khud bhi kar sakti hain. Iss kay liye zaroori hai kay har khatoon apni pistaan (Breast) ka baqaida examination karey. Yeh examination har month mein ek baar zaroor hona chahiyie. Takay jitni jaldi pata chal jaey ga elaj bhi itna hi aasan hoga. Mahwaari (menses) kay doran examination nahi karna chahiyie kyun kay iss doran pistaan (Breast) mein fitri tor per lumps mojood hotey hain. Lehaza examination mahwaari (menses) sey pehley ya baad mein kya jaey. (Woman's Body)

Chaati Ka Muaina (Breast Examination):

Monthly examination kay liye apni shirt utaar kay ek big mirror kay samney kharey ho jaein. Arms donon side per latkey huey hun aur phir bari bari apney donon pistaan (Breast) ko ghor sey dekhein kay kahiin pistaan (Breast) ki external side per koi irregularities to nahi. Kahin koi dimple, puckering ya koi swelling waghaera to nahi. Phir arms ko head sey ooper uthaein aur doobara inn cheezon ko check karein. Dekhein kay nipples mein koi change to nahi. Agar koi irregularity nazar aaey to foran doctor sey contact karein. Phir palm ko nipples kay ooper rakh kay aram sey dabaein. Usually aurton kay donon pistaan (Breast) baraber nahi hotey hain. Phir ek ek nipple ko thumb aur finger mein pakar kay dabaein aur dekhein kay kahin khoon ya pus waghaera to nahi nikla. Nikley to foran doctor sey contact karein.  
    Ab bister per laet jaein. Right shoulder kay neechey pillow rakhein. Right hand ko sar kay neechey rakhein aur left hand sey apna right pistaan (Breast) ahista ahista dabaein aur check karein. Pistaan (Breast) kay har part ko daba kar check karein kay koi swelling ya lumps to nahi. Check kartey waqt pistaan (Breast) ki koi jagah na chorein. Phir issi tarhan left pistaan (Breast) ko check karein. Ab pillow ko left shoulder kay neechey rakhein aur left hand ko sar kay neechey aur right hand sey pehley ki tarhan tafseel kay sath left pistaan (Breast) ko check karein. Swelling ya lump ki soorat mein foran doctor sey contact karein. Baaz auqat lumps khatarnak nahi hotey. Har bar apna examination karney kay baad aap ko khushi hogi kay aap bilkul theek hain.

Barey Pistaan (Breast) Wali Khawateen Jinsi Tor Per Zyada Purjosh Hoti Hain?

Khayal kara jata hai kay big size pistaan (Breast) wali aurat zyada jinsi jazbat rakhti hai aur woh sexually zyada active hoti hai. Jab kay small pistaan (Breast) wali aurtein sex kay muamley mein zyada active nahi hotiin. Research sey sabit ho chuka hai kay pistaan (Breast) kay size ka aurat ki sexuality kay sath koi ta'alluq nahi. Small pistaan (Breast) wali aurat sexually zyada active ho sakti hai jab kay big size pistaan (Breast) wali aurat bilkul thandi.
 Tahem sexually sensitivity kay lehaz sey pistaan (Breast) ka number 3rd hai jiska size kay sath koi ta'alluq nahi. Agarcha big pistaan (Breast) dekhney mein khubsoorat lagtey hain (Har shakhs ko nahi) magar aurat ki bharpoor azdawaji zindagi mein pistaan (Breast) size ki koi khas ahmiyat nahi bul kay tareeqa ahem hai. Jinka ham apni next book "Azdawaji Khushiyan" mein tafseel ka sath zikar karaingai. (Dastoor) 

Chotey Pistaan (Breast) Mein Doodh Ki Kami Hoti Hai?

Kuch arsa pehley ek sahib ney mujhey call ki. Inki new marriage thee. Woh apni wife ka pistaan (Breast) size kay hawaley sey fikarmand thay jo kay unkay khayal mein bohut hi chotay thay. Inko bataya gaya kay pistaan (Breast) size kay aurat ki jinsi zindagi kay sath koi ta'alluq nahi. Inko asal fikar iss baat ki thee kay inn mein itna milk aa jaey ga kay inn ka babies ka pait bhar sakey. Yani woh bharpoor andaz sey apney bachon ko feed kar sakey gi. Pistaan (Breast) chahey kitna hi chotey kyun na ho milk paeda karney mein kotahi nahi kartey hain. Kisi aur wajah sey milk mein kami ho sakti hai magar pistaan (Breast) kay chotey honay sey milk mein kami nahi hoti.








Namardi - Male Impotence And Treatment

Namardi - Male Impotence

Kuch din pehley ek khatoon nai mujhey phone karkay bataya kay iss ki shadi ko 8 years ho chukey hain magar abhi tak mubashrat (Intercourse) nahi hui. Husband koshish kay bawajood mubashrat (Intercourse) mein nakam raha. Ab inhonein qabool kar liya kay woh iss qabil hi nahi. Wife ney husband ko elaj kay liye hamarey pass bhijwaya. 5 sessions ka baad unhoney kamyab mubashrat (Intercourse) kar liya. Har insan ko zindagi mein kabhi na kabhi yeh masla ho jata hai. Iss mein insan ko ya to tanau (erection) nahi hota ya phir woh iss tanau (erection) ko mubashrat (Intercourse) kay liye barqarar nahi rakh sakta. Iss ki kaee types hain:

                               
Types Of Impotence
  1. Primary Impotency
  2. Secondary Impotency
    Primary Impotency mein insan ko kabhi tanau (erection) nahi hota jab kay secondary mein insan ko aam halat mein to tanau (erection) hota hai magar junhi woh mubashrat (Intercourse) karney lagta hai to tanau (erection) khatam ho jata hai. 52 years old ghulam fareed guzishta 4 saal sey mubashrat (Intercourse) nahi kar saka. Jab woh biwi kay sath foreplay kar raha hota to uss ko khoob tanau (erection) hota magar junhi mubashrat (Intercourse) kay liye kaprey utarta, tanau (erection) khatam ho jata.

Namardi Ki Mazeed Aqsaam:

   Partial Impotency: Iss mein insan ko tanau (erection) hota hai magar iss mein zyada sakhti nahi hoti jiski wajha sey insan dakhool (penetration) mein nakam rehta hai.

Complete Impotency: Iss mein insan ko mamoli sa bhi tanau (erection) nahi hota. 

Temporary Impotency: Iss mein insan ko kabhi tanau (erection) hota hai aur kabhi nahi hota. Biwi ka sath hoga magar kisi dusri aurat ka sath na hoga. Mera aik maroof client apni biwi ka sath bilkul normal hota tha magar kisi dusri aurat ka sath na-mard. Essi tarhan mera aik aur client biwi ka samnai mushtzani (masturbation) karta to bilkul normal hota magar intercoursre ki koshish karta to iss kay penis ka tanau (erection) khatam hojata.

Permanent Impotency: Iss mein insan ko kabhi bhi tanau (erection) nahi hota.

    Namardi ka masla kafi aam hai magar premature ejaculation sey kam hai. Ek survey sey maloom hua hai kay America mein 10% log kabhi na kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain. Agar koi shakhs 4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) mein nakam hojaey to iss sey foran kisi mahir e nafsiyat sey rabta karna chahiyie. Der ki sorat mein maslai ko hal karna mushkil hojata hai. Jawani mein yeh masla taqreeban 100% nafsiyati hota hai. Jis insan ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai woh bilkul normal hota hai. Agar insan ko shadeed beemari nahi to har mard ko raat sotey hoey 4 to 5 time tanau (erection) hota hai. Jo kay kuch minutes sey lay kar half hour tak rahta hai. Magar aksar logon ko iss ka ilm aur ahsas nahi hota.
Yeh log bilkul normal hotey hain aur inki namardi nafsiyati hoti hai. Yeh janney kay liye kay apko raat ko sotey huey tanau (erection) hota hai yeh nahi ek saada sa test karein. Post office sey ticket khareed lein jo aapas mein juri hui ho. Raat ko sotey waqt inn tickets ko penis ki topi kay neechey penis kay charon taraf lapaet dein aur sojaein. Subha check karein agar yeh tickets alaehda ho gaey hun to aap ko raat ko sotey huey theek thaak tanau (erection) hua hai aur aap bilkul normal hain. Nafsiyati elaj kay liye kisi mahir e nafsiyat sey milein jo mahir e jinsiyat bhi ho. Har mahir e nafsiyat iss field mein mahir nahi hota. 
    40 years kay baad 15% logon ko yeh masla jismani ho sakta hai. Yani kisi jismani beemari ki wajah sey penis mein pura khoon nahi jata. Jiski wajah sey insan ko tanau (erection)  nahi hota. Iss tarhan baaz adviyat (medicine) kay side effects ki wajah sey yeh masla paeda ho jata hai jo kay adviyat (medicine) chorney ya change karney sey khud ba khud theek ho jata hai.

Namardi (Jinsi Kamzori) Ki Ahem Wajoohaat:

 Namardi ki bohut si wajoohaat mein sey kuch ahem wajoohaat yeh hain:

Musht Zani (masturbation) Kay Nuqsanat Ka Khauf: 

    26 years old khubsurat sehat mand imran ki shadi honay wali thee. Usay shak tha kay woh shadi kay qabil nahi. Jab iss kay la shaour ki madad sey iss ka nafsiyati tajzia kiya  gaya to pata chala kay woh bachpan mein kabhi kabhar khud lazzati/musht zani (masturbation) karleta tha. Iss doran uss ney ek pamphlet parha jis mein musht zani (masturbation) kay bohut sey nuqsanat ka zikar tha. Writer ney iss baat per bohut zor diya tha kay iss sey insan mardana kamzori (male impotency) ka shikar ho jata hai aur shadi kay qabil nahi rehta hai. Iss pamphlet kay parhney kay baad woh mardana kamzori mehsoos karney laga aur elaj kay liye ek hakeem kay pass gaya. Hakeem sahib ney usko check kara aur zor dey kar kaha kay woh jinsi tor pey bilkul khatam ho chuka hai. Uss kay baad uss kay penis ka tanau bilkul khatam ho gaya. Hamarey elaj kay chund sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya. Hamarey yahan namardi ki sab say bari wajah musht zani (masturbation) sey muzir asrat ka khauf or darr hai. Jab kay duniya bhar ki tahqeeqat sey sabit ho chuka hai kay iss kay kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat (disadvantages) nahi hain.

Zehni Dabau (Tension - Stress):

Namardi (erectile dysfunction) ki ek bohut bari wajah Zehni dabao bhi hai. Mukhtalif tajurbaat sey sabit hua hai kay Zehni dabao ki wajah sey jinsi hormones (testosterone) ki paidawar mein kami ho jati hai. jiski wajah sey jinsi khwahish (libido) aur tanau (erection) kam ho jata hai aur woh mubashrat mein nakam ho jata hai. Jab Zehni dabao ki wajah sey insan ek ya do baar mubashrat mein nakam rehta hai to phir sharmindigi ki wajah sey biwi kay pass nahi jata hai jis ki wajah sey na sirf ghar ka mahol bohut tense ho jata hai bul kay insan mustaqil tor per mardana jinsi kamzori ka shikar ho jata hai. Halan kay jis tarhan ek ya do bar khansi aaney sey insan ko TB nahi ho jati issi tarhan ek ya do baar tanau (erection) na honay sey insan namard nahi ho jata hai. Baaz log mubashrat kay zariye apna zehni dabao khatam kar letey hain. 

Nakami Ka Khauf (Fear Of Failure):

Namardi (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah nakami ka khauf hota hai. Insan yeh samajhta hai kay bachpan kay ghalat kamon ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor hai aur mubashrat nahi kar sakta. Isey shadeed khauf hota hai kay woh shaadi ki pehli raat nakam ho jaey ga. Phir woh jaisa sochta hai waisa hi ho jata hai. Aksar naujawano ko khauf hota hai ka inn sey mubashrat (Intercourse) nahi hogi aur woh kamiyab nahi hongey. Chunancha woh nakam ho jatey hain. Bohut sey student exam kay khauf ki wajah sey bharpoor tayyari kay bawajood nakam ho jatey hain.

Tashweesh (Anxiety): 

Aaj ki duniya tashweesh ki duniya hai. Har shakhs kisi na kisi tashweesh ya khatrat mein mubtila hai. Iss tashweesh ki wajah sey baaz auqat insan ko tanau (erection) nahi hota aur tanau na honay ki wajah sey insan khaufzada ho jata hai. Doosrey din iss ko khuaf hota hai kay shayad aaj phir woh nakam hojaey aur iss tashweesh aur khauf ki wajah sey woh phir nakam ho jata hai. Iss tarhan 1 ya 2 bar nakam honay per usko yaqeen ho jata hai kay woh namard ho chuka hai.

Depression: 

Depression ek fazool nafsiyati beemari hai jismai insan shadeed udaasi, afsurdigi aur tanhai mehsoos karta hai. Kuch karney ko dil nahi chahta, kuch acha nahi lagta. Iss marz mein aksar mareezon ki jeeney ki aur jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai. Jinsi khwahish kay khatmey ki wajah sey woh tanau mehsoos nahi karta aur namardi (jinsi kamzori) ka shikar ho jata hai. Chunancha jinsi kamzori (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah depression hai. Depression ki medicines bhi mardana kamzori ka reason hoti hai. Depression ki baaz adviyat (medicine) maslan Desyrel ka asar ulta hota hai yani yeh namardi ko khatam karti hai.

Ehsaas e Gunah (Guilt):

Naujawan wakeel ki jald shadi honay wali thee magar iss ko puri tarhan tanau nahi hota tha. Iss naujawan ka ta'alluq ek mazhabi gharaney sey tha. Ab isko khauf tha kay woh shadi mein kamiyab na hoga. Mubashrat na kar sakey ga. Nafsiyati tajziya sey maloom hua kay kuch saal pehley usko kam sey kam 3 dafa zina karney ka moqa mila aur iss ney zina ki koshish bhi kari magar lashaouri ehsaas e gunah ki wajah sey isko tanau nahi hua aur woh nakam ho gaya. Uskay baad usko yaqeen hogaya kay woh mardana kamzori ka shikar hai.

Jinsi Amal Sey Perhaez:

    Agar arsa daraz tak jinsi amal sey perhaiz kya jaey ya insan ko jinsi amal ka moqa na miley to bhi insan ki jinsi karkardaqi mein kami aa jati hai. Kyun kay insan apna jin aaza ko istimal nahi karta unki karkardigi kam hojati hai.

Jinsi Beemari Ka Khauf:

 Jinsi beemari ka khauf bhi insan ki jinsi karkardegi ko kam aur khatam kardeta hai. Mera ek mareez ek paeshawar aurat kay pass gaya. Junhi woh mubashrat (Intercourse) shuru karney laga to foran usko khayal aya kay kahin isko AIDS na lag jaey to foran iss ka tanau (erection) khatam ho gaya. Phir woh taweel arsey tak iss qabil hi na raha.

Sharab: 

Sharab shuru mein insan ko jinsi tor per stimulate karti hai. Magar baad mein yeh tanau (erection) ko mutassir karti hai. Hatta kay zyada sharabnoshi insan ko namard bana kar uski azdawaji zindagi aur khushion ko khatam kardeti hai.

Cigarette Noshi:

 Research sey yeh baat samney aaee hai kay cigarette smoking sey khoon vessels shrink ho jati hain jis ki wajah sey penis ko munasib miqdaar mein khoon nahi milta jiski wajah sey insan ko tanau (erection) ka masla ho jata hai. Aaj kal cigarette smoking bhi namardi ki ek ahem wajah hai.

Trauma:

Sar aur back bone kay doosrey aur teesrey vertibra ko chot lagney sey bhi mardana quwwat kam yeh bilkul  khatam hojati hai. Issi tarhan testes aur peeshab ki nali ki chot sey bhi yeh masla paeda hojata hai.

Diabetes: 

   Namardi ki jismani wajoohaat mein sab sey bari wajah sugar hai. Sugar kay taqreeban 50% patients apni beemari ki wajah sey mardana quwwat mein kami ka shikar hojatain hain. Aaj kal iss ka elaj bhi mushkil nahi raha.

    Neechey di gaee tamam beemarion ki wajah sey yeh masla paeda hojata hai. 

  • Khoon ki nalion ki beemarian Vascular disorders maslan khoon pressure waghaera.
  • Lever ki beemarian maslan Cirrhosis.
  • Heart beemariyan.
  • Jinsi hormone testosterone ki kami
  • Hormones ka disturbance maslan Prolactin ki ziyatti.
  • Thyroid ki karkardegi mein kami-beshi.
  • Pait, Prostate yeh Pelvis ka cancer ka operation.
  • Cholestrol ki ziyadti.Testes kay scrotum ki baaz beemarian.
  • Kidney beemariyan.
  • Pain ka khauf maslan joint pain.


Side effects Of medicine:


 Bohut se adviyat (medicine) ka side effect ki wajha sey bhi yeh masla paeda hojata hai. Ahem adviyat (medicine) following hai.
  • Antibitoics.
  • Khoon pressure ki adviyat (medicine).
  • Depression ki adviyat (medicine).
  • Anxiety ki adviyat (medicine).
  • Lithium.
  • Stomach ki baaz adviyat (medicine).
  • Heart beemariyan ki adviyat (medicine).
  • Psychiatric drugs.
  • Sedatives, Tranqulizers maslan valium waghaira
  • Nasha awar ashiya maslan heroin waghaira. 

Over Eating:

Zyada khana aur motapa bhi jinsi karkardegi mein kami ki aik wajha ban sakta hai. (Hyde: Kaplan: Bruce) 

Ek naujawan surgeon jiski haal hi mein shadi hui thee, bohut pareshani kay alam mein merey pass aya. Iski biwi bhi doctor thee. Shadi kay baad ek month tak woh mubashrat (Intercourse) na kar saka. Isko tanau (erection) hota tha magar jaisey hi biwi kay pass mubashrat (Intercourse) kay liye jata iss ka tanau (erection) khatam hojata. Nafsiyati tajziye sey maloom hua kay surgeon sahib kay father ki death ho chuki thee.
Inko apni mother sey bohut mohabbat thee. Woh abhi tak mother kay sath hi sotey thay. Jab shadi hui to lashaouri tor per unhoney har aurat ko jis kay sath soya jaey apni mother samajh liya. Mother kay sath kon mubashrat (Intercourse) karta hai. Lehaza inka tanau (erection) mubashrat (Intercourse) sey pehley khatam ho jata. Uskay la-shaour ko samjhaya gaya kay har aurat mother nahi hoti. Chund sessions kay baad unka masla khatam hogaya aur unhonein kamyab mubashrat (Intercourse) karli aur ek achi aur khush gawar zindagi ka aghaz kya.  
    Chund saal pehley ek naujawan wakeel namardi kay elaj kay liye tashreef laey. Shadi kay kaee week baad tak mubashrat (Intercourse) na kar sakey thay. Nafsiyati analysis sey malooom hua kay kuch arsa pehley woh apney aap ko check karney kay liye kisi prostitute kay pass gaey. Dakhool (penetration) sey chund lamha pehley inko ek dam khayal aya kay kahin inko iss prostitute sey koi khatarnak beemari na lag jaey yeh khayal aatey hi inka tanau (erection) foran khatam hogaya. Ab lashaouri tor per unhoney apni biwi ko uss aurat ki tarhan khatarnak samajh liya. Yeh aisa hi hai kay aap ko Lahore mein ek kutta kaat aur phir aap na sirf Lahore bul kay Islamabad kay kutton sey bhi khauf zada hongey. Chund session kay baad inka masla hal ho gaya. Phir inkay 2 bachey bhi paeda hogaey. To ek bar phir woh issi masley kay liye merey pass aaey. Ab phir mubashrat (Intercourse) sey pehley inka tanau (erection) khatam ho jata hai aur woh mubashrat (Intercourse) na kar saktey. Yeh sabit karney kay liye kay woh bilkul normal hain, biwi kay samney musht zani (masturbation) kartey. Nafsiyati analysis sey maloom hua kay inki 2 daughters theen aur ab inko khauf tha kay kahin phir beti paeda na hojaey. Iss imkan ko khatam karney kay liye la-shaour ney inki help ki aur unko namard bana diya. Chunancha ney mubashrat (Intercourse) hogi aur na hi beti paeda hogi. Magar Chund sessions kay baad woh bilkul normal ho gaey phir Allah ney unko beta bhi ata farmaya.

Namardi Ka Elaj:

 Elaj (cure) sey pehley yeh bat yad rahey kay jawani mein tanau (erection) ka masla taqreeban 100% nafsiyati hota hai. Specially agar aap koi adviyat (medicine) use nahi kar rahey hain. Iss silsiley mein aap apney la-shaour sey bhi pooch saktey hain kay aap ka masla nafsiyati hai ya medical ya jismani. Agar aap ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai specially sotey huey subah kay waqt, to aap ko koi jismani beemari nahi bul kay apni namardi 100% aap kay zehen ki paedawar hai. Iss hawaley sey aap post ki tickets wala test jis ka pehley bhi zikar kara ja chuka hai usko bhi use kar saktey hain.
    Sab sey pehley yeh baat zehen sey nikal dein kay ehtelam ya bachpan kay ghalat kamon maslan musht zani (masturbation) waghaera ney aap kay jism ko koi nuqsan pohnchaya hai. Puri duniya mein research sey yeh baat bar bar sabit ho chuki hai kay yeh cheezein nuqsandeh nahi. Iss masley kay hal kay liye adviyat (medicine) specially hakeemon kay totkay bilkul bhi istimal na karein. Mustanad adviyat (medicine) maslan viagra waghaera bhi apney tor per use na karein. Adviyat (medicine) ka zyada arsey tak use khatra sey khali nahi. Merey kay client inn medicines sey nuqsan utha chukey hain. Kisi bhi big hospital kay kidney ward ka visit karein to aapko maloom hoga kay wahan pey marezoon ki majority aisey naujawanon per mushtamil hai jinhonay mardana jinsi quwwat kay liye koi adviyat (medicine) specially koi neem hakeemi nuskha istimal kya.

Note: Ek bar phir takeed hai apni mardana jinsi quwwat ko check karney kay liye kabhi zina kay qareeb na jaein. Gunah kay elawa iss sey mohlik beemariyan lag jati hain. Iss kay elawa iss koshish mein aksar insan ko nakami hoti hai aur phir insan ko yaqeen ho jata hai kay woh jinsi tor per nakara ho chuka hai halankay woh bilkul fit hota hai.

Lashaour Sey Raabta:

Sab sey pehley aap apna lashaour sey poochein kay aap ka masla jismani hai ya medical ya nafsiyati. Lashaour sey rabta karney kay liye ek ring kay sath 12 inch lamba thread tie kar lein, thread ka end ko thumb aur index finger sey iss tarhan pakrein kay ring neechey ki taraf latak rahi ho. Aapki elbow table per ho. Yeh pendulum ban jaey ga iss ki basic harkat 2 types ki hai. Right left ya qareeb aur door. Sab sey pehley aap yes aur no kay isharey maloom karein. Iss kay liye ring ko latakatey huey apney aap sey ek aisa sawal karein jiska jawab yes mein ho. Phir ek aisa sawal karein jiska jawab 'no' mein ho. Maslan ring per nazar jamatey huey apney aap sey sawal karein kay kiya mein iss waqt Lahore mein hun (agar aap Lahore mein hain) issi sawal ko bar bar repeat karein hatta kay ring kisi ek direction mein harkat karney lagey. Agar na hiley to sawal kay sath dil mein yes yes kahein aur ring hilney lagey gi iss tarhan aap ko maloom ho jaey ga kay aap kay liye aap ka yes ka lashaouri ishara kya hai phir aap apney aap sey aisa sawal karein jis ka jawab 'no' mein ho maslan ring ko bilkul still rakhtey huey sawal karein kay kya mein iss waqt ice cream kha raha hun (jo kay aap nahi kar rahey hain) bar bar poochein. Sath hi dil mein no no kahein. Jald hi no kay liye ring move karney lagey gi. Yes aur no kay isharey samajhney kay baad ring ko hang kartey huey apney aap sey sawal karein kay mera masla (masley kay barey mein sochein) nafsiyati hai? jawab ko 2 times check karein. Mazeed check karney kay liye doosra sawal poochein kay kya mera masla jismani aur medical hai? Isko bhi 2 times check karein. La-shaour kay jawab 99% durust hota hai.

Namardi Kay Elaj Ka Pehla Tariqa:


 
Namardi kay elaj kay silsiley mein buniyadi kaam ek American Dr. William Master aur uski biwi Johnson ney kya. Ab inka tareeqa mamooli radobadal kay sath poori duniya mein istemal ho raha hai. Iss waqt yeh sab sey popular aur kamiyab tareeqa elaj hai. Aap apney tor per iss sey faeda utha saktey hain. 

  1. Iss mushq kay liye 20 sey 30 minutes rakhein.
  2. Yeh mushq rozana karein.
  3. Yeh mushq aap uss waqt karein jab aap bohut pur sukoon hun.
  4. Kisi pur sukoon jagah neem tareeki mein bister per mukammal nude ho kar laet jaein.
  5. 5 minute tak issi tarhan letey rahein.
  6. 5 minute kay baad apney jism per hath phaerna shuru kar dein. Massage karein, Thapthapaein, chutki lein. Ahista ahista mukkey marein, Iss mushq mein apney penis ko hath na lagaein aur na hi iski taraf dheyan ley kar jaein. Aap ki sari tawajjuh touch aur feelings per ho jo mushq kay doran mehsoos karein. Iss mushq ka maqsad tanau (erection) nahi. Iss mushq mein aap purani dekhi hui blue film ka tasawwur bhi kar saktey hain. Yeh bhi tasawwur kar saktey hain kay koi pasandeeda aurat aap kay jism per hath phaer rahi hai. Yeh mushq musalsal 4 din karni hai.
  7. Panchvey din apney hath ko chikna karein aur apney penis, testicles aur other parts kay darmiyan ki jagah ko stimulate karein. Khusoosan penis kay glans aur iss kay baerooni ring aur topi kay nichley hissey ko jahan topi aur shaft aapas mein mil rahey hain. Inn per hath phaerein. Massage karein, thapthapaein aur bheenchein etc ya apney favourite tareeqey sey musht zani karein. Iss doran yeh tasawwur karein kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani kar rahi hai. Iss kay sath sabqa dekhi gaee blue print ka tasawwur karein. Yeh mushq rozana karein. Amooman ek week kay ander ander tanau (erection) paeda ho jata hai. Tahem ek week sey zyada waqt bhi lag sakta hai.
  8. Iss mushq kay doran jab tanau (erection) ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley jaein takay tanau (erection) kam ho jaey. Iss kay liye 100 sey ulti ginti gini ja sakti hai. Tanau (erection) kam honay per phir musht zani karein yahan tak kay phir tanau (erection) ho jaey. Tanau (erection) honay per phir dheyan doosri taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Erection kam honay per phir musht zani karein. Iss tarhan 4 bar yeh mushq karein. Es Mushq mein inzal na ho, ho jaey to pareshan na hon. Mushq jari rakhein.
  9. Usually 3 weeks mein tanau (erection) aana shuru ho jata hai. Zyada waqt bhi lag sakta hai iss doran pur sukoon rahein. Aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai.
  10. Iss doran inzal (ejaculation) wali musht zani (masturbation) har giz na karein.
  11. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina na karein.
  12. Agar 4 week ki mushq kay baad bhi tanau (erection) paeda na ho to phir doosra tareeqa istimaal karein warna kisi achey mahir e nafsiyat ko milein jo jinsi masail ka mahir bhi ho. Doctors ki tarhan har mahir e nafsiyat jinsi masail ka mahir nahi hota.

Eric Aid System:

Namardi kay elaj ka adviyat (medicine) kay baghaer doosra kamiyab tareeqa eric aid system hai. Yeh system bazar sey 2000 sey 10000 tak mil jata hai. Jis shop sey aap yeh system khareedein gey woh shop keeper aap ko iss kay istemaal karney ka tareeqa bhi bataey ga. Yeh ek bohut hi effective aur safe tareeqa e elaj hai.
    
  1. Exercise 20 ta 30 minute tak karein.
  2. Yeh exercise rozana karein.
  3. Exercise aisey waqt karein jab aap bohut pur sukoon hon. Iss doran koi aap ko disturb na karey. Behter yeh hai kay ap rozana ek hi waqt per exercise karein.
  4. System ki madad sey tanau (erection) paeda karein. Jab tanau (erection) complete ho jaey to 5 minute kay baad air kharij kar kay tanau (erection) ko kam ya khatam kardein. 1 ta 2 minute kay baad phir tanau (erection) paeda karein. 5 minute kay baad air kharij kar dein. 1 sey 2 minute kay baad phir tanau (erection) paeda karein. 5 minute kay baad air kharij kar dein. Iss tarhan yeh exercise 4 times karein.
  5. Yeh exercise aap ko daily 1 week tak karni hai. Exercise kay doran agar kabhi inzal (ejaculation) ho jaey to pareshan nahi hona hai, aisa ho jata hai.
  6. 8th day system sey tanau (erection) paeda karney kay baad penis ki base per rubber ka ring charha dein jis sey tanau (erection) khatam nahi hoga. 15 minute kay baad ring utar dein phir dekhein kay tanau (erection) kitni der tak qaem rehta hai. Yeh exercise poora week jari rakhein.
  7. 3rd week yehi exercise karein. 15 minute kay baad ring utar dein. Tanau (erection) kam honay per oily hath sey musht zani (masturbation) karein aur tanau (erection) ko zyada karein. Jab tanau (erection) zyada ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) ko kam karein. Tanau (erection) kam honay per phir musht zani (masturbation) karein. Tanau (erection) honay per phir tawajjuh kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Iss tarhan 4 times musht zani (masturbation) karein.
Musht zani (masturbation) kartey huey yeh sochna bohut mufeed hoga kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani (masturbation) kar rahi hai. Issi tarhan pehley kabhi dekhi gaee blue print ka tasawwur karna bhi mufeed hoga. Iss exercise mein inzal (ejaculation) na ho. Inzal (ejaculation) sey pehley ruk jaein. Agar kabhi ho jaey to pareshan na hun. Exercise jari rakhein.
    8.  Pura week yeh exercise jari rakhein yeh uss waqt tak jari rakhein jab tak aap puri tarhan satisfied na ho jaein. (Zilbergled)
    9.   Iss doran inzal (ejaculation) wali musht zani (masturbation) nahi karein.  
    10. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina nahi karein.

Namardi Ka Adviyat Sey Elaj: 

    Viagra aur iss tarhan ki doosri adviyat bhi Male Impotence (erectile dysfunction) kay masley mein muasser hain magar 100% nahi. Viagra taqreeban 80% logon kay liye kamyaab hai. Viagra kay kaee side effects hain. Maslan headache, face ka red ho jana, chakkar aana, allergy, dysentery aur eye sights weak ho jana etc. Viagra ka zyada aur continuous istemal nuqsandeh hai. Ek andazey kay mutabiq ab tak iss sey 30 death ho chuki hain. Viagra effective hai magar iss ka asar temporary hai aur yeh iss masley ka elaj nahi. Iss tarhan ki adviyat (medicine) kay sath sath nafsiyati elaj bhi zaroori hai. Yeh adviyat (medicine) 30 minute kay baad effective hoti hain aur iss ka asar 6 hours tak rehta hai. Yani khaney kay 4 hours kay baad kisi bhi waqt iss sey faida uthaya ja sakta hai.
      Viagra ki wajah sey agar tanau (erection) 4 hours sey zyada rahey to foran doctor ka pass jaein warna insan mustaqil namardi ka shikar ho sakta hai. Viagra khali pait li jati hai. Ek bar mubashrat (Intercourse) kay baad agar 24 hours kay baad phir mubashrat (Intercourse) ki koshish kari jaey to phir iss ka asar shuru hojata hai. Baaz mardon kay liye viagra ek do dafa istemaal karney sey effective nahi hoti. Iss soorat mein yeh 3rd aur 4th time effective sabit hoti hai. 
    Viagra aur iss tarhan ki adviyat (medicine) har insan kay liye nahi hai. Aisey log jinko recently heart attack hua ho woh iss ko istemaal na karein. Iss kay elawa hypertensive aur hypotensive log bhi isko use na karein, heart aur kidney ki beemari kay patient bhi iss ko use na karein. Issi tarhan stomach ulcer aur khoon ki beemariyun ki soorat mein viagra ko use na kya jaey. Baaz adviyat (medicine) kay sath bhi iss ka use nuqsan deh hai maslan high blood pressure ki medicines, Nitrite wali medicines (Isosorbide, Angised etc) issi tarhan viagra ko angina ki adviyat (medicine) kay sath bhi use na kya jaey.  
    Yeh tablets 100mg ki packing mein aati hain. Iss ki safe dose 50 mg hai. Aksar logon kay liye 25mg effective hai. Jin logon ko lever ya kidney ka masla hai yeh jo aids ki medicines ley rahey hain woh 25mg sey zyada na lein. Issi tarhan 60 years ki age kay baad iss ki safe dose 25mg hai. Aisi adviyat (medicine) week mein ek bar leni chahiyien. Week mein 2 dafa sey zyada to har giz na li jaein. Darmiyani waqfa kam sey kam 2 days ka ho.
         Aaj kal herbal medicines bohut famous hain. Jab kay aksar herbal medicines mein viagra waghaera bhi shamil hoti hai. Baaz jahil hakeem mardana quwwat ki bahaali kay liye steroids dey detey hain. Yeh waqti tor per testosterone ki tarhan jinsi khwahish (libido) aur tanau (erection) ko zyada kartey hain. Magar baad mein iss sey zyada jinsi masail paeda ho jatey hain. Maslan tanau (erection) ka paeda na hona ya barqarar na rehna. Issi tarhan inzal (ejaculation) aur orgasm kay masail bhi paeda ho jatey hain. Yani insan kay liye orgasm aur inzal (ejaculation) hasil karna mushkil ho jata hai. Yani mustaqil masail paeda ho jatey hain. (Bruce; Zilbergeld).




Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size

Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size

Baaz naujawan apney Khusyon ki jisamat kay hawaley sey fikar mand hotey hain. Aam tor per tasawwur kiya jata hai ka chotey size kay Khusyon wala insan jinsi tor per kamzor hota hai. Essi tarhan scrotum agar tani honay ka bajai dheli dhali aur latki hui ho ya bhi jinsi kamzori ki alamat samjhi jati hai. Jabka haqeeqat yeh hai ka testicles ka size yeh theli ki jild ki lachak ka jinsi quwwat kay sath koi ta'alluq nahi.

Khusyon (Testicles) Ki Golion Ka Ooper Neechey Hona:

 Kuch naujawan isliye bhi pareshan hotey hain ka enka testis ki golian kabhi ooper chali jatin hain aur kabhi neechey. Es hawaley sey pareshan hona ki zarorat nahi kyun ka yeh kisi kharabi ki alamat nahi bul kay aik normal physiological process hai. Darasal Sperms testis mein paeda hotey hain. Enka zinda rahna ka liye zarori hai ka testis ka temperature jism sey kuch kam ho. Kyun ka agar testis ka temperature jism ka temperature ka baraber hojaiga to sperm marjaingai aur insan yeh to aulad paeda na kar sakaiga aur agar aulad hogi bhi to yeh zyada tar larkian hongi. Fitrat nai es silsilai mein aisa nizam banaya hai ka sardion mein yeh golian ooper jism ka kareeb chali jatin hain taqai required temperature barqarar rahey kyun ka zyada thandhak bhi sperms ka liye nuqsan deh hai aur garmion mein yeh golian jism sey door neechey chali jati hain taqai enka temperature jism ka temperature sey kam rahey aur sperms ko koi nuqsan na pohnchey. Yad rahey kay hiddat (heat) sperms ki dushman hai.
                Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles)
    Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuch bari hoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde)

Mani (Seminal Fluid):

 Musht zani (masturbation) kay baad sab sey zyada ghalat batain mani (seminal fluid) ka barai mein mashoor hain. Aksar naujawan mani ki quality (seminal fluid quality) kay hawaley sey pareshan hotey hain kay yeh patli hai ya garhi, thori hai yeh zyada, taqat sey nikalti hai yeh baghair taqat ka. Neem hakeem isey bhi khoob exploit kartain hain.

Mani (seminal fluid) 3 jagha banta hai:
  1. Testis
  2. Prostate Glands
  3. Seminal Vesicles
  Inn teeno jagha sey nikal kar peeshab ki nali mein jama hojata hai. Testis mein 2 types ka cells hotain hain. Aik kisim jinsi hormones testosterone paeda kartey hain jinka ta'alluq sexual drives aur mardana potency yani tanau (erection) ka sath hai. Yani es hormone ki wajha sey shawat aur penis mein tanau (erection) paeda hoti hai. Doosrey cell sperms paeda kartey hain jo bachai paeda karna ka sabab bantai hain. Insan jab aik bar ejaculate kar daita hai to kharij hona wali mani (seminal fluid) ki ta'adad 3.5ml hoti hai jismai 20 crore sey 1 million sperms hotey hain. Pregnancy ka liye 3 crore active sperms ki zarorat hai magar es surat mein usually larki paeda hoti hai. Agar sperms zyada hongai to larka paeda hona ka chances mein ezafa hojata hai. Sperm ka jinsi quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Agar sperms bilkul khatam bhi hojain to bhi insan ki mardana quwwat per koi asar nahi parta aur woh jinsi amal ka liye bilkul fit hota hai. Essi liye baaz afrat jinsi lihaz sey bohut mazboot aur active hotey hain magar woh bacha paeda nahi kar saktey hain. (Kothari:Shettle)

Mani Ki Quality Mein Farq:

Infiraadi ikhtilafaat ki wajha sey mani (seminal fluid) ki quality mein farq hota hai. Jiskamardana quwwat (potency) kay sath koi ta'alluq nahi. Mani (seminal fluid) ka siwaey bachey paeda karney kay aur koi function nahi isliye iski quality ki bhi koi ahmiyat nahi. Mani (seminal fluid) sperms kay ikhraj kay liye ek carrier hai yani iss ka zariyey sperms bahir aatey hain. Iss kay elawa mani (seminal fluid) mein protien aur sugar waghaira ki sorat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Lehaza mani (seminal fluid) ki quality ka hawaley sey hargiz pareshan honay ki zarorat nahi hai. Mani (seminal fluid) urine aur stool ki tarhan napak nahi. Kuch ulma esko bilkul napak samajhtey hain aur baaz issey khafeef napak samajhtey hain. Lehaza dry mani (seminal fluid) ko ragarna hi kafi hai. Hazrat Ayesha Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki dry mani (seminal fluid) ko ragar kar saf kardiya karti theen aur wash nahi karti thee albatta geeli mani (seminal fluid) ko dhoya karti thee aur Hazrat Muhammad (P.B.U.H) unhi geeley kapron mein namaz kay liye masjid jaya kartey thai. Hazrat Ayesha  farmati hain ka "Mein Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapray sey mani (seminal fluid) ko mul deti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) iss mein namaz parhtey". (Muslim)
   Aik dusri hadees mein ap farmati hain ka "Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapra sey mani ko mein dhoti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) namaz ka liye tashreef laijatai aur dhona ka neshan usmai hota". (Bukhari,Muslim)
    Es silsila mein aik ahem masla yeh hai ka agar mani (seminal fluid) lutf ka sath yeh phir puri tarhan baghair lutf sey nikal jai to insan per ghussal farz hojata hai.

Misconceptions About Seminal Fluid:

Mani Ek Qeemti Cheez Hai – Khoon Sey Bhi Qeemti?

 Neem Hakeemon ka khayal kay mutabiq mani (seminal fluid) johar-e-hayat aur ek bohut qeemti cheez hai. Famous formula hai kay 100 qatrey (drops) desi ghee ka to ek drop khoon ka aur 100 qatrey (drops) khoon kay to ek drop mani (seminal fluid) ka. Yani mani (seminal fluid) ka behna khoon kay behney sey bhi zyada qeemti hai. Mera ek naujawan client es khayal ki wajha sey pagal hogaya kyun ka iss ka khayal tha ka yeh ek bohut qeemti cheez hai. Ek bar yeh naujawan musht zani (masturbation) kar raha tha. Inzaal (ejaculation) ka kareeb esko khayal aya ka to ek bohut qeemti cheez hai to esna mani (seminal fluid) ko collect kara aur drink kargaya.

    Latest research sey sabit howa hai ka mani (seminal fluid) quwwat-e-hayat nahi aur na hi yeh khoon sey qeemti hai aur na hi iss ka khoorak kay sath direct koi ta'alluq hai. Agar hota to ghareebon kay bachey paeda hi nahi hotey. Mardana kamzori ki wajha sey enki biwiyan bhag jatin. Ek Indian doctor Kaiwal Dheer nai hisab kitab kar kay andaza lagaya hai ka agar mani (seminal fluid) waqai khoon sey qeemti hai to ek bar inzal (ejaculation) sey khoon ki ek bottle (500ml) nikal jati hai. Bohut sey logon nai kabhi na kabhi din mein 2 bar musht zani (masturbation) zaror kari hogi. Iss surat mein 2 bottles khoon ki nikalnay kay baad woh zinda kaisay rahey. Mera woh client jo din mein 15 bar tak kar leta tha isey to kisi bhi surat zinda nahi hona chahiya jab kay woh na sirf zinda hai bul kay healthy hai aur bachey paeda kar raha hai. Darasal mani (seminal fluid) thook sey ziyda qeemti nahi aur iss ka banney mein jism ki etni hi taqat sarf hoti hai jitni thook bananey mein. (Dastoor:Zakir:Mobeen)
                      Pichley dino ek khubsurat 6 feet ka healthy naujawan merey  paas elaj ka liye aya. Iss ney mujhey bataya kay uss ki mother uski shadi karna chahti hai, magar woh inkari hai. Ussey yaqeen tha kay woh shadi kay qabil nahi kyun kay uss ney musht zani (masturbation) kay zariyay apni mardana quwwat zaya kardi. Woh pichley 14 years sey musht zani (masturbation) kar raha hai aur koshish kay bawajood esko rok nahi saka. Research sey yeh bat sabit ho chuki hai ka mani (seminal fluid) koi energy nahi aur na hi iss ka mardana quwwat (male potency) kay sath koi ta'alluq hai. Ju'nhi iss naujawan ko iss haqeeqat ka ilm howa to uss ki khushi aur itmenan dekha na jata tha. Uss ney hansi khushi shadi kay liye haan kardi. (Dastoor:Zakir:Mobeen:Kaiwal Dheer)

Thick Mani Sey Zyada Jinsi Surur Aata hai?

    Aksar logon ka khayal hai kay orgasm kay liye mani (seminal fluid) ka shehed (honey) ki tarhan thick hona zarori hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi orgasm ka liye mani (seminal fluid) ka sirf kharij hona zarori hai. Baaz auqat insan inzal (ejaculation) kay baghair bhi orgasm hasil kar leta hai aur kabhi aisa bhi hota hai kay insan thick mani (seminal fluid) kharij karta hai magar orgasm sey mehroom rehta hai. Yeh sab kuch normal hai. (Dastoor:Zakir:Mobeen)

Mani Ahista Nikley To Bacha Paeda Na Hoga? 

Aam khayal hai kay inzal (ejaculation) kay waqt mani (seminal fluid) ko force kay sath nikalna chahiye warna bacha paeda na hoga. Yeh khayal bhi 100% ghalat hai. Mani (seminal fluid) ko agar spoon ki madad sey bhi vagina mein dal diya jai to bhi bacha paeda hojaiga. Iss silsiley mein American researchers Master and Johnson ney research ki hai kay inzaal (ejaculation) ka waqt ek naujawan ki mani (seminal fluid) 1feet sey 2feet ja girti hai jab kay 40 years kay baad 6 inch ta 1feet door ja girti hai.
    Research sey yeh baat bhi sabit ho chuki hai kay mani (seminal fluid) door girey ya nazdeek iss ka mardana quwwat aur bachey ki paedaesh sey koi ta'alluq nahi.


Patli (Thin) Mani Jinsi Aur Takhleeqi Kamzori Ki Alamat Hai?

Kashif ek sehat mand naujawan tha yeh shadi sey pahlotahi kar raha tha. Elaj kay liye mera pas aya. Iss ka yeh khayal tha ka kyun ka eski mani (seminal fluid) bohut thin hai lehaza woh jinsi tor per kamzor hai jiski wajah sey woh biwi ko satisfy nahi kar sakaiga aur dusra iss ka bachai bhi  paeda nahi hongai. Yeh ek aur ghalat baat hai ka agar mani (seminal fluid) thin hai to yeh jinsi kamzori ki alamat hai aur essai takhleeqi kamzori bhi zahir hoti hai. Yani agar mani (seminal fluid) thin hogi to essai bacha paeda na hoga. En dono baton ki koi haqeeqat nahi hai. Latest research sey en dono baton ki tardeed hoti hai. (Zakir:Mobeen)
Usul to yeh hai ka mubashrat (Intercourse) kay doran jab insan ka inzal (ejaculation) hota hai to mard ka sperms fallopian tube mein pohonch kar  hamal (pregnancy) ka sabab bantey hain. Magar baaz auqat mard kay inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho sakti hai. Iss ki sorat kuch youn hoti hai kay inzal (ejaculation) sey pehley penis sey ek khaas liquid kay 1 ya 2 qatrey (drops) kharij hotey hain. Baaz auqat iss liquid mein sperms bhi hotey hain. Chunachey insan jab mubashrat (Intercourse) kay doran inzal (ejaculation) nahi karta magar yeh qatrey (drops) nikal jatey hain jiski wajah sey baaz auqat inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho jati hai. Agarcha iss kay imkanat bohut hi kam hai. (Hyde)

Kya Mani (seminal fluid) Ko Mehfooz (Store) Kya Ja Sakta Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam tasawwur yeh hai ka mani (seminal fluid) ko store kiya ja sakta hai. Iss sey insan ki taqat mahfooz rahey gi. Haqeeqat yeh hai kay duniya mein koi bhi shakhs seminal fluids ko store nahi kar sakta kyun ka yeh musalsal banti aur kharij hoti rehti hai. Glass bhar janey ki sorat mein agar iss mein mazeed pani dala jaey to zahir hai kay pani gir jaey ga. Issi tarhan seminal vesicles bhar janey kay baad inzal (ejaculation) ka taqaza kartey hain. Yeh theliyan amooman 3.5 din kay baad bhar jati hain. Phir agar insan shaori tor per mani (seminal fluid) kharij nahi karey ga to yeh ehtelam ki sorat mein ghair shaori tor per kharij ho jaey gi.


    Married mard hazrat taqat aur mani (semen) ko store karney kay chakkar mein mubashrat(Intercourse) sey perhaiz kartey hain. Halan kay mubashrat (Intercourse) sey perhaiz ki sorat mein insan ki mardana quwwat mein kami aa jati hai. Doosri taraf jinsi khwaish (libido) ko musalsal dabaney sey insan kaee tarhan kay nafsiyati masail maslan lack of concentration, sleep disorder, tension, frustration aur nervousness ka shikar ho jata hai.  
    Jo log mulk sey bahir kam kartey hain aur saal ya 2 saal kay baad watan wapis aatey hain lamba arsa mubashrat (Intercourse) sey mehroom honay ki wajah sey inn afraad ki jinsi khwahish aur mardana quwwat yani tanau (erection) mein kami ho jatey hain. Iss kay elawa yeh log premature ejaculation ka bhi shikar ho jatey hain. Iss surat mein elaj karaney ki zarorat nahi bul kay sexual activity mein hissa leney ki wajah sey yeh problems khud ba khud solve ho jati hain. Europe aur America mein aisi daleel kay ba'is jail kay qaidion ko apni biwion sey milney ki ijazat di jati hai.

Kya Mani (semen) Ko Mehfooz Karney Sey Sehat Behtar Hoti Hai?

Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani (semen) ko kharij na honay diya jaey aur iss ko safe karliya jaey to insan ki sehat achi hogi, jism mazboot hoga, age lambi hogi aur iss ki athletics ki abilities mein izafa hoga. Yani agar koi insan mani (semen) ko kharij na karey to woh super athlete ban jaey ga. Iss falsafey kay tehet hamarey yahan pehelwanon ki jald shadi nahi kari jati. Research sey iss tarhan ki koi baat sabit nahi ho saki. Lehaza yeh tasawwur bilkul ghalat hai kay mani (semen) ko safe karney sey insan rustam e zama ban jaiga. (Dastoor:Zakir:Kaiwal Dheer:Mobeen)

Seminal Fluid Discharge And Health

Mani (semen) Ka Ikhraj Sehat Kay Liye Nuqsandeh Hai? 

 Yeh baat 100% ghalat hai ka mani (semen) ka ikhraj sey sehat per burey asraat partey hain bul kay haqeeqat yeh hai kay mani (seminal fluid) ka ikhraj sehat kay liye bohut mufeed hai. Kyun kay iss kay ikhraj sey insan ko hamesha zehni aur jismani sukoon milta hai jis sey sehat achi hoti hai na kay kharab. Iss liye naee shaadi ki sorat jab naujawan zyada mubashrat (Intercourse) kar kay zyada mani (semen) kharij kartey hain to inki sehat kharab honay ka bajaey behter hoti hai aur aksar naujawan shadi kay baad motey ho jatey hain. (Time:Zakir:Mobeen)

Mani (semen) Ki Miqdaar Mein Kami Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam khayal yeh bhi hai kay agar inzal (ejaculation) ka waqt kam miqdar mein mani (semen) kharij ho to yeh jinsi mardana kamzori (erectile dysfunction) ki alamat hai. Iss ka haqeeqat sey door ka bhi koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ki amount ka inhisar kay baton per hai. Naujawano mein mani (seminal fluid) ki miqdar zyada hoti hai. Magar 50 years kay baad iss ka amount kam ho jata hai. Issi tarhan agar jaldi jaldi mani (semen) kharij kari jai yani rozana mubashrat (Intercourse) kari jaey to bhi mani (semen) ka amount kam hoga aur agar week mein ek bar mubashrat (Intercourse) ki jaey to mani (seminal fluid) ka amount zyada hoga. Issi tarhan agar insan sexually zyada stimulate ho yani foreplay lamba ho to bhi zyada miqdar mein mani (semen) kharij hogi. Waisey Master and Johnson ki research kay mutabiq average 1 inzal (ejaculation) mein 3.5 ml mani (semen) kharij hoti hai. (Mobeen:Koth Ram)

Mani (semen) Mein Khoon Ya Pus Ana:

Baaz auqat insan ki mani (seminal fluid) mein khoon ya pus shamil hoti hai. Iss ki bari wajah prostate gland aur seminal vesicles ka infection, inflammation aur congestion hoti hai. Iss kay elawa trauma aur urethritis ki wajah sey bhi mani (seminal fluid) mein khoon aur pus aa jata hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey elaj karwaein. (Kothari)

Jiryan / Dhat Syndrome: 

Jiryan sey murad amooman woh white material liye jata hai jo peeshab ya rafa e hajat kay baad ya pehley mard kay penis sey kharij hota hai. Neem Hakeem isey ek bohut hi khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jis kay bohut sey nuqsanat hain. 

Jiryan Ki Mafrooza Tabaahkariyan: 

Jiryan kay hawaley sey mukhtalif logon ney ghalat fehmiyan phaelaee hui hain jin ka haqeeqat kay sath koi ta'alluq nahi. 
Homeo doctor Ali Asghar Choudri apni book mein farmatey hain kay jiryan sey:
  1. Dimagh kamzor ho jata hai. Parhney ko dil nahi chahta aur parhney kay bawajood kuch yad nahi hota.
  2. Eye sight kamzor honay lagti hai.
  3. Nerves kamzor hojati hain. Tarhan tarhan kay khouf tari ho jatey hain. Zara zara si baat per ghabrahat hoti hai. Dil dharakta hai aur eyes kay aagey andhera aajata hai.
  4. Chusti chalaki khatam hojati hai. Chehra bey ronaq ho jata hai. Badan sust aur kamzor honay lagta hai. Zara si mehnat mushaqqat per badan thak kay choor ho jata hai.
  5. Kisi kam ko dil nahi chahta.
  6. Legs aur kamar mein dard honay lagta hai.
  7. Susti aur udasi cha jati hai.
  8. Mezaj mein chirchira pan paeda honay lagta hai.
  9. Ahsas e kamtari tari hojati hai aur kisi sey ankh mila ka bat karna ka hosla nahi rehta.
  10. Gatherings mein janey sey khouf sa mehsoos hota hai.
Mani (seminal fluid) johar e hayat hai iss kay zaya honay sey zindagi ka chiragh timtimaney lagta hai aur isski roshni kam honay lagti hai.

Yeh Sab Ghalat Hai:


Agar aap kabhi Sunday kay newspapers kay ads aur dewari ads ka jaeza lein to mehsoos hoga kay sari nation jinsi mareez hai aur iss nation ka sab sey bara problem jiryan hai. Naujawan iss kay elaj per hazaron rupee kharch kar detey hain magar kuch farq nahi parta. Haqeeqat yeh hai kay yeh koi beemari nahi yeh urethral gland sey nikalney wala material hota hai jo usually uss waqt nikalta hai jab insan peeshab  ya stool kay liye zor lagata hai. Baz auqat sexual stimulation ya ehtilam waghaera ki wajah sey kuch mani (seminal fluid) kharij ho jati hai chun key peehsab ki naali seedhi nahi bul kay English kay letter S ki shakal ki hai jiski wajah sey sari mani (seminal fluid) kharij nahi hoti bul kay mani (seminal fluid) kay 1 ya 2 qatrey (drops) peeshab ki naali kay neechey waley curve hissey mein reh jati hain. Chunkay urine aur mani (seminal fluid) kay ikhraj ka ek hi rasta hai chunacha baad mein jab insan urine pas karta hai to yeh bachi hui mani (seminal fluid) urine ka pehla drop kay sath bahir aa jata hai.
    Medical science ki nazar mein jiryan ki koi ahmiyat nahi aur na hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai iss kay elaj ki koi zarorat nahi kyun kay yeh ek natural process hai.

Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine):

 Aksar  naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi tanau (erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay mani (seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai. 
    Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai prostate glands sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.
Kyun kay insan jab bhi sex kay hawaley sey sochta hai to agla qadam mubashrat(Intercourse) hi hota hai. Qudrat insan ko iss kaam kay liye tayyar kar deti hai aur kuch chikna material nikal kar penis kay munh per aa jata hai jo bator lubricant kaam karta hai jiski wajah sey penis ka munh chikna ho jata hai jis sey dakhool (penetration) aasan ho jata hai. Research sey yeh baat bhi sabit ho chuki hai kay iss liquid ka ikhraj kisi bhi tarhan sey nuqsan deh nahi.  
    Iss kay elawa zyada jinsi haejan mein inzaal (ejaculation) sey pehley 1 ya 2 qatrey (drops after urine) clear liquid kay bhi kharij hotey hain. Yeh mani (seminal fluid) nahi hota bul kayCowper's gland sey nikalney wala liquid hota hai jis ko qudrat ek aur khas maqsad kay tehet inzal (ejaculation) sey pehley kharij karti hai. Penis ki nali mein peeshab ki wajah sey sakht acidity paeda hojati hai aur agar iss acidity ko khatam karey baghair hi mani (seminal fluid) kharij hojaey to acidity ki wajah sey sperms mar jaein aur bachey ki paedaesh na ho. Lehaza yeh material peeshab ki naali ki acidity ko khatam karta hai. Iss kay elawa yeh material peeshab ki naali ko bhi chikna kar deta hai jiski wajah sey mani (semen) ka inzaal (ejaculation) easy ho jata hai. Warna thick mani (seminal fluid) ka ikhraj mushkil aur lutf ka bajaey jismani takleef ka ba'is ban jaey. Baaz auqat bazahir baghair kisi jinsi haejan kay bhi yeh material kharij ho jata hai. Aisi surat mein jinsi haejan laashaori hota hai jin sey insan aagah nahi hota magar iss kay reaction mein liquid kharij ho jata hai. Yeh bhi koi beemari nahi hai magar neem hakeemoon kay zaberdast propaganda ki wajah sey naujawan iss ko beemari samajh letey hain aur phir kamzori mehsoos karney lagtey hain kyun kay insan jaisa sochta hai waisa hi hojata hai. (Zakir:Mobeen:Kothari)
Chu'nkay mani (seminal fluid) aur urine kay ikhraj ki ek hi naali hai chunacha jinsi tor per stimulate honay per urine sey pehley aur baad white material ka ikhraj ek normal process hai na kay koi  beemari. Iss liye iss silsiley mein fikar mand honay ki koi zarorat nahi. Albatta agar sexual stimulation mein yeh liquid kharij nahi hota to yeh baat fikar ki hai.
    Iss hawaley sey ek aur ahem baat zehen mein rahein kay inn qatron (drops) sey kaprey napak nahi hotey aur na hi iss sey ghusl farz hojata hai. In qatron (drops) kay baad penis ko wash kar lena kafi hai. Dress ko dhoney ki zaroorat nahi. Inn per sirf paani chirrak diya jaey aur ghusl kay bajaey sirf wazoo kar liya jaey. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ek sahabi ko yeh masla tha to Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey masla poocha gaya. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay uzoo ko dho kar, kapron per paani spray karliya jaey aur wuzu kar liya jaey. (Muslim). In qatron ko usually mazzi kaha jata hai.