Pages

Advertisement

Friday, 3 August 2012

NOJAWAN LARKON K MASAIL OR UN KA HAL

NOJAWAN LARKON K MASAIL OR UN KA HAL

paidaesh kay bad jab insan jawani ya baloghat ki taraf barhta hai to zahir baat hai insan main tabdeelian aaen gi. Afsos ki baat ye hai kay inhi changes ko badqismati se humaray mulq k neem haqeemon ne bimarian yani disease bana diya hai.


Larkoy jab baloghat ko pohanchtay hain un main bohat se tabdilian aati hain jin main commonly jisam pe baal ajana (naaf, baghal main baal ajana). Baloghat main larkon ko jinsi shahoot ya sex ki taraf rujhan qadray ziada ho jata hay jis ki waja se laisdar qatray ya liquid kharij hota hay jo kay 1 normal amal hai. Jinsi tabdilion main larkon ko ehtelam honay lagta hay aur larkiyon main mahwari wagera. Aksar nojawan confused hotay hain kay ye changes normal hai ya abnormal aur afsos se kehna parh raha hai k humaray muashray main galat guide kia jata hai. Jis ki waja se baaz nojawan deewari eshteaar parh kay kisi neem haqeem kay hath charh jatay hain aur wo nojawan ko itna depressed kar detay hain kay nojawan in changes ko bimari samajh leta hai. Aur wo pareshan or tension me rehnay lagta hai. Tension or pareshani ki waja se wo waqai kamzor honay lag jata hai jis ki waja se aur bimarian bhi usay ghair leti hain. Is tarah tarah neem haqeem ki batain usay sach lagnay lagti hain aur wo bohat se paisay bhi kharch karnay ko tayar ho jata hai.

MANI KA KHARIJ HONA OR SEMEN EJACULATION

Jaisa k jawani main shahoot or ki taraf rujhaan barh jata hai 15 se 20 saal ki umer main to bohat hi ziada hota hai or semen ki pedawar ziada miqdar main ban'nay lagti hai jis waja se 15 se 20 saal ki umer main mani ka ikhraj bhi ziada hota hai.
Semen (mani) kay ikhraj kay tareeqon main...
  • Shaadi (marriage),
  • Ehtelam (Nocturnal Emission),
  • KhudLazzati (Masturbation) aur
  • Zina (Adultery).
In me se Zina aik bohat hi ghatiya amal hai jo k gunah-e-kabira hay jo bhi halaat hon is se bachna chahiye. Kyu kay agar aaj ap kisi ki maan, behn, ya beti se zina kartay ho to kal ap ki behn beti kay sath bhi ALLAH na karay aesa ho sakta hay Kyun kay ALLAH behtar insaf karnay wala hay Pak be-niaz hai. ALLAH hamain zina se bachaye Ameen.

SHADI (MARRIAGE)

Shadi jo k sunnat-e-rasool pak (S.A.W.W) bhi hai. jaisi hi bachay baloghat ki stage pe pohanchay to un ki shadi kay baray main sochain kyun kay shadi mani kay ikhraj ka sab se behtar zariya hai aur is se bachay bohat se gunahon se bhi bach jayn gay. Biwi sey mubashrat sirf faraj mein karney ki ijazat hai. Maq'ad mein mubashrat qata'an haram hai.
Maghribi logon main se 40% log kabhi na kabhi maq'ad main mubashrat kartay hain. Aur bohat se mard, mard me hi dilchasbi letay hain aur western main mard mard se shadi bhi kar saktay hain jo kay bohat hi bara gunah hai. Humaray han bhi bohat se mard hain jo mard me hi interest letay hain jo k i nafsiyati bimari hai jis ka hal bhi ho sakta hai.

Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation)

Mani kay ikhraj ka doosra behter rasta ehtelam hai jin naujawano ko mubashrat ya khud lazzati ka kasrat sey moqa nahin milta unn ko Ehtelam ho jata hai. Yani sotey mein khwab mein ya khwab kay baghaer peeshab kay rasta mani kharij ho jati hai. Iss kay baad ghuslfarz ho jata hai, albatta iss sey roza nahin tootta. Yeh amal 8, 10 saal ki umer sey shuru ho sakta hai. Behter hai kay bachay ko iss kat muta'alliq paeshgi bata diya jaey warna isey jinsi beemari samajh ley ga aur khauf zada aur pareshan ho jaey ga. Phir kisi neem hakeem kay hutthey charh kar sehat aut rupya zaya karey ga. Ehtelam ek bilkul normal aur sehat mand uzwiati amal ya kaifiyat hai jis kay barey mein pareshan honay ki zaroorat nahin.

Ehtelam K Farzi Buray Asrat:

Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer mein shuru ho jaey to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liye jaey. Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation) waley khush qismat hain kyun kay woh iss tarah mani  kay ikhraj ki wajah sey khud lazzati aur zina sey bach jatey hain. Yeh rozana ho sakta hai bul kay ek raat mein do teen baar bhi ho sakta hai. Ek mashhoor muhaqqiq Kinsey kay survey kay mutabiq yeh ek haftey mein 12 dafa bhi ho sakta hai. Yeh na sirf naujawanon ko hota hai bul kay 70 saala boorhey, jis ko mubashrat ka moqa nahin milta, ko bhi ho sakta hai. Ta'hum yeh chahey kitni hi martaba kyun na ho ek normal amal hai, kyun kay mani ka ikhraj ek sehat mand amal hai. Insan ki sehat per iss kay koi burey asraat nahin partey. Saarey doctors, reasearchers, mahireen e nafsiyat aur jadeed ilm sey aagaah hakeem iss baat sey poori tarah ba khabar hain kay Ehtelam koi nuqsan deh cheez nahin. Chuna'ncha yeh baat poorey daawey sey kahi ja sakti hai kay Ehtelam  kay kisi bhi tarah kay burey asraat nahin.

NEEM HAQEEM OR EHTELAM:

Allbatta neem hakeem naujawano ko Ehtelam kay farzi burey asraat aur tabahkaariyon sey khauf zada kar detey hain, jin mein sey chund yeh hain. 
Ehtelam sey dimagh aur hafiza kamzor ho jata hai. parhney ko dil nahin karta (parhney ko kis talib ilm ka dil karta hai) yaad kya hua yaad nahin rehta beenaee kamzor ho jati hai a'asaab kamzor parr jatey hain fard khauf aur ghabraahat ka shikar ho jata hai uss kay dil ki dharkan taez ho jati hai aankhon kay aagey andhera cha jata hai chusti, chalaki khatam ho jati hai chehra bey ronaq ho jata hai badan susu aur kamzor parr jata hai fard zara si mehnat sey thak jata hai kisi kaam mein dil nahin lagta.  Taangon aur kamar mein dard mehsoos hota hai fard susti, kaahili aur udaasi mehsoos karta hai mizaj chirrchira ho jata hai ehsaas e kamtari ki wajah sey fard kisi sey aankh mila kar baat nahin kar sakta. Yaqeen karein kay inn tabah kaariyon ki koi haqeeqat nahi. Albatta kuch log ehtelam kay ba'ad kuch kamzori aur doosri jismani aur nafsiyati alamaat (symptoms) ki shikayat kartey hain. Iss ki wajah manfi suggestions hain jo humein ghaer meyari kutub aur deewaron per ishtehaarat sey milti hain jin mein ehtelam ki tabah kaariyon ka zikr hota hai. Phir fard sochta hai kay woh kamzor ho jaey ga to woh kamzor ho jata hai, dar asal insan jaisa sochta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai.
                       Depression mein fard shadeed afsurdagi aur udaasi mehsoos karta hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hai jiski wajah sey woh kamzor honay lagta hai. Iss kay elawa zehni dabau (stress) ki wajah sey fard bohut si doosri jismani beemariyon ka shikar ho jata hai. Ab tehqeeq sey sabit ho chuka hai kay nafsiyati beemariyon ki sab sey bari wajah zehni dabau (stress) hai. Iss kay elawa 50 ta 80% jismani beemariyon ki wajah bhi zehni dabau hota hai. Iss sey ulcer sey cancer tak ho jata hai. Haqeeqat yeh hai kay ehtelam kay jinsi, zehni aur jismani sehat per koi burey asraat nahin partey.

Iss ki ek aur wajah fard ki tawaqqa (expectation) bhi hai. Insaan jaisi tawaqqa karta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai yani waisa hi ho jata hai. Ek American Dr. Norman ney ek dilchasp tajurba kya, iss tajurbey mein 10 log shamil thay. Inn mein Dr.Norman  khud bhi shamil tha. 10 log ek hotel mein ikatthey huey. Dr. Norman ney unn sey poocha kay woh agley saal kis cheez ki tawaqqa kartey hain. Har fard ney apni tawaqqa ek kaghaz per likhi aur inn sab ko alaehda alaehda envelope mein bund kar diya gaya. Ek saal ba'ad yeh sab log isi hotel mein ikatthey huey, inn mein ek fard na aaya. Ek ek kar kay sab kay envelope kholey gaey har fard ney jiski tawaqqa ki thi uss nay taqreeban woh cheez hasil karli thi. Ghaer hazir fard ka envelope aakhir mein khola gaya iss mein darj tha kay humarey khandaan mein mardon ki umrein zyada lambi nahin hotiin lehaza mera khayal hai kay mein agley saal tak zinda na rahun ga, aur woh faut ho chuka tha.
    Naujawan amooman pehley musht zani shuru kartey hain, phir ehsas e gunah aur iss kay farzi asraat kay khauf sey  Musht zani chor detey hain magar musht zani chortey hi unn ko ehtelam shuru ho jata hai. Phir naujawan ajeeb makhmasey mein phans jatey hain kay mushtzani karein to shadeed ehsas e gunah aur jinsi kamzori ka ehsaas aur musht zani chorein to ehtelam aur phir jismani aur jinsi kamzori ka khuaf aur ehsaas.

Ehtelam Ki Wajoohaat (Causes of Nocturnal Ejaculation):

  1. Iss ki wajah to yeh hoti hai kay fard ki mani ka kisi aur zaryey sey ikhraj nahin hota to iss tarah sey ikhraj ho jata hai kyun kay koi fard mani ko mehfooz nahin kar sakta.
  2. Romantic films, fahash films, tasaweer, kahaniyan, fahash baatein aur internet per sex sites ka visit bhi iss ka ek ahem sabab hain.
  3. Larki kay sath romantic mahol mein guzara hua waqt jis mein mubashrat ki shadeed khwahish ho jo poori na hui ho, iss tarah ehtelam kay zaryey khwab mein fard woh khwahish poori kar leta hai.
  4. Narm bister, tung patloon aur underwear bhi ek ahem wajah hai.
  5. Soney sey qabal peeshab na karna ya soney mein peeshab ko rokna waghaera bhi wajah ban jati hai.

    NOTE:
    Mahireen ka khayal hai kay ehtelam ko bund karney ki koshish na ki jaey, agar mani kay ikhraj ka yeh acha raasta bund ho gaya to woh fard doosrey ghalat raastey talash kar ley ga, phir woh khud lazzati karey ga ya zina mein mubtala ho jaey ga. Amooman woh naujawan jin ko zyada ehtelam hota hai woh khud lazzati (masturbation) nahin kartey.

    Ehtelam Ka Elaj:

    Ehtelam (Nocturnal Ejaculation) ghaer shadi shuda afraad kay elawa shadi shuda afraad ko bhi ho jata hai jin ko biwi sey mubashrat ka jald ya kasrat sey moqa nahin milta, ta'hum isey kisi hudd tak kam kya ja sakta hai. Iss kay liye gandi filmon, kahaniyion, tasaweer, sex sites, dramon, gaanon aur buri sohbat sey bacha jaey, sports mein zyada dilchaspi lii jaey, rafahee kaamon mein hissa liye jaey, deen ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Raat ka khana kam aur jald khaya jaey. Raat kay khaney kay ba'ad saer ki jaey, sotey waqt garam doodh aur chaey na pii jaey, sotey waqt zyada pani na piya jaey. Bister bohut narm na ho, isi tarah kaprey khusoosan underwear tung na ho. Soney sey pehley peeshab zaroor kar liye jaey. Sotey mein jab bhi peeshaab ki hajat ho to foran neend sey baedaar ho kar peeshab kar liye jaey. Peeshab rokney ki zaroorat mein ehtelam kay imkanaat bohut barh jatey hain. Waisey ehtelam koi beemari nahin, iss ka koi nuqsaan nahin aur na hi iss kay elaj ki koi zaroorat hai.

0 comments:

Post a Comment

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news