Pages

Advertisement

Monday, 20 August 2012

INTERCOURSE IN ISLAM IN URDU

Mubashrat (Intercourse) In Islam In urdu

 Azdwajii zindagi ki buniyad mubashrat (Intercourse) hai. Allah kay nabbi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nai jaiz tareeqai sey jinsi khwahish ki takmeel ko sadqa aur naiki qarar diya hai. Jiska zojain ko sawab milta hai. (Sahi Muslim)
  Pakistani muashrey mein yeh bat bohut famous hai kay khawateen kay liye mubashrat (Intercourse) aik bohut painful amal hai. Jiski wajha sey aksar khawateen jinsi amal sey khauf zada hoti hain. Yeh khawateen mubashrat (Intercourse) sey lutf andooz nahi hotin aur apnai husband kay sath cooperate nahi Karti. Jo biwi mubashirat mein apnai husband kay sath tawun na karai Allah kay nabbi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ershad kay mutabiq fareshtai sari rat usper lanat bhaijtain hain. (Muslim, Bukhari, Nesai)
     Buniyadi tor per mubashrat (Intercourse) husband wife dono kay liye bohut hi lutf aur sukoon daina wala amal hai. Quran mein ershad hai "Esnai tumhari hi jins sey tumharai liye jorai paeda karai taqai enkai sath milkar tum sukoon aur etminan hasil karoo" (Surah Rom Ayat 21)
     Agarcha shuru mein aik aad bar hymen kay rupture honay ki wajha sey khawateen ko kuch pain hota hai. Albatta baaz khawateen ko mubashrat (Intercourse) mein takleef (pain)hoti hai jo kay aik beemari hai jissai Dyspareunia kaha jata hai. Eski wajha ya to mubashrat (Intercourse) ka khauf hota hai yeh phir wajaina mein infection waghaira. Baaz auqat aurat mubashrat (Intercourse) kay liye puri tarhan tayar nahi hoti jiski wajha sey iss kay vagina mein lubrication nahi hoti. Chunancha aurat mubashrat (Intercourse) mein takleef mehsoos karti hai.
           Es tarhan kabhi kabhar hymen mukammal tor per rupture nahi hota, essai bhi takleef hoti hai. Iss kay elawa vagina yeh vulva mein koi allergy yeh infection bhi hosakta hai. Usually mubashrat (Intercourse) koi takleefdai process nahi hai. Agar biwi mubashrat (Intercourse) kay doran pursukoon aur relax rahey to lutf aiga. Taham baaz auqat deep dakhool (penetration) aur zoor daar strokes bhi takleef ka sabab bantai hain. Usually mubashrat (Intercourse) ka pain pahla Chund martaba kay mubashrat (Intercourse) mein hota hai. Iss kay baad lutf hi lutf. (Mobeen).

Mubashrat (Intercourse) Ka Sharaee Tariqa:

    Mubashrat (Intercourse) kay bohut sey famous tareeqai hain. Famous method missionary tareeqa hai. Iss mein wife neechey jabkai husband ooper hota hai. Iss mein dakhool (penetration) easy hai magar iss mein penis bazer (Clitoris) ko touch nahi karta jiski wajha sey aurat zyada lutf andooz nahi hoti. Yeh tareeqa pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi munasib nahi. Hamara yaha yeh tareeqa hi sab sey zyada use hota hai. Baaz log jahalat ki wajha sey esko Islami tareeqa qarar daitain hain jiski wajha sey bohut si khawateen apnai husband ko mubashrat (Intercourse) ka koi dusra method use Karney nahi daitin. Halankay Hazrat Muhammad(P.BU.H) nai kisi tareeqai ko Islami tareeqa qarar nahi diya. Aurat kay zyada jinsi lutf kay liye mard neechey aur aurat ka ooper wala tareeqa zyada mufeed hai. Iss mein aurat apni marzi sey bazer (Clitoris) ko penis kay sath rub kar sakti hai aur pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi yeh tareeqa mufeed hai.

Orgasm Or

Jinsi Lutf Ki Inteha

 Madina mein shuru shuru mein missionary tareeqey kay elawa doosrey tareeqey raij nahi thay. Hazrat Jabir biyan kartey hain kay yahoodion ka kehna hai kay agar koi shohar apni biwi kay peechey ki taraf reh kar mubashrat (Intercourse) karey to iss surat mein bhaenga bacha paeda hoga chunancha "Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao". Agar koi chahey to peechey ki taraf reh kar bhi mubashrat kar sakta hai lekin mubashrat sirf ek rastey faraj sey honi chahiyie. (Muslim) yahoodion kay asar ki wajah sey Madina mein ansar missionary method kay elawa doosrey methods ko jaeiz nahi samajhtey thay, Yahan tak kay Quran mein ayat nazil hui. 'Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao' (Surah Baqra Ayat 223) albatta anus mein dakhool (penetration) haram hai.

Orgasm (Sexual Climax):

    Jinsi lutf ki intiha ko orgasm kaha jata hai. Mard aur aurat kay orgasm mein farq hai. Mard ka orgasm kay foran baad inzal (discharge) ho jata hai jab kay aurton ka mardon ki tarhan discharge nahi hota. Albatta 5% aurtein pani kharij karti hain. Mard orgasm ki hadd tak jald pohonch jata hai aur iss ka duration bhi kam hota hai aur woh jald normal halat mein aa jata hai. Jab kay aurat der sey orgasm hasil karti hai aur iss ka orgasm der tak rehta hai. Iss ko normal honay mein bhi zyada waqt lagta hai. Ek bara farq yeh hai kay mard taqreeban har bar orgasm hasil kar leta hai jab kay sirf 30% aurtein har bar orgasm hasil karti hain. 10% kabhi orgasm hasil nahi kartiin. Unko nafsiyati elaj aur baaz auqat operation ki zarorat parti hai.
 Mard usually ek mubashrat (Intercourse) mein ek orgasm hasil karta hai jab kay aurat ek mubashrat (Intercourse) mein ek sey zyada orgasm hasil kar sakti hai. Ek experiment mein ek aurat ney 50 orgasm hasil karey. Iss kay elawa mard usually pehley orgasm mein zyada lutf uthata hai jab kay aurat doosrey, teesrey orgasm mein zyada lutf uthati hai. Hite kay survey kay mutabiq agar chahein to tamam aurtein ek sey zyada orgasm hasil karney ki salahiyat rakhti hain. Aurat mubashrat (Intercourse) ki nisbat musht zani (masturbation) sey jald orgasm hasil kar leti hai. (Hite: Hyde)

Types Of Female Orgasms

Aurton Kay Orgasm Ki Aqsaam

Aurton ka orgasm 2 types ka hota hai.
(Types Of Female Orgasm)
  1. Dakhooli (Vaginal)
  2. Bazeri (Clitoral)
    Master and Johnson kay mutabiq har aurat indirectly or directly clitoral stimulation sey hi orgasm hasil karti hai jab kay doosrey mahireen ka khayal hai kay taqreeban 80% aurtein clitoral stimulation sey aur baqi dakhool (penetration) sey orgasm hasil karti hain. Sherry Hite kay survey kay mutabiq taqreeban tamam aurton ko orgasm hasil karney kay liye clitoral stimulation ki zaroorat hai. Yani bohut bari tadaad sirf dakhool (penetration) sey orgasm hasil nahi karti, chahey mubashrat (Intercourse) 2 hours tak jari rahey. Aurat ka asal sensitive part bazer (Clitoris) hai jo kay vagina sey door labia minora kay ooper waley hissey mein chicken ki kalghi ki tarhan hota hai. Aam mubashrat (Intercourse) mein penis iss ko touch nahi karta
 lehaza aksar aurton kay orgasm kay liye zaroori hai kay husband ya biwi khud mubashrat (Intercourse) kay doran bazer (Clitoris) ko finger sey stimulate karey. Kyun kay hamarey yahan husband wife donon iss haqeeqat sey aagah nahin jis ki wajah sey aurton ki ek big taadaad orgasm hasil nahi karti jiski wajah sey inki jinsi zindagi khushgawar nahi hoti. Aurat ka mubashrat (Intercourse) kay doran orgasm hasil karna zaroori nahi bul kay aurat agar mubashrat (Intercourse) sey pehley ya mubashrat kay baad dakhool (penetration) kay bajaey clitoral stimulation jo finger sey bhi ho sakta hai, sey bhi orgasm hasil karey to bhi woh bharpoor jinsi lutf hasil kar leti hai.
    Aksar mahireen kay mutabiq lutf kay lehaz sey vaginal aur clitoral orgasm donon baraber hain magar Hite kay survey kay mutabiq vaginal orgasm ki nisbat clitoral orgasm zyada lutf angaez hai. In other words aurat kay jinsi lutf kay liye dakhool (penetration) zaroori nahi bul kay clitoris ko kisi bhi cheez maslan finger sey stimulate kar kay bharpoor jinsi lutf hasil kya ja sakta hai. Isi liye west mein 90% sey zyada khawateen musht zani (masturbation) kay doran bazer (Clitoris) hi ko stimulate karti hain. Vaginal orgasm ki soorat mein zaroori hai kay mard 5 ta 10 minute mubashrat (Intercourse) ko jari rakh sakey kyun kay aurat ko orgasm kay liye dakhool (penetration) kay baad 5 minutes sey zyada fast stroking ki zaroorat hai jab kay mardon ki bohut bari tadaad taqreeban 90% fitri tor per 2 ta 3.5 minutes sey zyada der tak mubashrat (Intercourse) jari nahi rakh saktey. Lehaza aurat kay orgasm kay liye bazer (Clitoris) ka stimulation zarori hai chahey finger sey hi kyun na ho. Albatta baaz khawateen sirf pistaan kay ishteaal (Breast Stimulation) sey bhi orgasm hasil kar leti hain aur kuch khawateen sirf imagination sey hi orgasm hasil kar leti hain. Ek aurat kay liye har bar orgasm hasil karna zaroori nahi hota. Bohut si aurton kay liye qurbat ka ahsas, touch honay ka ahsas, hath phaerna aur husband ki taraf sey foreplay zyada lutf angaez hota hai jis sey woh jinsi lutf aur sukoon hasil karleti hain. (Zakir).

How To Get Orgasm:

Aurton Kay Liye Har Bar Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?

Aam khayal hai kay khushgawar azdawaji zindagi kay liye aurat ko mubashrat (Intercourse) mein har bar orgasm hasil karna chahiyie jab kay haqeeqat mein aisa nahi. 1994 mein America ki university ki ek research kay mutabiq sirf 33% sey kuch kam aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Shaadi kay shuru mein yani jawani mein aurtein kam orgasm hasil karti hain jab kay 30 saal kay baad aurtein zyada orgasm hasil karti hain. Ek survey mein 50% khawateen ney tasleem kya kay woh hamesha orgasm hasil nahi karti magar inki azdawaji zindagi bey hudd khushgawar hai. Doosri taraf bohut si khawateen ney bataya kay woh hamesha orgasm hasil karti hain magar inki azdawaji zindagi bohut khushgawar nahi. Agarcha khushgawar azdawaji zindagi kay liye orgasm zaroori hai magar sirf orgasm kafi nahi bul kay ek mohabbat aur khayal rakhney wala insan bhi zaroori hai. (Zakir: Stefan)
  Merey ek client kay bhai ki shadi hui lekin biwi iss shadi sey mutmain na thi, kyun kay wohorgasm hasil nahi karti thi. Baad mein iss aurat ka bacha paeda ho gaya to merey client ney apni bhabhi sey tanziya kaha kay tum to kehti thiin kay miyan mujhey mutmain nahi kar pata phir yeh bacha kaisey paeda ho gaya.  Ek research sey sabit hua hai kay bachey ki paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Aurat ki taraf sey sirf egg ki zaroorat hai aur egg kay ikhraj ka aurat kay orgasm sey koi ta'alluq nahi. (Zakir)
 Hamarey yahan aam logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf aur bachey ki paedaesh kay liye donon husband wife ka ek hi waqt jinsi urooj tak pohonchna zaroori hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Jinsi lutf kay liye donon ka orgasm hasil karna zaroori hai. Chahey husband wife mein ek pehley orgasm hasil karley aur doosra baad mein. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Agar aap ko betey ki khwahish hai to agar biwi pehley orgasm hasil karley to mufeed hai. Nabi Kareem Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay miyan biwi mein sey jiska pani ghalib aaey ga aulad iss per hogi. (Mashkawa) Ek aur research sey maloom hua kay woh  aurtein jo mard sey pehley orgasm hasil karti hain (chahey tariqa koi bhi ho) woh sex sey zyada lutf andoz hoti hain. (Zakir)
La ilmi ki wajah sey humarey yahan yeh baat mashhoor hai kay aurat bhi mubashrat(Intercourse) mein mard ki tarhan mani (seminal fluid) discharge karti hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Aurtein jab jinsi tor per stimulate hoti hain to inki vagina geeli ho jati hai aur yeh iss cheez ki alamat hai kay aurat mubashrat (Intercourse) kay liye tayyar hai aur yeh secretion iss liye hoti hai kay dakhool (penetration) aasan ho aur aurat aur mard ko mubashrat (Intercourse) mein takleef na ho. Magar aurtein hargiz mardon ki tarhan orgasm mein mani (seminal fluid) discharge nahi kartiin. Albatta 5% aurtein orgasm mein pani kharij karti hain jo kay mani (semen) nahi hota. (Dastoor: Zakir) 

Sexual Pleasure For Men

Jinsi Lutf Sirf Mardon Kay Liye:

Aurtein Bhi Mubashrat Mein Mardon Ki Tarhan Mani Ka Ikhraj Karti Hain?

Humarey yahan yeh baat bhi mashhoor hai kay jinsi lutf sirf mard kay liye hai. Aurat ka kaam sirf yeh hai kay woh mard ko har tarhan sey jinsi lutf fraham karey. Is liye humarey yahan biwi sirf husband ko jinsi lutf fraham karney wali ek machine hai jisey khud jinsi lutf ki zaroorat nahi. Humarey yahan aurat ka jinsi lutf hasil karna mayoob (bura) samjha jata hai. Halan kay Allah ney jinsi milap mein husband aur wife donon kay liye sukoon rakha hai. Chunkay humarey muasharey mein aurat ka sex sey lutf andoz hona acha nahi samjha jata, jiski wajah sey aurat ki jinsi taskeen ka bandobast ya koshish nahi ki jati. Jiski wajah sey aurat shadeed frustration ka shikar hoti hai aur ghar mein laraii jhagrey hotey hain.
        Puri duniya mein sex ko ek gandi aur na pasandeeda cheez samjha jata hai. (Dastoor) Isliye khawateen kay bohut sey jinsi masail ki bari wajah yehi ghalat tasawwur hai. Islam mein baghaer nikah kay jinsi amal na sirf buri aur gandi cheez hai bul kay bohut bara gunah (sin) hai. Jab kay nikah kay baad jinsi amal na sirf gandi cheez nahi bul kay ek pasandeeda amal hai. Jisko Allah kay nabi Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ney sadqa aur naeki qarar diya hai. Nikah kay baad jinsi amal mein shareek ho kar husband wife donon ajar aur sawab kay mustahiq ho jatey hain.

Kya Aurat Sex Ko Pasand Nahi Karti? 

    Logon mein ek aam khayal yeh bhi paya jata hai kay aurtein sex ko zyada pasand nahi kartiin. Iss khayal ki ek bari wajah yeh hai kay mubashrat (Intercourse) kay doran khawateen active kay bajaey passive role ada karti hain. Yani foreplay aur mubashrat (Intercourse) kay doran aurtein amooman khamosh leti rehti hain. Zinda lash ki tarhan, iss doran jo karna hai mard ney karna hai. Khawateen khwahish kay bawajood mubashrat (Intercourse) meinsexually active kirdar ada nahi kartiin. Issi tarhan hamarey yahan aurat amooman pehel nahi karti. Doosrey mafroozon ki tarhan yeh bhi ek ghalat mafrooza hai. Kyun kay mard aur aurat donon hi sex ko pasand kartey hain. Donon mubashrat (Intercourse) kay khwahishmand hain lekin mashriqi sharm o haya aur ilm ki kami ki wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein active role play nahi karti. Agar aap ko waqaee sex na pasand hai ya iss sey nafrat hai to foran kisi mahir e nafsiyat sey raabta karein ta kay.
 woh apka nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde)  


Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?

    Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh baat bitha di gaee hai ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat nahi kartey ya unko pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh baat na sirf mashriq mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss baat ki koi haqeeqat nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada comfortable feel kartey hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein dilchaspi leti hain. (Angelis)

Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot?

    Yeh baat bar bar suni jati hai kay aurton mein jinsi khwahish (sexual desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat mein chahey janey ki khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak jinsi khwahish (libido) ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch researchers ka khayal hai kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber hain aur kuch ka khayal hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada hai. Darasal aurat mein mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard mein mubashrat (Intercourse) ki. 'Woman wants to talk man wants to do'. Lehaza science kay mutabiq yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein jinsi jazbat mard sey 8 guna zyada hain. (Zakir: Hyde)

Frequent Intercourse

Kasrat e Mubashrat

Frequent Intercourse Is Harmful:

    26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada mubashrat (Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat (Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi. Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)

Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai? 

    Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant)hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay burey asraat nahi partey.  Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki sehat muta'assir nahi hoti lekin agar pregnancy kay doran aur bachey ki paedaesh kay baad isey achi khoorak nahi milti to waqaee iss ki sehat muta'assir hogi. Maghrib mein specially America mein naujawan larkey larkiyan choti age mein shadi kay shoqeen hain. Wahan per bohut bari tadaad 20 saal sey pehley shadi kar leti hai. Meiney wahan kisi aisi larki ki sehat kharab nahi dekhi kyun kay wahan unko achi khoorak hasil hai.

Sex Aur Age:

Zyada Age Ka Husband Naujawan Biwi Ko Satisfy Nahi Kar Sakta?

    29 years old Imrana rich parents ki beti thee aur kaee nafsiyati beemarion ka shikar thee. Imrana ki shakal wajibi thi. Iss liye abhi tak iss ka koi sahi rishta nahi mila. Ab iss ki shadeed khwahish thee kay shadi ho jaey. Iss ka husband iss ka khayal rakhney wala aur mohabbat karney wala ho. Badqismati sey iss ko parents sey puri mohabbat nahi mili thee. Isey apna ek colleague jiski age 41 years thee pasand aa gaya. Jab iss ki friends ko pata chala to unhon ney daraya kay woh iss ko jinsi tor per satisfy nahi kar paey ga lekin haqeeqat yeh hai kay husband wife mein 10 or 11 years ka farq koi farq nahi aur sexual satisfaction ka ta'alluq age kay sath hargiz nahi bul kay technique kay sath hota hai. Humarey clinic mein jinsi tor per unsatisfaction kay hawaley sey zyada ter naujawan larkon ki biwiyan hi aati hain jinhein woh ilm ki kami ki wajah sey satisfy nahi kar patey.

Female Sexual Desire - Libido

Aurat Kay Jism Per Baal:

    Kahin kahin ek khayal yeh bhi paya jata hai kay woh aurat jis kay jism per zyada baal hon woh zyada shahoot parast hoti hai. Magar iss ka koi scientific proof nahi. Taham baaz aurtein zyada unwanted hairs ki wajah sey pareshan ho jati hain. Aaj kay daur mein pareshan honay ki zaroorat nahi. Ab aisey bohut sey tareeqey eejad ho chukey hain jinki madad sey inn unwanted hairs ko hamesha kay liye khatam kya ja sakta hai. (Zakir: Mobeen) 

Aurton Ki Jinsi Khwahish Mein Tabdeeli:

    Aurton kay jinsi khwahish hamesha ek jaisi nahi rehti bul kay iss mein changes aatey rehtey hain kabhi zyada to kabhi kam. Baaz aurton ki jinsi khwahish (libido) uss waqt zyada hojati hai jab ovulation ka waqt ho. Issi tarhan aksar khawateen ki jinsi khwahish mahwaari (menses) shuru honay sey pehley aur baaz ki mahwaari (menses) kay doran zyada hojati hai. Magar yeh change har khatoon mein nahi ata. Issi tarhan mahwaari (menses) khatam honay per baaz khawateen ki jinsi khwahish kam ho jati hai. (Hyde)

Aurat Aur Jinsi Tasawwuraat:

    Mahireen kay mukhtalif survey sey yeh baat samney aaee hai kay maghribi khawateen ki majority musht zani (masturbation) aur mubashrat (Intercourse) kay doran jinsi lutf ko zyada karney kay liye mukhtalif qism kay jinsi tasawwur karti hai. Baaz mahireen ka khayal hai kay tamam aurtein kabhi na kabhi jinsi tasawwuraat sey lutfandoz hoti hain.
 Inn jinsi tasawwurat mein aurat kisi kay sath foreplay aur mubashrat sey lutfandoz hoti hai. Agar yeh tasawwurat zaroorat sey zyada hun to phir yeh normal azdawaji zindagi mein rukawat sabit hotey hain. Meri ek 28 saala married client apney husband kay sath mubashrat (Intercourse) mein bharpoor shirkat nahi karti. Iss ney mujhey bataya kay woh tasawwur ki madad sey zyada jinsi lutf hasil kar leti hai aur woh 6 or 7 saal ki umer sey tasawwurat ki madad sey lutf hasil karti aa rahi hai. (Hyde)

Aurat Baghair Mubashrat Kay Haamla Ho Sakti Hai:

Aurat kay pregnancy kay liye mubashrat (Intercourse) aur dakhool (penetration) zaroori nahi. Aisi examples mojood hain kay ek larki pregnant ho gaee halan kay iss ney mubashrat (Intercourse) nahi ki. 22 saala Margaret check up kay liye apni family doctor kay pass gaee. Doctor ney iss ko bataya kay woh pregnant hai aur woh shadeed ghussey mein aa gaee. Iss ney cheekhtey huey doctor ko bataya kay iss ney kabhi mubashrat (Intercourse) nahi ki to pregnancy kaisey ho sakti hai. Isey bataya gaya kay baaz auqat mubashrat (Intercourse) kay baghaer foreplay kay doran mard ka discharge ho jata hai agarcha discharge vagina sey baher hua ho magar vulva kay ooper hua ho iss tarhan mani (seminal fluid) ka ek aadh drop vulva kay ander chala jata hai aur wahan sey sperm vagina mein chaley jatey hain. Issi tarhan agar aurat ek aisey kaprey sey apni vagina ko saaf karey jis per mard ki mani (semen) lagi ho to iss soorat mein bhi larki ko pregnancy honay ka imkaan hai. (Kothram: Reuben)

0 comments:

Post a Comment

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news