Pages

INFOTAINMENT

Information + Entertainment and many more Brought to you by Ahmed Raza

POETRY SHAIR-O-SHAIYARI, GHAZALS

Shair-O-Shaiyari jis main Love pOetry, Sad, Bewafai, Tanhai, Oor Bohat si updated pOerty.

MOBILINK, UFONE, TELENOR, ZONG AND WARID DETAILS

Details of calls and Sms Packages

ROSHNI KI KIRAN

INSHALLAH ap ko is blog se bohat faida ho ga. Or ap like bhi karain gay.

TELL YOUR FRIEND ABOUT THIS BLOG

Khud bhi faida uthain Or apny friends ko bhi bataen. Thanks alot friends

Advertisement

Saturday, 4 August 2012

Zakar Ka Size (Size Of Penis)

Zakar Ka Size

Ek walid apney naujawan betey ko ley kar merre paas aya, baap ney bataya kay iss kay betey ko koi masla hai. Naujawan bohut khaufzada aur ghabraya hua lag raha tha. Meine walid ko kamrey sey janey ko kaha ta'kay mein bachey sey khul kar baat kar saku'n. Ju'nhi walid kamrey sey baher nikla, betey ney foran apni shalwar khol di aur bataya kay uska zakar bohut chota hai, jiski wajah sey woh apni biwi ko mutma'en nahin kar sakey ga. Uski jald shadi honay wali thi.
    Mardon mein zakar kay hawaley sey bohut sey khadshaat aur ghalat fehmiyan (misconceptions) paee jati hain. Aksar mard apney zakar ki shakal, size, saakht aur motaee kay hawaley sey bohut hassas (concious) hain. Sab sey pehley lambaee ko letey hain.
    Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin. Kisi ka zakar bara aur kisi ka chota.  Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta'alluq nahin. Iss silsiley mein America mein ek survey hua to ma'aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha.
Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar (penis) kay hawaley sey sirf ghalat fehmi (misconception) hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain.
  1. Fard apney zakar ko ooper sey dekhta hai, jiski wajah sey sara zakar nazar nahi aata aur fard samajhta hai kay uss ka zakar chota hai. Mazeed agar fard ka paet kuch nikla hua ho to woh bilkul hi chota nazar aata hai.
  2. Iss kay elawa naujawan fahash films kay hero kay zakar kay sath apney zakar (penis) ka mawazna kartey hain. Fahash films mein kaam karney kay liye aisey afraad ka intekhab kya jata hai jin ka zakar (penis) lamba ho maslan ek American actor ka zakar 18 inches lamba hai. Iss kay elawa camera trick ki madad sey aam zakar ko lamba kar kay dikhaya jata hai jis ki wajah sey iss actor ka zakar muqablatan bohut lamba nazar aata hai.
  3. Ba'az naujawan apney sukrrey juey bohut chotey zakar sey apney asal zakar kay size ka andaza lagatey hain jab kay ba'az logon ka sukrra hua zakar bohut chota ho jata hai jab kay akarr kar kafi lamba ho jata hai. Lehaza zakar ka asal size akrrahat wala hota hai.
  4. Iss tarah ba'az naujawan apney doston kay barey zakar kay sath apna muqabla kartey hain agarcha inn ka zakar kuch chota hota hai magar unko kuch zyada hi chota mehsoos hota hai.




    Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai.




    1. Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi.
    2. Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai.


     Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiq America mein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai. Pakistan mein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde).

    Kya Aurtein Lamba Zakar Pasand Karti Hain?

    Aam mardon ka khayal hai kay bara zakar behter hai kyun kay aurtein lamba zakar pasand karti hain, jab kay aurtein zakar kay size kay hawaley sey kam hi sochti hain. Bohut kam aurtein lambey zakar ko pasand karti hain. Hite ki research kay mutabiq aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Ek aur research sey ma'aloom hua kay aurton ko ausat (average) size ka zakar pasand tha.
             Bohut lamba zakar kisi bhi aurat ko pasand na tha kyun kay bohut lamba zakar bacha dani kay mu'nh per zarb lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai. Isi liye bohut lambey zakar waley afraad nakhush hain, kyun kay unn kay lambey zakar ko dekhtey hi aurton ney mubashrat sey inkar kardiya, isliye unn ki khwahish thi kay kaash unn ka zakar chota hota. (Hite).

    Yeh khayal bhi aam hai kay bharpoor jinsi lutfkhushgawar azdawaji zindagi aur biwi ko mutma'en karney kay liye lambey zakar (penis) ki zaroorat hai. Haqeeqat yeh hai zyada jinsi lutf aur biwi ki tasalli ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin, kya lambi naak sey insaan ko zyada khushbuu aati hai ya kya barri aankhon sey zyada nazar aata hai. Aurat ko gosht nahin bul  kay ek mohabbat karney waley insaan ki zaroorat hai. Waisey mubashrat mein zakar ki lambaee kay bajaey uski sakhti zyada ahem hai aur chota zakar nisbatan zyada sakht hota hai. Yani iss mein zyada tanau (erection) hota hai. Mazeed aurat ki faraj ka size 3 ta 4 inch hota hai aur faraj ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 ta 1.5 inch hissa hi zyada hassas hota hai. Iss ka peechey wala hissa zyada hassas nahin hota. Hassas hissey tak 3 inch ka zakar bohu aasani sey pohonch jata hai. Mahireen ka khayal hai kay agar mard kay zakar ki lambaee 2 inch sey kuch zyada ho to yeh aurat ki faraj kay hassas hissey tak aasani sey pohonch jata hai jis sey aurat bharpoor lutfandoz hoti hai. (Kothari).

    Kya Zakar Ko Masnooee Tariqey Sey Lamba Kya Ja Sakta Hai?

     Zakar ko lamba karney ki bohut si koshishein hui hain magar kaamyaabi nahin ho saki. Ba'az auqaat jarr kay ird gird ka gosht kaat diya jata hai jis sey is ski lambaee mein ma'amooli sa farq parr jata hai. Yeh bhi ek dhoka hai kyun kay asal zakar ki lambaee mein to koi izafa nahin hota. Ba'az log vacuum waghaera sey zakar ko lamba karney ka da'awa kartey hain iss ki madad sey 5 % tak ka izafa ho sakta hai jo kay na honay kay baraber hoga. Iss tarah ba'az ishteharo'n mein organ developer ka zikr hota hao iss ki bhi koi haqeeqat nahin, qissa mukhtasir yeh kay zakar ki lambaee mein izafa nahin kya ja sakta aur na hi iss ki zaroorat hai. (Reuben)

    Sukrra Hua Bohut Chota Zakar:

     Ba'az afraad ka narm zakar (penis) bohut hi chota hota hai lekin tanau (erection) mein ek ma'aqool hudd tak lamba ho jata hai. Ba'az naujawan iss fitri soorat e haal sey bhi bohut pareshan ho jatey hain. Zakar (penis) darasal radio kay antenna ki tarah hai, jisey zaroorat kay waqt lamba kya ja sakta hai. Zaroorat na ho to chota ho jata hai ta'kay yeh fard kay chalney phirney ki activities mein rukawat na baney. Lehaza yeh koi masla nahin. Dilchasp baat yeh hai kay agar sukrra hua zakar zyada chota hai to tanau mein woh nisbatan zyada lamba ho jata hai aur sukrra hua lamba zakar tanau mein kam lamba hota hai. Maslan ek fard ka sukrra hua zakar 2 inch ka hai to tunn kar woh 4 inch ka ho jaey ga doosri taraf 3 inch ka sukrra hua zakar tanau mein 4.5 inch ka hoga.

    Chotey Zakar Sey Aulaad Paeda Nahin Hoti…?

     Merey clinic mein ek naujawan client aaya jo  kay bohut fikrmand aur pareshan tha. Jis ki haal hi mein shadi hui thi woh pareshan iss liye tha kay uska zakar bohut chota tha. Uska khayal tha kay chotey zakar sey aulad paeda nahin hoti. Yeh ek bilkul ghalat tasawwur hai kay aulad ki paeda'esh kay liye lamba zakar hona zaroori hai. Mani (semen) ko agar chamach mein daal kar faraj (vagina) kay ander daal diya jaey to bhi bacha paeda ho jaey ga. Iss tarah chotey sey chota zakar bhi bachey ki paeda'esh mein koi rukawat nahin. Doosrey alfaz mein zakar kay size ka aulad ki paeda'esh kay sath koi ta'alluq nahin. (kothari).

    Zakar Ka Mota Hona Zaroori Nahin:

     Zakar ki lambaee kay elawa bohut sey naujawan uski motaee kay hawaley sey bhi ghalat fehmi ka shikar aur pareshan hain. Inn ka khayal hai kay aurat kay bharpor jinsi lutf kay liye zakar ka mota hona zaroori hai. Iss mein bhi koi haqeeqat nahin. Zakar ki lambaee ki tarah zakar ki motaee bhi mukhtalif logon ki mukhtalif hoti hai. Faraj (vagina) darasal khali tube ya syringe ki tarah koi khula rasta nahin hai bul  kay yeh ek bund gali hai jis ki donon deewarein aapas mein mili hoti hain. Jinsi haejaan mein faraj ka baerooni 2/3 hissa phool kar faraj kay mu'nh ko mazeed tung kar deta hai, iss soorat mein agar faraj kay ander suii bhi dakhil I jaey to aurat ko iss ka poora ehsaas ho ga. Lehaza kamyaab aur khushgawar mubaashirat kay liye zakar ki motaee ki koi khas ahmiyat nahin. 

    Zakar Ki Kamzori Ki Alamat:

    Zakar Jarr Se Patla Hona:

     Majeed ek naujawan client tha. 24 sala majeed ki haal hi mein shadi honay wali thi woh sakht fikrmand tha kyun kay uska zakar jarr sey patla tha. Uska khayal tha kay yeh mardana kamzori ki alamat hai, amooman aksar afraad ka zakar jarr sey patla aur ooper sey mota hota hai. Naujawan isey kamzori samajhtey hain neem hakeem iski wajah musht zani (masturbation) qarar detey hain hala'n kay yeh ek normal jismani haqeeqat hai na kay koi kharabi, lehaza pareshan honay ki zaroorat nahin. Darasal zakar ek ghubbarey ki tarah hai jo pubic bone kay sath jurra (fix) hota hai. Jab iski naliyon mein khoon daurta hai to yeh akarr jata hai magar chu'n kay neechey waley hissey mein zyada khoon nahin hota jis ki wajah sey nichla hissa kuch patla jab kay ooper wala hissa nisbatan zyada phool jata hai. Iss tarah ba'az afraad ka zakar darmiyan mein sey qadrey patla hota hai yeh bhi koi beemari nahin na hi iska elaj karaney ki zaroorat hai. Iski wajah yeh hoti hai kay ba'az afraad kay zakar ki naliyan darmiyan mein kuch patli hoti hain jis ki wajah sey wahan zyada khoon nahin jata aur wahan sey zakar kuch patla reh jata hai magar inn logon ko mukammal tana'u hota hai. (mubeen)
    Baloghat mein har naujawan kay zer e naaf baal ugg aatey hain jo kay baloghat ki nishani hai. Islam mein inn baalo'n ko har 15 din ba'ad saaf karney ka hukum hai. Ba'az logon ka khayal hai kay safaee kay elawa iss sey mardana quwwat mein bhi izafa hota hai. Ba'az auqaat zakar kay neechey waley hissey yani jarr per bhi baal ugg aatey hain. Iss surat mein bhi pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh koi kharabi ya beemari nahin. Iss tarah mardon ki chaati per bhi baal hotey hain, kisi kay zyada, kisi kay kam aur kisi kay nahin bhi hotey. Yeh sab kuch normal hai albatta agar kisi fard kay chehrey aur zer e naaf baal na aaein to kisi achey doctor sey mashwara karein magar iska bhi fard ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahin. (mubeen).

    Zakar Ka Ek Taraf Jhuka Hona Kamzori Ki Alamat…?

      Aksar naujawanon ka khayal hota hai kay zakar ko pencil ki tarah seedha hona chahiyie na kay da'ein, ba'ein, ooper ya neechey ko jhuka hua. Akrra hua zakar da'ein taraf ko terha hota hai ya ba'ein taraf ko. Kisi ka ooper aur kisi ka neechey jhuka hota hai. Bohut hi kam logon ka akrra zakar bilkul seedha hota hai. Aisa hona bhi  mushkil hai kyun kay zakar haddi ya kisi sakht cheez ka bana hua nahin hota (agarcha ba'az janwaron kay zakar mein haddi hoti hai) bulk ay narm gosht ka bana hota hai. Jab iss mein zyada khoon jata hai aur doosri taraf kam khoon nikalta hai to yeh akarr jata hai aur phir yeh kisi na kisi taraf murr jata hai. Amooman 85% logon ka zakar baei'n taraf ko terha hota hai, isi tarah amomman fard ka baya'n khusya (testicle) daei'n sey kuch neechey hota hai.
     Amooman 1 cm. Fard kay zakar ka taerha pan koi beemari nahin, yeh ek bilkul normal, fitri amar hai. Iss wajah sey dakhool (penetration) mein koi diqqat nahin hoti. Jab kay neem hakeem isey khatarnaak beemari samajhtey hain, jis ki wajah mushtzani (masturbation) ko qarar detey hain. Agar aap apni ungliyon ko akrra kar dekhein to woh bhi pencil ki tarah seedhi nahin hala'n kay innkay ander haddiyan hoti hain. Lehaza iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat hai aur na hi elaj ki. Albatta agar zakar bohut terha (45 ka zawiya) ho to yeh ek beemari hai. 'Peyronie's' hai ta'hum iski wajah bhi musht zani nahin. Yeh beemari amooman darmiyani umr kay mardon ko hoti hai. Ba'az auqaat yeh beemari achanak ho jati hai. Yani fard jab raat ko soya to woh bilkul theek tha magar jab subah jaga to zakar terha ho gaya. Iss surat mein zakar jar sey sakht aur ooper top per narm hota hai. Iss ka elaj amooman vitamin E sey kya jata hai. Aksar yeh elaj kay baghaer 6 maah tae k saal mein khud hi theek ho jata hai. Isliye elaj kay liye jaldi karney ki zaroorat nahin. Ta'hum behter yeh hai kay kisi acheydoctor sey mashwara kar lein.
        Agar zakar thorey sey kuch zyada terha hai magar beemari nahin to yeh khush bakhti hai kyun kay iss surat mein ya to faraj (vagina) ki sides ko rugrrey ga jo zyada hassas hoti hain aur aurat ko zyada lutf aaey ga ya phir G spot ko jo kay aurat ka doosra hassas tareen jinsi maqam hai jis ko rugerrney sey taqreeban 50% aurtein pani kharij karti hain.  
        Ek homeo doctor ney apni kitab mein likha kay zakar ka terha pan khatarnaak beemari hai jis ki wajah musht zani hai aur iss kay elaj ki zaroorat hai. Meine inn ko khat likha "doctor sahib aap apni shalwar utarein aur eeman dari sey dekhein kay kya aap ka zakar bilkul seedha hai" abhi taki jawab nahin aaya.

    Zakar Kay Ooper Ubhri Rugein Mardana Jinsi Kamzori Ka Sabab:

    Fard kay zakar mein tanau tab paeda hota hai jab uski khoon ki naliyan khulti hain aur zyada miqdar mein khoon inn naliyon mein dorta hai aur doosri taraf nisbatan kam khoon baher nikalta hai iss wajah sey khoon ki yeh naliyan numayan ho jati hain aur phool jati hain. Yeh naliyan jitni zyada khulein gi itna hi zyada khoon inn mein daakhil ho ga aur nateejatan tanau itna hi zyada aur jald hoga. Yeh ek bilkul normal aur mufeed kaifiyat hai. Neem hakeemon ki wajah sey naujawanon ki aksaryat isey bhi khatarnaak beemari aur kharabi samajhti hai. Iss ki bari wajah musht zani bataee jati hai jab kay iss ki koi haqeeqat nahin kyun kay woh afraad jinhoney kabhi musht zani nahin kii unn kay zakar ki naliyan bhi ubhri hoti hain.

        Darasal jism kay har hissey mein jild kay neechey khoon ki naliyan (veins) hoti hain. Jism kay jin hisson mein charbi hoti hai wahan yeh saaf nazar nahin aatiin jaisey bazu waghaera magar jahan charbi nahi hoti wahan yeh saaf nazar aati hain. Zakar kay elawa hath ki pusht per bhi yeh naliyan amooman saaf nazar aati hain. Ba'az logon ki yeh naliyan zyada numayan hoti hain aur ba'az ki kam. Jin kay hathon ki naliyan zyada numayan hoti hain kya unn kay hath zyada kamzor hotey hain. Woh aurtein jin kay hath gudaaz hotey hain unn kay hath ki naliyan nazar nahin aatiin to kya unn kay hath mardon kay hathon sey zyada taqatwer hotey hain. Zahir hai kay aisa nahin. Lehaza zakar ki naliyon ka nazar aana bhi koi beemari nahi aur na hi koi fard  iss sey jinsi tor per kamzor hota hai. Albatta khusya dani (scrotum) ki naliyan agar bohut zyada numayan hon to yeh ek beemari Varicose hai jis sey kuch logon ko banjhpan (infertility) ho sakta hai magar lazmi nahin. Iss surat mein kisi achey urologist sey mashwara kiya jaey.

    Zakar Per Massey:

    Kisi bhi sehatmand insaan kay jism kay kisi bhi hissey per massey nikal saktey hain. Aam haalaat mein hum iss kaifiyat sey pareshan nahin hotey khwah yeh massey chehrey per hi kyun na hun. Isi tarah zakar per masson ka namoodaar hona bhi aam si baat hai na kay koi beemari. Yeh massey jinsi salahiyat (mardana quwwat) ya jinsi amal per kisi tarah sey asarandaz nahin hotey, lekin la ilmi ki wajah sey aam naujawan inn masson per pareshan ho jatey hain. Yeh massey aasani sey nikaley ja saktey hain aur agar na bhi nikaley jaei'n to bhi koi harj nahin.

    Zakar Per Sakht Gatthey Parr Jana:

     Amooman adherh umer kay ba'az logon kay zakar mein sakht qism kay gatthey ya gaanthein ban jati hain, yeh ek beemari hai jis ka pehli baar zikr ek French surgeon ney kya. Inn ki wajah sey zakar ka tanau muta'assir hota hai.


    Jab thori bohut erection hoti hai to fard ko nehayat takleef hoti hai jis ki wajah sey fard mubashrat nahin kar sakta kyun kay usey shadeed jismani aur zehni koft hoti hai. Abhi tak iska koi mu'asser elaj daryaft nahin hua lekin yeh beemari bohut hi kam hai.

    Instant Erection - Fori Tanau:



     Aksar afraad ka khayal hai kay fard ko bijli kay bulb ki tarah fori tanau hona chahiyie. Jab aisa nahin hota to isey jinsi kamzori samajhtey hain aur pareshan ho jatey hain. Naujawanon ka tanau 20 saal ki umer tal fori hota hai magar phir umer kay barhney kay sath batadreej kam hota jata hai yani shuru mein tanau fori hota hai 40 saal ki umer kay ba'ad qadrey takheer sey hota hai. 60 saal ki umer kay ba'ad zara der sey hota hai. Yeh bhi hosakta hai kay iss umer mein tanau kay liye biwi kay chuney aur sehlaney ki zaroorat parey. Yeh sab kuch normal amal (function) hai. Taza tareen research sey ma'aloom hua hai kay 20 saal ki umer mein fard ko fori tanau hota hai. 50 saal kay ba'ad jawani sey do guna aur 70 saal kay ba'ad teen guna waqt darkaar hota hai. Yeh sab kuch normal hai na kay koi beemari.
                         Ba'az auqaat kuch afraad iss wajah sey pareshan ho jatey hain kay shayad unn kay zakar ka tanau kafi nahin aur shayad woh mubaashirat kay qabil nahin. Hala'n kay unn kay paas tanau mapney aur janchney ka koi paemana aur meyar nahin. Yeh sirf unn ka khayal hota hai kay unn ka tanau kafi nahin.
     Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubashrat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.


    Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard (Painful Erection):


        Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.

    Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…?

        Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli (sexual satisfaction) kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm o nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.
    Aurat ki jinsi taskeen kay liye zakar kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht zakar aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Zakar ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta'hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay faraj mein daakhil ho jaey.

    Tanau Mein Pehley Sey Kami (Less Erection) Jinsi Kamzori Ki Alamat…?

        Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney jinsi jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur zakar kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 saal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma'amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma'amooli kami ka ba'es mushtzani ya kasrat-e-jama'a (frequent intercourse) ko qarar detey hain. Yeh kaifiyat aur ma'amooli kami pareshani ka sabab nahin honi chahiyie kyun kay umer kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai.  Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya'n hai. Aksar khelon kay numaya'n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba'ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah nahin rehti. International khelon mein 30 saal sey zyada umer ka khilarri shazz hi hota hai.
     Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu'asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Zakar kay sath bhi yehi mu'amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a'aza ki tarah jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (zakar ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk mubashrat kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba'ad ba'az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte'aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai).

    Kya Apni Marzi Sey Tanau Paeda Kya Ja Sakta Hai…?

        Ba'az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney zakar ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata to  pareshan ho jata hai aur apney aap ko jinsi tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta'alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah.
    Tanau (erection) bhi apni marzi sey paeda nahin kya ja sakta. jis tarah bhook paeda honay kay liye munasib uzwiati aur maholi (environmental) halaat (circumstances) zaroori hain, isi tarah tanau (erection) paeda karney kay liye bhi munasib uzwiati aur maholi muhij (stimulus) ka hona zaroori hai. Fard sirf uss waqt bhook mehsoos karta hai jab khana khaey kuch waqt guzar gaya ho. Iss kay elawa mahol aur khana kitna hi acha aur lazeez ho yeh awamil bhi bhook per asar andaz hotey hain. Isi tarah zakar (penis) mein tanau (erection) jab hoga jab fard jins (sex) kay hawaley sey sochey ga, parhey ga, dekhey ga, suney ga ya lums mehsoos karey ga waghaera. Yeh cheezein tanau (erection) kay liye muheej hain. Kyun kay kisi bhi fard ko apney tanau (erection) per control nahin. Isliye ba'az auqaat fard ko kisi namunasib jagah maslan class room ya ghar mein maan baap kay samney tanau ho jata hai. Jisey woh shaoori tor per khatam nahin kar sakta aur sharminda hota hai. Yani tanau per fard ko shaoori control nahin. Iss tarah naujawan apney tanau ko check karney kay liye kisi paeshawar aurat kay paas jatey hain, magar wahan kkoshish kay bawajood unn  ko tanau nahin hota aur phir unn ko yaqeen aa jata hai kay woh biwi kay qabil nahin. Guzishta dinon merey paas ek naujawan larka elaj kay liye aya. Isey yaqeen tha kay woh na mard hai jab uss ka nafsiyati tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay uss ko kaee baar zina ka moqa mila. Uss ney koshish bhi ki magar ehsas-e-gunah aur khauf ki wajah sey usey tanau hi na hua.



Zina - Adultry In Islam And Quran

Zina - Adultry In In Islam And Quran


 Mani (semen) kay ikhraj ka chotha zarya zina hai jo kay gunah e kabira hai jis sey har soorat mein bachna chahiyie. Quran majeed mein irshad hai kay "zina kay qareeb na phatko, woh bohut bura fael hai aur bara hi bura rasta hai" (Bani Israel ayat 32) 
Zina ki kaee surtein hain maslan
   Mard ka apni biwi kay elawa kisi aur aurat sey mubashrat (Intercourse) karna ya biwi ka apney khawand kay elawa kisi aur mard sey mubashrat karna. Zina muashirey ki tabahi ka ek bohut bara unser (factor) hai. Isliye Islam mein zina ki sakht saza hai. Shadi shuda fard kay liye sangsaari aur ghaer shadi shuda kay liye 100 korey. Quran majeed mein irshad hai kay "zania aurat aur zani mard donon mein sey har ek ko so (100) korey maro aur inn per taras khaney ka jazba Allah kay deen kay muamley mein tumko daman geer na ho, agar tum Allah aur roz e aakhirat per eemaan rakhtey ho aur inko saza detey waqt ahl e eemaan ka ek groh mojood rahey" (sura noor ayat 2)
 Allah kay Nabi ney hamsaya (neighbour) ki aurat sey zina ko aam zina sey zyada bura qarar diya hai. Isi tarah qareebi rishtey daaron kay sath zina bohut hi buri harkat hai. Yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusl farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho. Yeh jinsi beyrahrawi (sexual perversions) maghrib khusoosan America mein bohut aam hai. Ek survey kay mutabiq 97% mard aur 80% aurtein shadi sey pehley mubashrat kar chukey hotey hain. (Hyde).

Zina Ki Wajoohaat:

  1. Jinsi khwahish (libido) ko poora karney kay liye mard sab sey zyada paesha war aurton tawaif kay paas jatey hain, inn mein aksar aurtein beemaar hoti hain jin sey sozak, aatishik aur AIDS jaisi mohlik aur khatarnaak beemari lagney ka qawi imkan hota hai, inn sey her soorat bachna chahiyie. Ba'az naujawan apni jinsi salahiyat ko check karney kay liye paeshawar aurton kay paas jatey hain. Mardana quwwat ko check karney ka yeh budtareen tariqa hai. Jab bhi koi fard shaoori tor per apni mardana taqat check karney ki koshish karta hai to woh khauf aur ehsas e gunah ki wajah sey akser nakaam rehta hai. Usko ya to tanau (erection) hota hi nahin ya phir jaldi khatam ho jata hai, ya phir jald inzaal ho jata hai hala'n kay jawani mein taqreeban koi bhi fard mardana tor per kamzor nahin hota. Jis fard ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai who bilkul normal hota hai, kharabi uskay dimagh mein hoti hai jis kay liye neem hakeem ya doctor ki bajaey mahir e nafsiyat sey elaj ki zaroorat hoti hai.Zina ki bohut bari wajah bey parda mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada jinsi beyrahrawi(sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain. Pardey daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta
  2. Makhloot talim bhi zina ka ek ahem sabab hai. Makhloot talim mein naujawan larkey aur larkiyon ko milney kay mawaqae zyada miltey hain. Larkey, larkiyon ko flirt kartey hain aur larkiyan ishq aur shadi kay laluch mein apni esmat ga'nwa bethti hain.
  3. Makhloot majalis jinsi beyrahrawi ka ek bara zarya hai. America kay woh elaqey maslan California jahan aurat aur mard kay milney kay zyada mawaqae hain wahan jinsi beyrahrawi zyada hai aur talaq ki sharah bhi baqi mulk kay muqabley mein zyada hai.
  4. America mein amooman talaq ki sharah 50% sey zyada hai jab kay California mein 4 shadiyon mein sey 3 talaq per khatam hoti hain yani wahan talaq ki sharah 75% hai. Merey paas taqreeban har maah ek do case aisey zaroor aatey hain jahan makhloot majalis ki wajah sey doosri aurat ya mard mein involve ho jatey hain aur ghar bachaney kay liye humari madad talb kartey hain na janey woh shadi shuda log kitney hain jo humarey paas nahin aatey aur jinsi beyrahrawi (sexual perversion) mein mubtala rehtey hain . Iss tarah na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain.
  5. Cousin culture: humarey haan amooman bachiyan apney cousin larkon kay sath mael jol mein kuch zyada hi frank ho jati hain aur ghanto'n alaehdgi mein gupshup karti hain jis ki wajah sey larkon ko unhein flirt karney kay mawaqae mil jatey hain, iss tarah bohut si bachiyan inn cousins kay hathon lutt jati hain. Hala'n kay Allah kay Nabi ney sagey jawan behen bhaee ko bhi tanhayee mein bethney sey mana farmaya hai. Isi tarah bohut sey behnoee apni saaliyon sey flirt karney ki koshish kartey hain aur iss gunah kay murtakib hotey hain.
  6. Jinsi beyrahrawi ka ek aur bara sabab khawateen ka mardon kay sath kaam karna hai. Secretary level ki ek khatoon CSP officer ney mujhey bataya kay mardon kay sath kam karney wali kam az kam 50% aurtein apni izzat bachaney mein nakaam rehti hain, isliye nurses aur istaqbalia (reception) per kaam karney wali khawateen kay liye apni asmat bachana naa mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Taqreeban 100% mulazimat paesha khawateen mardon ki jinsi harassment ka shikar hoti hain.
  7. Barey shehron mein jinsi beyrahrawi ki ek bari wajah mard tutor hain. Bohut sey gharaney apni jawan larkiyon ko mard hazraat sey tuition parhwatey hain. Budqismati sey taqreeban har mard bachiyon ko phuslaney ki koshish karta hai. Ek naujawan larkey aur larki ko ghanton ikatthey bethney ka moqa dey kar yeh tawaqqa rakhna kay kharabi na hogi saadgi ya himaqat ki inteha hai. Ghee aag kay paas para ho aur phir bhi na pighley….na mumkin. merey paas gahey ba gahey iss tarah kay cases aatey rehtey hain.
  8. Budqismati sey humarey haan sex education nahin hai jis ki wajah sey taqreeban 70% sey zyada khawateen jinsi tor per mutmaen nahin hotiin. Dunya mein sex kay ek bohut barey muhaqqiq Alfred Kinsey ney Calcutta mein ek lecture kay doran kaha kay Asian aurat maan banti hai hutta kay dadi, nani ban jati hai magar woh saari umer orgasm(jinsi lutf) hasil nahin karti. Aisi aurtein shadeed frustration ka shikar hoti hain. Aisi aurton mein kuch sabar, shukar kar leti hain, kuch nafsiyati beemariyon ka shikar ho jati hain aur kuch jinsi beyrahrawi mein mubtala ho jati hain. Merey paas ek 40 sala khatoon aaee'n unhon ney mujhey bataya kay woh saari umer kabhi jinsi tor per mutmaen na huiin aur ab unka gunah karney ko dil chahta hai. Na janey kitni aurtein iss wajah sey gunah mein mulawwis ho jati hain. Hum iss hawaley sey Lahore aur doosrey shehron mein har maah ek roza seminar/workshop ka intezam kartey hain  jis mein azdawaji zindagi ko zyada purlutf bananey, biwi ko mutmaen karney aur ghareloo zindagi ko khushgawar bananey kay tips batatey hain.
  9. Aaj kal jinsi beyrahravi ki ek ahem wajah internet chatting aur phone per gupshup hai. Bohut sey afraad ek planning kay tehet bholi bhali bachiyon ko warghalatey hain, maan baap ko chahiyie kay koshish karein kay ghar mein jawan bachiyan phone attend na karein bul  kay koi mard ya bari umr ki khatoon phone sunein. Iss tarah internet istaemal karney waley bachon ki nigraani ki jaey ta'kay woh iska ghalat istaemal na kar sakein. Amooman larkey larkiyan ban kar larkiyon sey gupshup kartey hain aur phir waqt per larki ko asli soorat-e-haal sey aagah kartey hain. Ab inn haalaat mein larki kay liye peechey hutna mushkil ho jata hai iss tarah paesha war aurtein naujawan larkonka shikar karti hain.

    Or Ek Or Soorat:

     Mard ka mard kay sath mubashrat karna, isko qom-e-loot ka amal (homosexuality) kaha jata hai. Islam mein fa'el aur maf'ool donon kay liye sakht saza hai. Ek barey gunah kay elawa aaj kay daur mein yeh amal AIDS aur doosri jinsi beemariyon kay phaelney ki ek bohut bari wajah hai. Yeh amooman bachpan sey shuru hota hai. Amooman fa'el aur maf'ool qareebi dost ya aziz hotey hain. Aksar fa'el bari umer ka hota hai jis ki wajah sey woh kam umer rishtey daar ya dost ko behla phusla kar ya dara dhamka kar yeh kaam karta hai. Iss kay elawa woh naujawan jo ikatthey sotey hain chahey woh sagey bhaee hi kyun nah un, ba'az auqaat iss ka shikar ho jatey hain. Merey paas iss tarah kay kaee case aatey hain jahan ek bhaee ney doosrey bhaee sey budfaeli ki. Iss sey bachney kay liye zaroori hai kay waladaen chotey bachon ki nigraani karein. Inn ko barey bachon kay sath akela na honey dein.

    Sexual Abuse:



    Kisi dost kay haan raat na guzarney dein. Khaas kar ghar mein bachey ikatthey na so'ein. Allah kay Nabi ney 10 saal ki umer kay ba'ad do afraad ko chahey larkey hun ya larkiyan, bhaee hun ya behnein, ek chadar mein soney sey mana farmaya hai. Jadeed ahl e ilm bhi iss baat ki sifarish kartey hain kay 9 saal kay ba'ad bachon kay bister alaehda hun. Iss kay elawa bachon ko iss sey bachney ki tarbiyat dii jaey kay ju'nhi koi unn kay peeshab, pakhaney ki jagah ko chu'ey ya inn ko apna zakar pakarney ko kahey to yeh na sirf inkaar kardein bul kay foran maan ya baap ko bataein. Isi tarah kay ek walid ney apney bachon ki iss tarah tarbiyat ki hui thi. Ek tutor ney unki choti bachi sey kaha kay woh iss ka zakar (penis) pakrey, bachi hath dhoney kay bahaney ander gaee aur saari baat apney walid ko bata di. Walid ney tutor ko la'anat malamat kii aur naukri sey farigh kardiya. Iss tarah bachi jinsi tashaddud (sexual abuse) sey mehfooz rahi.

        Humarey haan naukar, naukrani, humsaya, qareebi aziz, bachon aur bachiyon ko jinsi tor per abuse karney ki koshish kartey hain lekin agar bachon ki tarbiyat kar di jaey to woh iss jinsi abuse sey bach saktey hain. Merey ek naujawan client ko bachpan mein inn ki naukrani jinsi tor per istaemaal karti thi. Isi tarah meri ek naujawan shadeed nafsiyati mareeza ka jab nafsiyati tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay 5 saal ki umer mein ek humsaya ney uss kay sath budkaari ki koshish ki. Woh shadeed khaufzada ho gaee aur bhaag aaee aur maan ko bataya. Iss tarah woh aa'enda kay liye bhi  mehfooz ho gaee. Iss tarah merey ek naujawan client sey uss kay sagey behnoee ney budfaeli ki aur dara dhamka kar bohut arsey tak karta raha hatta kay phir usko aadat parr gaee. Ta'hum iska elaj kiya ja sakta hai.



    Zina Ka Hal - Teesri Or Akhri Soorat:



      Hazrat Abdullah bin Mas'ood sey marvi hai kay Rasool Allah ney farmaya "Aey naujawanon tum mein jo koi nikah ki isteta'at rakhta hai woh nikah karey kay yeh ajnabi aurat ki taraf nazar karney sey rokney wala hai aur sharam gaah ki hifazat karney wala hai aur jis mein nikah ki isteta'at nahi woh rozey rakhey kay roza qatae shahoot hai" (Bukhari, Muslim)
        Zina ki jin wajoohaat ka guzishta auraaq mein zikr hua hai unka tadaruk kya jaey. Bey hayaee, uryaani, bey pardagi, fahaashi aur makhloot majalis waghaera ka khatima kya jaey. Sports aur doosri masbat sargarmiyon ko farogh diya jaey.

         

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news