Pages

Advertisement

Friday 3 August 2012

Masturbation (Mushtzani) Khud Lazati, Mashtzani In Islam

Mastubation (Mushtzani) Khud Lazati

Mashtzani In Islam

26 sala Asif elaj kay liye merey clinic aaya. Masley ki tafseel batatey huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka hai. Din ba din uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh biwi kay qabil nahin raha. Usey shadeed ehsaas e gunah bhi tha, ek baar khudkushi ki koshish bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh musht zani (masturbation) ka shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor nahin saka.
    Mani (semen) kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya khud lazzati aur musht zani hai isey hathrasi, dastkashi aur handpractice bhi kaha jata hai.
    Khud lazzati aur musht zani mein ma'amooli sa farq hai. Khud lazzati sey muraad yeh hai kay fard mubashrat kay elawa kisi bhi aur tariqey sey mani kharij karey. Khud lazzati ka sab sey ahem zarya musht zani hai. Musht zani sey muraad apney hath sey ya kisi doosrey kay hath sey mani ka ikhraj karna. Ba'az mahireen (oral sex) mu'nh sey sex ko bhi khud lazzati mein shamil kartey hain. Yeh baat yaad rahey kay mani kay ikhraj sey roza toot jata hai aur fard per ghusl wajib ho jata hai. (mishkat)
    Khud lazzati kay bohut sey tariqey hain sab sey aam to zakar (penis) ko hath sey mushta'el karna hai.

Islam Aur Musht Zani (Masturbation In Islam):

 Musht Zani (masturbation) kay hawaley sey doosra ahem masla ehsaas e gunah ka hai. Merey ek client ney musht zani sey bachney ki bharpoor koshish ki magar kamyaab na ho saka. Phir ehsaas e gunah ki shiddat ki wajah sey khudkushi kii magar khushqismati sey kamyaab na ho saka. Musht Zani gunah hai ya nahi, chota gunah hai ya barra, iss per ikhtilaf e raey ho sakta hai magar khudkushi per to dozakh lazim ho jati hai.
    Musht Zani/khud lazzati key hawaley sey ek baat zehen mein rahey kay shuru mein amooman naujawan isey shauq sey nahin kartey bul kay majbooran kartey hain. Dar asal mard kay masaney kay qareeb mani ki do thaeliyan seminal vesicles hoti hain jo mani (semen) ka ek hissa banati hain. Yeh naaliyan taqreeban 3.5 din ba'ad bhar jati hain, mani ka ikhraj na honay per inn mein irritation aur tension hoti hai jis ki wajah sey fard khudlazzati/musht zani per majboor ho jata hai.
    Musht Zani kay hawaley sey imamo'n ki ra'ey mein ikhtilaf hai.
  1. Imam Malik aur Imam Shafa'ee isey gunah aur haram samajhtey hain.
  2. Imam Abuhanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba'waqt e zaroorat ki ja sakti hai aur Khuda maaf farma dey ga.
  3. Imam Han'bal isey ja'ez samajhtey hain aur in kay nazdeek iss ka koi gunah nahin.
    Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Islam ka ek bunyaadi usool yeh hai kay har cheez halal hai jab tak Allah aur uskay Rasool ney usko haram na qarar diya ho. Quran Majeed mein musht zani kay haram honay ka kahin bhi wazeh zikr nahin. Ba'az ulma'a ney sura Momineen ki aayat 5,6 :
    "yaqeenan falah paee eeman laney walo'n ney jo …apni sharamgaho'n ki hifazat kartey hain, siwaey apni biwiyon aur londiyon kay"
 sey akhaz karney ki koshish ki hai kay yeh haram hai jab kay bohut sey doosrey ulma'a ney yeh mafhoom nahin liye. Kuch ney kaha kay iss sey muraad mat'aa hai ba'az ney kaha kay iss sey muraad zina hai. Yani iss hawaley sey ahl e ilm mein khasa ikhtilaaf hai. Agar iss sey murad musht zani li jaey to phir iss sey yeh nukta bhi nikalta hai kay biwi aur londi ki har cheez ja'ez hai aur halal hai yani maq'ad mein mubashrat karna bhi ja'ez aur halal hoga.

Misconceptions About Masturbation:

 Magar ba'az log maq'ad (anus) aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil kar kay bhi jinsi lutf uthatey hain. Maq'ad aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil karna muhlik ho sakta hai. Iss sey har soorat bachna chahiyie. Mera ek client apni peeshab ki naali mein kabhi pencil, kabhi tinka daakhil kya karta tha.
    Humarey haan sab sey zyada ghalat baatein (myths) musht zani kay hawaley sey mashhoor hain. Jinhon ney naujawan nasal ko pareshan kar rakha hai. Musht zani mein fard hath sey apni jinsi khwahish ko poora karta hai. Naujawan iss amal ko haftey mein ek ya do baar kar letey hain. Merey ba'az client rozana aur ba'az ek din mein 6 ya 7 baar tak kar letey hain. Mera ek shadi shuda client 24 ghanto'n mein 15 dafa tak karleta tha. Iss ney aisa kaee baar kya. Yani woh jagtey mein taqreeban har ghantey mein ek baar kar leta tha, woh abhi zinda hai, kaee bachon ka baap hai. Kitabon mein ek aisey fard ka bhi zikr milta hai jo har ghantey mein 3 ya 4 baar musht zani kar leta tha. 
    HindustanPakistan mein naujawanon ka sab sey ahem masla musht zani hai. Yeh masla mardon mein zyada aur aurton mein kam hai. Mukhtalif researchers (muhaqqaqeen) kay mutabiq 95 ta 99% mard iss aadat ka shikar hain. Ma'aroof researchers sherry,hyte kay survey kay mutabiq 99% mardon ney kabhi na kabhi musht zani ki hai. Mashhoor mahir e nafsiyat Fryde ka khayal hai kay saarey mard kabhi na kabhi khud lazzati kartey hain albatta 95% iqraar kartey hain aur baqi 5% jhoot boltey hain. Magar research aur mera clinic ka tajurba fryde kay iss khayal ki tardeed karta hai yani 1% khud lazzati nahin kartey.

Musht zani Ki Umar Aur Jinsi Suroor:

Mein aisey logon sey waqif hun jinhon ney kabhi khud lazzati nahin ki albatta unko ehtelam khoob hota tha. Bohut sey bachey 10 saal ki umer sey pehley musht zani shuru kar detey hain. Ba'az bachey 6 maah ki umer sey musht zani karney lagety hain, albatta inka andaz baron sey mukhtalif hota hai maslan maan bachey ko nehaltey waqt jab uss kay zakar ko mul kar saaf karti hai to usey shahoot aa jati hai aur uska zakar akarr jata hai yani usey erection ho jati hai. Isi tarah aap ney dekha hoga kay 6, 7 maah ka bacha bister per leta apney akrey zakar sey khel raha hai (choti umer kay bachey agar apney zakar ko chaerein to unko daantney ki bajaey unki tawajjah kisi aur taraf kar dein) iss umer mein bachon ko jinsi lutf (orgasm) to hasil hota hai magar inzal nahin hota. Mani ka ikhraj ya baloghat kay ba'ad hota hai. Merey paas ek bacha laya gaya bachey ki umer 4 saal thi woh apney zakar ko maan ya baap kay jism sey ragerr kar suroor hasil karta. Yaad rahey kay bachey kop maan kay paet mein tanau (erection) ho jata hai. (Hyde)
    Agarcha khud lazzati ka zyada ter shikar larkey hotey hain jin ki shadi na hui ho magar ab jadeed research sey ma'aloom hua hai kay shadi shuda mard bhi iss aadat mein mulawwis hain.
    Mashhoor American muhaqqiq Kinsey ki research kay mutabiq America 70% shadi shuda graduate saal mein taqreeban 24 baar musht zani karletey hain yani ek maah mein do baar tak musht zani kay zaryey mard amooman 2 ta 5 minute mein inzal hasil karletey hain.


Musht zani Kay Masail Aur Jinsi Kamzori:


 Jab kay aurtein 5 ta 10 minute mein jinsi urooj (orgasm) hasil karti hain.
    Khud lazzati/musht zani (masturbation) kay hawaley sey humarey haan bohut sey gumraahkun aur ghalat tasawwuraat (myths) aur kahaniyan phaeli hui hain jin sey naujawan bohut zyada khaufzada hain magar woh shadi tak usey control nahin kar saktey.
    Musht zani kay hawaley sey humarey naujawan do qism kay masail ka shikar hain.
  1. Jinsi, jismani aur zehni kamzori ka ehsaas aur khauf
  2. Shadeed ehsaas e gunah.

Musht zani Ki Tabahkaariyan:

Musht zani kay mafrroza nuqsan kay hawaley sey jitney qissey, kahaniyan aur afsaaney (myths) mashhoor hain shayed hi kisi aur cheez siwaey hypnotism kay mashhoor hun gey. Urdu mein sex ki kitab utha kar dekh lijiyie woh musht zani kay farzi nuqsaanaat sey bhari hui hain jin mein sey chend ek darj zeal hain.
    Homeo Dr. Asghar Ali Chaudhri likhtey hain.
    Musht zani sey khudaetmaadi aur quwwat e iradi khatam ho jati hai. Dimagh aur beenaee kamzor ho jati hai. Zehni uljhanein barh jati hain. Fard tanhaee pasand ho kar zindagi kay hungamo'n sey kinara kash ho jata hai. Uzu ki makhsoos rugein ubhar aati hain aur taerha pan ho jata hai. Darmiyan mein sey patla ho jata hai. Aisey larkey jawan ho kar amooman akhlaqi mujrim ban jatey hain. Muta'alla karney ko jii nahin chahta. Kuch yaad nahin rehta. Bey chaeni, udaasi, afsurdagi, mayoosi, ghabhrahat aur jhijhak iss per tari ho jati hai. Khelon mein hissa leney sey katratey hain. Musht zani sey jiryan, ehtelam, surat e inzal aur na mardi tak amraz paeda ho saktey hain, maeda kharab ho jata hai, bhook marr jati hai. Raat ko wehshatnaak khwab aatey hain. Chehra har waqt bey ronaq rehta hai, gaal pichak jatey hain aur zinda laash ban kar reh jata hai.
   Ma'aroof likhari aur ustaad Ali Abbas Jalalpoori irshad farmatey hain:
   Kasrat e jalaq bilashuba ek naukhaez jism aur zehen kay aksar awariz ka sabab ban jati hai. 12, 13 saal ki umer mein kasrat o tawatur sey jalaq lagaee jaey to a'aza e tanasul (male genitalia) ki nashaunuma rukk jati hai. Kotahi, laghari aur kaji kay ba'es majlooq muqarbat kay qabil nahin rehta. Iss ka nizam bhi ma'uf ho jata hai. Aankhein ander ko dhans jati hain. Inn kay gird kaley halqey namudaar ho jatey hain. Aankhon ki putliyan bey ronaq aur bey noor ho jati hain , chehrey ka rung matyaala ho jata hai. Chehrey per phunsiyan nikal aati hain. Hath bheegey bheegey aur sard rehtey hain, hafiza kamzor ho jata hai. Baat kartey waqt mukhatib sey aankh nahin mila sakta, na kisi masley per ghor o fikr kar sakta hai iss ka aetmaad e nafs majrooh ho jata hai, mizaj hamwaar nahin rehta. Azm o hosley sey aari ho jata hai. Matloon mizaj aur chirchira pan ho jata hai aur tootey huey jumlon mein baat karta hai. Doosrey hamjinso'n ki sohbat sey guraez karta hai aur khelon mein hissa nahin leta. Tanha idhar udher ghoomta phirta rehta hai. Libas kay maamley mein bey parwaah hota hai.

                     Badni safaee ka khayal nahin rakhta. Shaadi kay naam sey ghabhrata hai. Jawan aurat sey baat karety huey uss ko paseeney aaney lagtey hain aur dil dhak dhak karney lagta hai. Who tashweesh ki uljhan mein mubtala ho jata hai. Bus mein safar kar raha ho to darta rehta hai kay kahin is ski takkar na ho jaey. Cinema mein betha ho to ooper dekhta hai kay kahin chutt na gir parrey. Iss kay iqdaam aur paeshraft ki quwwat slab ho jati hai aur iss mein mareezana jhijhak paeda ho jati hai. Nafsiyati rukawat kay ba'es woh ma'amooli sa kaam bhi saleeqey sey nahin kar sakta, maslan taxi waley ko awaz detey waqt, khirrki sey ticket khareedtey waqt, rail mein sawar hotey huey, public toilet ko istemal kartey waqt ghabhra jata hai. Woh na kisi kay mazaq per khul kar hans sakta hai aur na kisi museebat mein kisi sey izhar e hamdardi kar sakta hai. Uss ki khamoshi kay ba'es log usey mutakabbir samjhney lagety hain kyun kay woh uss kay ajeeb o ghareeb tarz e amal kay asal asbaab sey na waqif hotey hain. Usey apni alamnak haalat ka ehsas hota hai. Who zindagi kay haqa'eq sey g uraez kar kay barey barey buland nasb ul ain apna leta hai aur hero banney kay khwab dekhney lagta hai. Adbi zoq sey behra war hoto meyar sey gira hua adab takhleeq karta hai. Uss kay ehsaas sey zakawat aur takhayyul mein khwabnaaki si aajati hai. Who uskay shaeron aur qisson mein bhi raqeeq jazbatiyat aur alamnaak afsurdagi ka rung b harti rehti hai.
    200 saal qabal maghrib mein bhi isi tarah ki beyshumar bey sar o pa baatein mashhoor thiin kay musht zani sey insaan pagal ho jata hai. (ek baar ek aalim ney ek pagalkhaney mein ek pagal ko musht zani kartey huey dekha to nateeja nikala kay musht zani sey insaan pagal ho jata hai)

Musha zani Nuqsandeh Nahin (Masturbation Is Not Harmful):

Hala'n kay haqeeqat yeh hai kay bhook pyas ki tarah jinsi taskeen ek fitri taqaza hai) beenaee kamzor ho jati hai, hafiza khatam ho jata hai, fard chakkar ya sergirani (dizziness) mehsoos karta hai. Mirgi kay daurey partey hain, fard shadeed zehni amraaz (psychosis), dil kay amraaz aur aqal ki kami ka shikar ho jata hai. Mu'nh per daaney nikal aur jism per mokey (warts) aa jatey hain. Fard ganjey pan aur sharmeeley pan mein mubtala ho jata hai. Maghrib aur doosrey taraqqi yafta mumalik mein to jadeed tehqeeq ki roshni mein naujawanon ko ma'aloom ho chukka hai kay musht zani kay muqsan ki koi haqeeqat nahi. Yeh jahalat kay daur ki baatein thiin magar budqismati sey hum abhi tak isi daur mein reh rahey hain.
                 Haqeeqat yeh hai kay khud lazzati/musht zani kay kisi bhi tarah kay koi burey asraat nahin hain, yani yeh amal fard ki zehni, jismani aur jinsi sehat kay liye hargiz hargiz nuqsandeh nahin. Agar khud lazzati/musht zani waqaee nuqsandeh hoti to aksar logon kay hathon per baal hotey, ser ganjey hotey, chehrey phunsiyon aur daano'n sey bharey hotey. Aksaryat ko mirgi kay daurey partey aur pagal hotey. Ausat umer kam hoti j okay ab 32 saal sey barh kar 56 saal ho chuki hai. Zakar ki laghari aur kaji ki wajah sey aksar mardon ki biwiyan bhaag gaee hotiin. Charon taraf nazar doraein kya waqaee aisa hai, zahir hai kay aisa nahin. Ba'az log kehtey hain ek hudd tak to musht zani kay koi nuqsan nahin magar agar yeh hudd sey barh jaey to phir yeh nuqsandeh hai.

Musht zani Ka Elaj - Masturbation Treatment:

Yeh ek dhoka, faraeb aur jhoot hai. Kya zyada bolney sey fard kamzor ho jata hai, ya jo fard kam bolta hai ya khamosh rehta hai woh taqatwer hota hai. Pehli baat to yeh hai kay hudd ka meyar kya hai. Har fard ki hudd doosrey sey mukhtalif hai. Ek fard ki hudd haftey mein ek baar hai jab kay doosrey ki hudd din mein ek baar hai. Ta'hum ek din mein 7/8 baar karna bhi hudd sey guzarna aur zyaditi nahin hai. Haqeeqat yeh hai kay koi bhi insaan fitri tor per hudd sey zyada musht zani (masturbation) nahin kar sakta, kyun kay agar woh hudd sey zyada karey ga to mani (semen) khatam ho jaey gi aur zakar sooj jaey ga. Khusyon mein dard honay lagey ga, zakar sey mani kay bajaey khoon nikalney lagey ga aur infection ki wajah sey zakar mein dard honay lagey ga. Aisa to shayad hi kisi kay sath hua ho. Dilchasp baat yeh hai kay aisi surat mein chund din musht zani chorney sey har cheez normal ho jati hai aur koi mustaqil kharabi paeda nahin hoti, yeh fitrat ka self healing system hai. Yani kisi elaj ki zaroorat nahin. Albatta zyada musht zani aur compulsive musht zani mein farq hai. Compulsive musht zani mein fard baghaer kisi khwahish aur zaroorat kay musht zani karta hai jis tarah ba'az log bar bar hath dhotey hain. Iss surat mein yeh ek nafsiyati beemari hai jis ko OCD kaha jata hai, iss kay liye kisi mahir e nafsiyat sey elaj karaya jaey.  
    Ta'hem kuch musht zani kay ba'ad kamzori mehsoos kartey hain. Iski bari wajah tawaqqa (expectation) hai jis kla hum zikr kar chukey hain kay jaisa hum sochtey hain waisey hi ho jatey hain. Doosra fard musht zani ki wajah sey shadeed ehsaas e gunah mehsoos karta hai.


Musht zani Aur Depression - Masturbation:


Fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai. Iska kisi kaam mein dil nahin lagta, tawajjuh muntashir ho jati hai, chirrchirra pan paeda ho jata hai. Jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai, fard ki bhook aur neend bhi khatam ho jati hai aur kamzor honay lagta hai, uska wazen kam ho jata hai. Ab fard ko yaqeen aa jata hai kay woh waqaee musht zani ki wajah sey na sirf kamzor aur beemaar ho gaya hai bul kay jinsi tor per bhi khatam ho gaya hai, hala'n kay iski bari wajah tawaqqa aur doosri wajah depression hai na kay musht zani. Kamzori ki ek wajah yeh bhi hoti hai kay musht zani kay ba'ad fard relax ho jata hai jisey woh kamzori samajh leta hai. Hala'n kay yeh sirf relaxation hoti hai na kay kamzori. Aisey naujawan jab kisi 100 sala sanyasi baba kay hatthey charh jatey hain to yeh inko bata kar kay woh jinsi tor per khatam ho chukay hain iss qadar khaufzada kar detey hain kay yeh naujawan ghurbat kay bawajood elaj per hazaron rupey kharch kar detey hain, yeh bangali baba inn naujawanon ko kashtey waghaera detey hain jo aksar muzir hotey hain. Merey aisey ek client ko kashta diya gaya jis sey uss kay gurdey nakaara ho gaey. Sarkari hospitals mein gurdey kay ward mein aksar mareez isi tarah kay hotey hain.
    Haqeeqat yeh hai kay mani (semen) ka ikhraj peeshab ki tarah ek normal, mufeed aur sehat mand uzwiati amal hai. Yeh baat iss cheez sey bhi sabit hoti hai kay jab kisi naujawan ki shadi hoti hai to woh shuru mein kasrat e mubashrat sey lutfandoz hota hai jis sey bohut zyada mani kharij hoti hai magar iski sehat behter hoti hai.

Mubashrat Aur Musht zani - Intercourse And Masturbation:

Chunancha aksar naujawan shadi kay ba'ad zyada sehat mand aur motey ho jatey hain kyun kay mubashrat sey unko jismani aur zehni sukoon aur raahat (relaxation, satisfaction, relief) milti hai. Ma'aloom hua hai kay mani ka ikhraj chahey mubashrat sey ho ya ehtelam sey ya musht zani sey mufeed cheez hai. Aap doodh ko glass mein daal kar pee lein ya bottle mein mu'nh laga kar pee lein ya straw kay sath uss kay asraat achey hi hongey yani doodh har soorat mein mufeed hoga.
    Iss silsiley mein ek ahem baat yaad rahey kay jo mani kharij hoti hai uski jagah naee mani paeda ho jati hai, bilkul thook ki tarah, hum thooktey hain to phir thook aa jata hai chahey din mein 100 baar thookein. Zahir hai kay zyada thookney sey sehat per burey asraat nahin parrtey. Isi tarah jab hum kisi ko khoon detey hain to woh 48 ghanton mein poora ho jata hai.  
    Ba'az logon ka khayal hai kay musht zani sey zakar ki nussein marr jati hain ya ubhar aati hain, jis sey zakar ko nuqsan pohonchta hai, jab kay haqeeqat mein aisa nahin hota. Ek sahib ki naee naee shadi hui unki biwi ki faraj (vagina) bohut tung (tight) thi woh jab bhi mubashrat kartey unn kay zakar ki jild phutt jati yani faraj mubashrat mein ek hudd sey zyada nahin khul sakti, doosrey alfaaz mein faraj ko zakar kay size kay mutabiq (adjust) nahin kya ja sakta. jab kay musht zani mein mutthi aap kay control mein hoti hai aap isey jitna chahey khol lein ya tung kar lein yani musht zani mein aap apni mutthi ko zakar kay size kay mutabiq aasani sey adjust kar saktey hain. Doosrey alfaaz mein musht zani sey zakar ko kisi bhi tarah sey koi nuqsaan nahin pohonch sakta.



0 comments:

Post a Comment

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news