
ABORTION (ASQAAT-E-HAMAL)
MISCARRIAGE:
Har hamal normal andaz mein paya e takmeel tak nahin pohonchta 10% haamla aurton kay bachey fitri tor per zaya ho jatey hain isey aam zuban mein miscarriage kehtey hain mukhtalif research sey ma'aloom hua hai kay 75% miscarriages hamal kay pehley teen maheenon mein hotey hain, miscarriage honey waley bachon ki aksaryat normal nahin hoti isliye qudrat unhein khud hi zaya kar kay waledaen ko bari pareshani...