PREGNANCY (HAMAL)
Taqreeban har insan chahta hai k us k han ulaad-e-narina ho. Shadi k baad bunyadi khuwahish b yehi hoti hai k un k han ulaad ho. Husool e aulad kay liye mian biwi ka normal hona zaroori hai kisi ek mein kharabi hogi to aulad naa hogi. Biwi kay pregnant honay kay liye zaroori hai kay mani (semen) iss ki faraj mein dakhil ho aur mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand nutfey (sperms) mojood hun. Faraj ka mahol aisa ho ka sperm wahan zinda reh sakein. Agar aurat ki faraj mein tezabiyat zyada hogi to sperm mar jaeyn gey aur bacha paeda naa hoga. Sperm muta'allaqa qazif naali mein pohonch jaein aur wahan baeza ko paalein aur baar aawri kay baad baeza bacha dani mein aa jaey.NOTE: Mard jab 4, 5 days kay baad inzal hota hai to inzal honay wali mani (semen) ki miqdar ausatan 3.5 mili litres hoti hai. Iss mein ausatan 30, 40 crore sperms mojood hotey hain. Aulad ki paeda'esh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hoti hai. Magar iss kay liye zaroori hai kay mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand sperms mojod hun. Iss sorat mein sirf 2000 kay lag bhag sperm egg tak pohonchtey hain. Aur inn mein ek ovum ko bar awar karta hai. Aam halat mein 2 crore sey kam sperm hun to aulad paida nahi hoti, albatta test tube ki soorat mein 50,000 sperms sey bhi bacha paida ho jata hai magar iss tariqey ki kamiyabi ki sharah 25% kay lag bhag hai yeh amooman larkiyan hoti hain. Bachey ki jald paeda'esh kay liye mubashrat (intercourse) ba'eza raezi kay qareeb ho. Ba'eza raezi ka waqt janney kay liye bazar sey ek khas test hasil kya ja sakta hai. Yeh test taqreeban 24 hours pehley bata deta hai kay ba'eza raezi kab hogi.
0 comments:
Post a Comment