Pages

INFOTAINMENT

Information + Entertainment and many more Brought to you by Ahmed Raza

POETRY SHAIR-O-SHAIYARI, GHAZALS

Shair-O-Shaiyari jis main Love pOetry, Sad, Bewafai, Tanhai, Oor Bohat si updated pOerty.

MOBILINK, UFONE, TELENOR, ZONG AND WARID DETAILS

Details of calls and Sms Packages

ROSHNI KI KIRAN

INSHALLAH ap ko is blog se bohat faida ho ga. Or ap like bhi karain gay.

TELL YOUR FRIEND ABOUT THIS BLOG

Khud bhi faida uthain Or apny friends ko bhi bataen. Thanks alot friends

Advertisement

Monday, 24 September 2012

PREGNANCY (HAMAL OR MUBASHRAT)

PREGNANCY (HAMAL OR MUBASHRAT)

Hamal ka arsa 9 month per muheet hota hai. Itnaa arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai. Khawateen mein bhi jinsi khwahish mand nahi parti. Bul kay 90% khawateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh mahi (4 – 6 month) mein izafa ho jata hai. Agarcha last 3 month mein aksar khawateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master And Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand hamla aurat kay sath bachey ki paeda'esh sey 4 week qabal tak mehfooz tor per mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Baaz afraad to last din tak bhi mubashrat (intercourse) jari rakhtey hain. Master and Johnson kay mutabiq bachey ki paeda'esh kay 3 week baad aurat sehatyab ho jati hai aur iss sey mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Iss doran mein iss ki jinsi khwahish wapis aa jati hai. Woh khawateen jo miscarriage (Asqaat e Hamal) ya abortion ka tajurba kar chuki hain, inn kay liye behtar yeh hai kay woh hamal (pregnancy) kay poorey arsey mein khusoosan pehley chand weeks aur last weeks mein mubashrat (intercourse) aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie. Kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage (Asqaat e Hamal) ka khatra barh jata hai. Iss tarhan kuch doosrey mahireen kay mutabiq hamal kay last 6 week mein behter yehi hai kay mubashrat (intercourse) na ki jaey.

Last weeks mein mubashrat (intercourse) ki wajah sey labour pain pehley shuru ho sakta hai. Iss tarhan bacha waqt sey pehley paeda ho jata hai. Hamal (pregnancy) kay pehley 6 maah tak to aam halat ki tarha mubashrat ki ja sakti hai aur itni hi bar ki ja sakti hai jitni bar pehley hoti rahi hai. Albatta last month perhaez karna zyada zaroori hai. Iss doran mein biwi mian ko mutabadil tariqon sey jinsi sukoon muhayya karey. Pregnancy kay doran mein khusoosan last month mein mubashrat (intercourse) ka missionary method yani aurat neechey waley method ko bilkul tark kardiya jaey. Albatta shuru kay dinon mein 1 or 2 month mein yeh tariqa use kya ja sakta hai. Pregnancy kay doran mein mubashrat (intercourse) ki sab sey behtar position pehlu ba pehlu hai. Iss kay elawa aagey peechey aur aurat kay ooper wala tariqa bhi use kya ja sakta hai. Pregnancy kay last kuch weeks kay doran mein missionary method use karney sey jhilli qabal az waqt phat jati hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt hojati hai...!!!

BETA HONA 100% (Have a son) URDU

BETA HONAY KI KHUWAHISH

MICOSORT:

Aaj kal insan na sirf ulaad chahta hai. bal"k chahta hai k un han beta ho. Jis ki waja se modren science ne ye mumkin kar diya hai. Iss waqt jo tariqa sab sey kamiyab hai woh "Micro Sort" kehlata hai. Iss mein betey waley sperm alaehda kar kay inn ko ovum kay sath mila diya jata hai iss soorat mein nateeja 100% hota hai. Yeh ek expensive tariqa hai. Pakistani Rs mein iss ki qeemat taqreeban 30 lakh banti hai. Ek aur useful tariqa "Shelter's Method" hai jisey American Dr.Shettles Landrum B ney dariyaft kya. Iss ki kamiyabi ki sharah 90% hai.
NOTE: Bachey ki takhleeq father kay sperm aur mother kay ovum kay milap sey hoti hai. Father kay sperm mein Y aur X chromosomes hotey hain. Jab kay mother kay ovum mein sirf XX chromosomes hotey hain. Y chromosomes chotey aur nazuk magar tez raftar hotey hain. Jab kay X chromosomes nisbatan mazboot magar sust hotey hain. Sperms ki majmoee tadaad jitni zyada hogi inn mein Y ki tadaad bhi zyada hogi aur betey (son) kay imkanat zyada hongey. Agar sperms ki majmoee tadaad kam hogi to Y ki tadaad bhi kam hogi aur beti kay imkanat zyada hongey. Jab father ki taraf sey Y chromosomes mother kay X chromosomes kay sath milap karta hai to larka paeda hota hai aur jab father ki taraf sey X chromosomes mother kay X chromosomes kay sath milap karta hai to larki paeda hoti hai. Is se prove hota hy k betay ka inhesar mard pe hota hai. han agr wife ki faraj main tezabiat ziada ho to Y chromosomes mar jatay hain.

Dr. Shettles Method:

Is method ki buniyad iss baat per hai kay mubashrat (intercourse) jitni ba'eza raezi kay qareeb hogi itna hi betey kay imkanaat hongay. Iss kay elawa baaz doosrey anaasir bhi bohut ahem hain. Maslan kam sperms ki tadaad, agar sperm ki tadaad zyada hogi to larkay kay imkanaat zyada hongay aur agar sperms ki tadaad kam hogi to larki kay imkanaat zyada ho jatey hain. Iss kay elawa mubashrat (intercourse) ka tariqa bhi ahem hai. Mubashrat (intercourse) ka aisa tariqa ikhtiyar kiya jaey jis mein sperms jald muta'alliqa qazif naali mein chaley jaein. Hum Dr. Shettles Method use kartey hain hamari kamiyabi ki sharah 90% sey zyada hai.


PREGNANCY (HAMAL) Kiasay? precautions

PREGNANCY (HAMAL)

Taqreeban har insan chahta hai k us k han ulaad-e-narina ho. Shadi k baad bunyadi khuwahish b yehi hoti hai k un k han ulaad ho. Husool e aulad kay liye mian biwi ka normal hona zaroori hai kisi ek mein kharabi hogi to aulad naa hogi. Biwi kay pregnant honay kay liye zaroori hai kay mani (semen) iss ki faraj mein dakhil ho aur mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand nutfey (sperms) mojood hun. Faraj ka mahol aisa ho ka sperm wahan zinda reh sakein. Agar aurat ki faraj mein tezabiyat zyada hogi to sperm mar jaeyn gey aur bacha paeda naa hoga. Sperm muta'allaqa qazif naali mein pohonch jaein aur wahan baeza ko paalein aur baar aawri kay baad baeza bacha dani mein aa jaey.

NOTE: Mard jab 4, 5 days kay baad inzal hota hai to inzal honay wali mani (semen) ki miqdar ausatan 3.5 mili litres hoti hai. Iss mein ausatan 30, 40 crore sperms mojood hotey hain. Aulad ki paeda'esh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hoti hai. Magar iss kay liye zaroori hai kay mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand sperms mojod hun. Iss sorat mein sirf 2000 kay lag bhag sperm egg tak pohonchtey hain. Aur inn mein ek ovum ko bar awar karta hai. Aam halat mein 2 crore sey kam sperm hun to aulad paida nahi hoti, albatta test tube ki soorat mein 50,000 sperms sey bhi bacha paida ho jata hai magar iss tariqey ki kamiyabi ki sharah 25% kay lag bhag hai yeh amooman larkiyan hoti hain. Bachey ki jald paeda'esh kay liye mubashrat (intercourse) ba'eza raezi kay qareeb ho. Ba'eza raezi ka waqt janney kay liye bazar sey ek khas test hasil kya ja sakta hai. Yeh test taqreeban 24 hours pehley bata deta hai kay ba'eza raezi kab hogi.

Kuch tareeqay jin se pregnant honay k omkanaat ziada ho jatay hain

                       Iss kay elawa agar rozana ya ek din chor kar mubashrat (intercourse) ki jaey to bhi first month biwi kay pregnancy honay kay 60% imkanat hotey hain. Mubashrat (intercourse) kay liye Missionary method use kiya jaey. Yani biwi neechey ho, iss ki kamar kay neechey takiya ho, mard ooper ho, dakhool deep ho, iss kay liye biwi ki taangein mian kay shoulders per hun, inzal kay baad mian zakar ko foran bahir naa nikaley, Warna mani (semen) ka bohut sa hissa faraj sey baher aa jaey ga jis sey sperm ki tadad kam ho jaey gi aur pregnancy ka imkan bhi kam ho jaey ga behtar hai kay zakar khud hi shrink ho kar baher aa jaey. Inzal kay baad biwi 30 minute sey 1 hour isi halat mein leti rahey. Iss tarhan mubashrat (intercourse) karney sey biwi kay pregnant honay kay imkanaat mein kafi izafa ho jata hai.

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news