Pages

Advertisement

Wednesday 8 August 2012

MAHWAARI (MENSES) IN URDU

Mahwaari (menses)

 Mein club sey wapis aya hi tha ka biwi ney mujhey bataya kay meri ek cousin aaj bey hosh ho gaee aur iss ko doctor kay pass ley jaya gaya. Mein pareshan ho gaya aur foran doctor sey contact kya aur maloom hua kay usko first time mahwaari (menses) aaee hai. Chunkey iss ko iss ka kuch pata nahi tha iss liye woh khoon dekh kar khauf zada ho kar bey hosh hogaee. Larki jab baloghat ki manzil mein dakhil hoti hai to iss kay jism mein ahem tareen change yeh aata hai kay iss ko mahwaari (menses) aaney lagti hai. Yeh ek fitri function hai. Yeh Allah ka inam hai kay iss sey aurat ki takmeel ho jati hai aur woh mother banney kay qabil ho jati hai. Mother jo duniya mein sab sey mohtaram hasti hai, jis kay qadmon mein jannat hai.
    Mahwaari (menses) usually 6 ta 16 saal ki umer mein shuru hoti hai. Zyada tar larkiyon ko 10 ta 14 saal kay doran shuru hoti hai jo usually 2 ta 8 din aur zyada tar 4 ta 6 din jari rehti hai. Agar yeh 18 saal kay baad bhi shuru na ho to kisi doctor sey mashwara kya jaey. Larkiyon ko iss age sey pehley iss ka pata hona chahiyie takay woh khaufzada ho kay beyhosh na hojaein. Mahwaari (menses) ki duration Islam mein kam sey kam 3 din aur 3 raat hai yani poorey 72 hours aur zyada sey zyada 10 din aur 10 raat hai. Imam Maalik aur Imam Shafai kay nazdeek ek mahwaari (menses) ki zyada sey zyada duration 15 din hai jab kay Imam Abu Hanifa kay nazdeek 10 din hai. Mahwaari (menses) kay elawa kisi beemari ki wajah sey bhi khoon aata hai jis sey istihaza kehtey hain aur child birth kay baad aaney wala khoon nifas kehlata hai. (Mobeen).

Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari:

 Menses cycle usually 28 din ka hota hai. Yani har 28 din kay baad mahwaari (menses) hoti hai. Magar baaz khawateen ka cycle kam days (22 days) aur baaz ka zyada (40 days) ka bhi ho sakta hai. Yeh badal bhi sakta hai yani kabhi 28 days aur kabhi 32 days ka. Yeh sab kuch normal hai. Mahwaari kay shuru mein red aur blackish khoon aata hai. Yani yeh khoon bilkul red nahi hota shuru mein yeh zyada aata hai magar ek din baad iss ki miqdar kam hojati hai. 3rd aur 4th day iss ka colour change ho jata hai. Hatta ka yeh ratoobat bilkul khatam ho jati hai. Iss ki miqdar sab larkiyon mein baraber nahi hoti. Kisi ka zyada aur kisi ka kam. Mahwaari (menses) sara khoon nahi hota. Iss mein 50% khoon aur baqi doosra material hota hai aur yeh khoon doosrey khoon ki tarhan jamta nahi hai. Hamal (Pregnancy) kay doran mahwaari (menses) band hojati hai. Magar baaz auqat jari rehti hai. Aisa bohut hi kam hota hai. Iss mein pareshan honay ki zaroorat nahi aur na hi iss ka elaj karaney ki zaroorat nahi. Mahwaari (menses) ka silsila usually 45 years tak chalta hai aur phir band ho jata hai. Kabhi kabhi mahwaari (menses) shuru honay kay waqt iss kay cycle mein kharabi hojati hai. Baaz larkiyon ko zindagi mein first time mahwaari (menses) aaney kay baad 2nd time ya next time mahwaari (menses) 28 din kay baad nahi aati bul kay kuch haftey (weeks) ya kuch months kay baad aatey hain. Kuch larkiyon ko shuru hi sey mahwaari (menses) baqaida waqt per aaney lagti hai.
 Jin larkiyon ko shuru shuru mein mahwaari (menses) sahi time per nahi aati hai inko bhi kuch arsey kay baad khud hi mahwaari (menses) sahi waqt per aur regular honay lagti hai. Baloghat kay ibtidaee daur mein mahwaari (menses) usually irregular hoti hai. Agar mahwaari (menses) mein bohut zyada irregularity ya khoon flow ho ya khoon ka ikhraj bohut zyada miqdar mein honay lagey to kisi achey doctor sey contact karein. (Kawal Dheer)

Premenstrual Syndrome -

Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan:

 Menstrual cycle mamooli diseases maslan flu waghaera sey disturb ho jata hai. Iss tarhan tension, udaasi, depression, anxiety, stress, khauf, trauma aur kharab general sehat ki wajah sey bhi disturb ho kar band ho jata hai. Lehaza inn dino aap ki sehat achi honi chahiyie aur aap ko zehni tor per pur sukoon hona chahiyie.
    Menstrual cycle kay doran aurat kay mood mein changes (premenstrual syndrome) aati hain maslan ovulation kay waqt aurat ka mood positive hota hai. Iss ka self confidence aur self esteem urooj per hotey hain. Magar mahwaari (menses) sey 2 ta 7 din pehley mood negative ho jata hai. Iss doran khawateen ki big ta'adad 75% sey bhi zyada tension, depression, anxiety, irritability, thakawat, death aur paralyze honay ka shadeed khauf mehsoos karti hain.
Headache kay elawa inki self esteem aur self confidence bohut hi low ho jati hai. Yeh symptoms PMS yani premenstrual syndrome kehlata hai. Inn dino aurton mein crimes ka rate zyada ho jata hai. France mein inn dinon mein honay waley crimes per PMS ki wajah sey saza mein narmi ki jati hai. Chunancha famous American Dr. Edgar Berman ney kaha tha kay koi aurat mood kay iss change ki wajah sey kisi ahem position kay liye unfit hai. (Hyde) Isi liye Islam mein mard ko family ka sarbarah banaya hai aur zindagi ki zyada tar aur zyada ahem responsibilities aurat kay bajaey mardon kay shoulders per dali gaee hain. Isi liye Islam mein kisi country mein aurat ki surbarahi ki gunjaesh nahi. Mahwaari (menses) sey pehley inn symptoms kay elaj kay liye progesterone therapy ki sifarish ki jati hai.
    Mahwaari (menses) ek napak cheez hai jis cloth per yeh khoon lag jaey iss ko wash kar kay pak kara jaey. Hazrat Asma bint e Abu Bakar riwayat karti hain kay ek aurat ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey poocha kay jis kaprey ko haez lag jaey to kya karein. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay isko chutkiyon sey mal kar pani sey dho dalna chahiyie aur phir iss mein namaz ada kari jaey. (Bukhari, Muslim) 
    Ek muslim khatoon jitney din mahwaari (menses) ki halat mein rahey itney din namaz na parhey, ramazan hun to rozey na rakhey lekin rozey baad mein qaza rakhna farz hain. Albatta itney dino ki namazein maaf hain. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai. Farmaya kay jin dinon mein haez aaey inn mein namaz chordey, phir nahaey aur har namaz kay waqt wuzu karey aur namaz parhey aur rozey rakhey. (Abu Dawood)
 Albatta istehaza mein na namaz maaf hai aur na rozey aur na hi mubashrat haram hai.

Intercourse During Menses In Islam:

 Mahwaari (menses) mein aurat kay sath mubashrat (Intercourse) haram hai. 1990 ki ek American research sey maloom hua kay mahwaari (menses) mein mubashrat (Intercourse) sey husband aur wife donon ko STDs aids waghaera lagney ka khatra bohut zyada hojata hai. (Stefan) agar mubashrat (Intercourse) kar li jaey to sakht gunah hai. Quran mein irshad hai kay
    "Aey mehboob tumsey Haez kay barey mein log sawal kartey hain tum farma do woh gandi cheez hai. To Haez mein aurton sey bacho. Inn sey qurbat na karo jab tak woh pak na ho lein. To jab pak ho jaein to unn kay paas uss jagah aoo jis ka Allah pak ney tumko hukum diya hai. Bey shak Allah dost rakhta hai toba karney walon ko aur dost rakhta hai pak honay walon ko" (Surah Baqra Ayat 222)
    Issi tarhan Hazrat Ibn e Abbas sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jab koi shakhs apni biwi sey Haez mein mubashrat karey to nisf denar sadqa dey. (Tirmizi) 
    Agarcha islam mein mahwaari (menses) mein aurat sey mubashrat (Intercourse) bilkul mana hai magar iss kay jism ka doosrey hisson sey lutf andoz honay ki ijazat hai. Hadees e Nabwi (SAW) hai kay

    Hazrat Anas Bin Maalik farmatey hain kay yahoodion mein kisi aurat ko haez aata to isey na apney sath khilatey na apney sath gharon mein rakhtey. Sahaba ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey sawal kara to iss per Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney irshad farmaya mubashrat kay siwa har shaey karo.

 Iss ki khaber yahoodiyon ko pohnchi to kehney lagey kay Nabi hamari har baat kay khilaf karna chahta hai. (Muslim, Bukhari) Iss tarhan Hazrat Maaz Bin Jaber ney arz kya "Ya Hazrat Muhammad (P.B.U.H) meri aurat haez mein ho to merey liye kiya cheez iss sey halal hai. Farmaya tehband (Naaf) sey ooper aur iss sey bachna behtar hai. (Abu Dawood)
    Mahwaari (menses) mein aurat kay liye har cheez jaez hai. Siwaey namaz, Roza, Khana e ka'aba kay ander jana aur iss ka tawaf karna, Sajda e shukar aur sajda e tilawat kay. Isi tarhan aisi aurat Quran ko na touch karey aur na hi parhey albatta quran sun sakti hai.

Precautions During Menses - Mahwaari Mein Ehtiyat:

  Mahwaari (menses) kay chund dino mein agar thori si ehtiyat (precautions) rakhi jaey to munasib hoga. Inn dinon mein neend theek aani chahiyie ta kay din kay waqt bey chaini mehsoos na ho. Larki agar mahwaari (menses) ko aam routine ki cheez samajh kay  pareshan nahi hoti aur hamesha ki tarhan din bhar apney kamon mein masroof rehti hai to yaqeenan woh raat ko neend kay mazey lootey gi.
    Mahwaari (menses) kay dino mein khoorak thori si change karli jaey. Aam dino kay muqabley mein larki ko solid ki jagah soft aur halki diet leni chahiyie. Milk, fruit juices aur pani ki zyada miqdar leni chahiyie. Green vegetables aur fruits ka zyada istemal karna chahiyie. Fried cheezon sey parhaez karna chahiyie. Diet sada aur digestible ho.
    Mahwaari (menses) mein jism kay ander kuch khas qism kay glands secretion kharij kartey hain aur in ki wajah sey paseeney (sweat) sey halki smell aaney lagti hai. Jo na sirf apney aap ko bul kay doosron ko bhi buri lagti hai. Iss smell sey mehfooz rehney kay liye jism per perfumed powder ya phir body spray waghaera use kya ja sakta hai. 
 Mahwaari (menses) kay khoon sey jism aur kapron ko bachaney kay liye kafi qism kay pads use kiye jatey hain yeh sanitary towel bazar mein farokht kiye jatey hain. Iss qism kay pads zyada saaf suthrey, aramdeh aur jaraseem sey pak hotey hain aur iss kay istemal sey kafi sahoolat ho jati hai. Yeh pads iss tarhan kay baney hotey hain kay yeh khoon ko absorb kar letey hain. Bohut si larkiyan bazari pads kay bajaey ghar kay tayyar shuda cotton aur kaprey kay pads use karti hain. Aisey pads banatey huey khayal rakha jaey kay cotton aur kapra saaf ho. Rough na ho, jaraseem sey pak ho aur khoon ko achi tarhan absorb kar sakey.
    Lagatar ek pads istemal karney kay bajaey pad ko badalna chahiyie. Ek pad ko zyada der use karney ki soorat mein smell paeda ho sakti hai aur kharish waghaera bhi ho sakti hain jo baad mein zyada ho sakti hai.

Painful Menses

Takleef deh Mahwaari:

  Aksar khawateen ki mahwaari (menses) normal hoti hai aur inko koi khas takleef nahi hoti. Magar kuch khawateen mahwaari (menses) kay doran backache, headache, Pait aur pelvic region kay dard, nausea aur pressure kay ahsas ki shikayat karti hain. Iss silsiley mein sab sey ahem masla mahwaari (menses) ka pain hai. Thora bohut pain taqreeban har aurat kabhi na kabhi feel karti hai aur yeh sab kuch normal hai. Iss pain ko Aspirin ya Panadol waghaera sey control kya ja sakta hai. (Kawal Dheer)
 Mahwaari kay dinon mein paeda honay wali takleefdeh haalat na to sangeen hoti hai aur na hi mustaqil. Iss liye pareshan honay ki zaroorat nahin bul kay aisi takleef ko aam samajh kar apney aap ko maamool kay kaamon mein masroof rakhna chahiyie. Jo larkiyan aisi kisi takleef ko zyada feel karti hain aur aksar leti rehti hain woh stress ka shikar ho kar painful condition mein phans jatin hain.
    Mahwaari (menses) ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarhan pareshani ka bais nahi hona chahiyie. Larki ko yeh samajh lena chahiyie kay yeh qudrat ka ek aam jismani process hai. Usually isey bataya jata hai kay mahwaari (menses) kay dino mein larki ki zehni aur jismani halat ek beemar jaisi hoti hai aur inn dino isko zyada aaram karna chahiyie. Yeh bhi mehez ek ghalat fehmi hai. Mahwaari (menses) mein iski halat ek mareez jaisi nahi hoti bul kay jawan hoti hui larki kay liye yeh to iss kay healthy honay ki alamat hoti hai. Iss kay zariye growth hasil karney ka amal hota hai. Isliye isko apney aap ko beemar samajh kar bister per letey nahi rehna chahiyie bul kay daily routine kay kaam kaaj mein hissa lena chahiyie. Is sey woh apney qudrati mahol mein masroof reh kar un-natural mehsoos nahi karti.  
    Baaz larkiyon ko mahwaari (menses) painful hoti hai jo kay ek beemari Dysmenorrhea hai. Yeh 2 type ka hota hai. Pehli type mein takleef uterus kay muscles stiffness ki wajah sey hota hai. Iss ka sabab heredity, jismani aur nafsiyati bhi ho sakta hai. Yeh usually naujawani kay aaghaz mein hota hai. Jab kay doosri type mein nisbatan big age mein takleef hoti hai. Iss ka sabab usually genitalia ka shrink ho jana hota hai.
  Mahwaari (menses) ka pain aksar nafsiyati hota hai. Aksar larkiyon nai suna hota hai kay  mahwaari (menses) sey takleef hoti hai. Isliye woh mahwaari (menses) kay aghaz hi sey iss sey khauf zada hoti hain aur phir iss khauf ki wajha sey uterus mein stiffness aur takleef paeda hojati hai. Larkiyon ko yeh pata hona chahiya kay mahwaari (menses) koi takleef deh cheez nahi lehaza woh relax rahein. Iss sorat mein unko mahwaari (menses) ki takleef nahi hogi. Kuch khawateen ko mahwaari (menses) sey 2 ya 3 din pehley headache, backache, pait ka dard shuru ho jata hai aur inkay pistaan (Breast) swell ho jatey hain. Kuch khawateen ko puri mahwaari (menses) kay doran dard hota hai. Yeh sab kuch normal hai koi beemari nahi. Agar takleef kuch zyada ho to gynecologist sey contact karein.

Mahwaari Mein Nahana Khatarnak Hai?

 Hamarey yahan kam parhi likhi khawateen mein yeh baat bohut hi famous hai kay mahwaari  mein nahaney (taking bath durng menses) aur organs ko pani waghaera sey saaf karney sey na sirf bohut si big beemariyan lag jati hain bul kay motapa bhi ho jata hai. Iss liye aksar khawateen inn dino pani sey perhaez karti hain. Halan kay mahwaari (menses) kay dinon mein larki ko daily apney jinsi aaza (female genital organs) ki safaee khas tor per karni chahiyie. Achi tarhan safaee na karney sey khoon ka kuch na kuch hissa yahan per jum kar smell paeda kar sakta hai. Lagataar kaee din tak safaee na karney sey inflammation ho sakti hai. Kharish aur halkey zakhm bhi ho saktey hain. Mahwaari (menses) kay doran ghusl ya jismani safaee kay liye mosam kay mutabiq hot ya cold water use kya ja sakta hai. Iss silsiley mein kisi ghalat fehmi ka shikar nahi hona chahiyie kay mahwaari (menses) kay doran nahana khatarnak sabit ho sakta hai. (Kawal Dheer).

1 comments:

  1. thanku so much bohat detail mai aur bohat informative post hai

    ReplyDelete

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news