TAKLEEF DE MUBASHRAT
(PAINFULL INTERCOURSE)
Aam haalaat mein mubashrat ek bohut hi purlutf amal hai jis sey donon mian biwi bey panaah lazzat aur sukoon hasil kartey hain agarcha pehli mubashrat amooman donon mian biwi kay liye kuch takleef ka baa'iss hoti hai khusoosan dulhan zyada takleef mehsoos karti hai aur agar parda e bakarat (hymen) phatey to zakhm ko mundamil honay mein chund din lag jatey hain. Iss tarah pehli chund mubashratein aurat kay liye kuch takleef deh hoti hain, uss kay ba'ad lutf hi lutf, magar ba'az khwateen ko iss kay ba'ad bhi mubashrat mein takleef hoti hai dard amooman kisi jismani kharabi ko zahir karta hai. Iss surat mein pehley marhaley mein kisi achi doctor sey apna tafseeli mua'aina karwaein orgasm hasil na karney kay ba'ad khawateen ki yeh doosri aam jinsi beemaari hai. Takleef deh mubashrat ki ek wajah ek beemari bhi hai iss beemaari mein aurat mubashrat mein takleef mehsoos karti hai iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan faraj mein infection ho, mubashrat kay waqt faraj mein chiknahat ki kami bhi ek wajah hoti hai. Iss ka sabab yeh hota hai kay aurat kay jinsi jazbaat poori tarah nahin ubhrey hotey aisi surat mein biwi kay jinsi jazbaat ko khoob ubhara jaey jab jazbaat khoob ubhar jatey hain to faraj mein zyada chiknahat ho jati hai phir dakhool aur mubashrat aasaan ho jati hai. Ta'hum mubashrat ko mazeed aaraam deh bananey kay liye masnoo'ee chiknahat ko bhi istaemal kiya jaey maslan.
EHTIYATI TADABEER:
Khawand mubashrat kay waqt zakar ko chikna karey to phir mubashrat mein dard na hoga. Ba'az auqaat condom kay ooper laga hua chemical ya koi cheez maslan sabun waghaera allergy ka sabab ban jata hai jis sey mubashrat mein takleef hoti hai aisi surat mein inn ka istaemaal bund kar kay dekhein ba'az auqaat kisi wajah sey bacha daani, bacha daani kay mu'nh ya qazif naaliyon mein infection ya tumor hota hai jo kay dard ka sabab banta hai. Iss kay elawa bachay ki paeda'esh kay ba'ad bachey daani mein zakham ki wajah sey bhi mubashrat takleef deh ho sakti hai umar kay barhney ki wajah sey faraj mein ratoobat ki kami aur faraj ki deewaarein patli ho jati hain to mubashrat mein dard hota hai. Ta'hum jab bhi mubashrat mein dard ho to kisi achi doctor sey raabta karein muaaeney kay waqt usey bataein kay mubashrat kay kis marhaley mein aur kis jagah dard hota hai.Takleef deh mubashrat mein amooman teen maqamaat per dard hota hai.
- Faraj (vagina) kay dahaney mein yani dakhool kay waqt.
- Gehrey dakhool mein stroke lagatey huey.
- Bazer (clitoris) mein.