PREGNANCY (HAMAL OR MUBASHRAT)
Hamal ka arsa 9 month per muheet hota hai. Itnaa arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai. Khawateen mein bhi jinsi khwahish mand nahi parti. Bul kay 90% khawateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh mahi (4 – 6 month) mein izafa ho jata hai. Agarcha last 3 month mein aksar khawateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master And Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand hamla aurat kay sath bachey ki paeda'esh sey 4 week qabal tak mehfooz tor per mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Baaz afraad to last din tak bhi mubashrat (intercourse) jari rakhtey hain. Master and Johnson kay mutabiq bachey ki paeda'esh kay 3 week baad aurat sehatyab ho jati hai aur iss sey mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Iss doran mein iss ki jinsi khwahish wapis aa jati hai. Woh khawateen jo miscarriage (Asqaat e Hamal) ya abortion ka tajurba kar chuki hain, inn kay liye behtar yeh hai kay woh hamal (pregnancy) kay poorey arsey mein khusoosan pehley chand weeks aur last weeks mein mubashrat (intercourse) aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie. Kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage (Asqaat e Hamal) ka khatra barh jata hai. Iss tarhan kuch doosrey mahireen kay mutabiq hamal kay last 6 week mein behter yehi hai kay mubashrat (intercourse) na ki jaey.
Last weeks mein mubashrat (intercourse) ki wajah sey labour pain pehley shuru ho sakta hai. Iss tarhan bacha waqt sey pehley paeda ho jata hai. Hamal (pregnancy) kay pehley 6 maah tak to aam halat ki tarha mubashrat ki ja sakti hai aur itni hi bar ki ja sakti hai jitni bar pehley hoti rahi hai. Albatta last month perhaez karna zyada zaroori hai. Iss doran mein biwi mian ko mutabadil tariqon sey jinsi sukoon muhayya karey. Pregnancy kay doran mein khusoosan last month mein mubashrat (intercourse) ka missionary method yani aurat neechey waley method ko bilkul tark kardiya jaey. Albatta shuru kay dinon mein 1 or 2 month mein yeh tariqa use kya ja sakta hai. Pregnancy kay doran mein mubashrat (intercourse) ki sab sey behtar position pehlu ba pehlu hai. Iss kay elawa aagey peechey aur aurat kay ooper wala tariqa bhi use kya ja sakta hai. Pregnancy kay last kuch weeks kay doran mein missionary method use karney sey jhilli qabal az waqt phat jati hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt hojati hai...!!!
0 comments:
Post a Comment