Pages

Advertisement

Sunday, 23 December 2012

(HAVING A SON) BETA HI PAIDA HO GA

(HAVING A SON)

BETA HI PAIDA HO GA

Dunya mein taqreeban her insaan ki khwahish hai kay Khuda usey beta (son) dey iss kay liye insaan har tarah kay paparr baelney kay liye tayyar ho jata hai dam o durood kay elawa dunya mein betey kay husool kay liye bohut seh tariqey raa'ej hain iss waqt jo tariqa sab seh kamyab hai woh 'MicroSort' ka tariqa kehlata hai. Iss mein betey waley sperm alaehda kar kay unko baeza kay sath mila diya jata hai iss surat mein nateeja 100% hota hai. Yeh tariqa bohut mehnga hai Pakistani rupees mein iss ki qeemat 30 lacs banti hai. Ek aur mu'asser tariqa 'Dr. Shettle's Method' hai jisko ek American doctor Landrum B. Shettles ney daryaft kya. Iski kaamyaabi ki sharah 90 % hai iss kay elawa kuch maahireen ek khaas qism ki khooraak tajweez kartey hain inn kay da'awey kay mutabiq iss tariqey ki kaamyaabi ki sharah 80% hai.

Reproduction in humans

Bachey ki takhleeq baap kay sperm aur maan kay baezey kay milaap sey hoti hai baap kay sperm mein X aur Y chromosome hotey hain jab kay maan kay baezey mein sirf X chromosome hotey hain. Y chromosome chotey aur naazuk hotay hain inki quwwat-e-mudafe'at bhi kam hoti hai jab kay X chromosome nisbatan barey aur mazboot hotey hain inn ki quwwat-e-mudafe'at bhi zyada hoti hai yeh sukht jaan bhi hotey hain. Jab baap ki taraf sey Y chromosome maan kay X chromosome kay sath milap karta hai to larka paeda hota hai aur jab walid ki taraf sey X chromosome maan kay X chromosome kay sath milap karta hai to larki paeda hoti hai iss sey ma'aloom hua kay aulaad ki jins ka inhisaar mard per hai na kay aurat per. Dr. Shettles kay tariqa kaar ki bunyaad iss baat per hai kay mubashrat jitni ovulation (baeza raezi) kay qareeb hogi utna hi betey kay imkaanaat zyada hongey iss kay elawa ba'az doosrey anasir bhi bohut ahem hain maslan sperm ki ta'adaad (sperm count) agar zyada hogi to larkey kay imkaanaat zyada hongey aur agar sperm ki ta'adaad kam hogi to larki kay imkaanaat zyada ho jatey hain. Isi tarah agar aurat mein taezaabiyat zyada ho to naazuk Y chromosome mar jaeingey jab kay X chromosome zinda rahengey to iss surat mein larki kay imkaanaat zyada hongey iss kay elawa mubashrat ka tariqa bhi ahem hai mubashrat ka aisa tariqa ikhtiyar kya jaey jis mein sperm qazif naaliyon mein chaley jaein hum Shettles ka tariqa istaemaal kartey hain humari apni kaamyaabi ki sharah 90% sey zyada hai.

Diet Plan For Pregnancy:

Hum apney tariqey mein khooraak ko bhi shamil kartey hain yeh khooraak ahem mubashrat sey pehley kam az kam 6 hafton kay liye istaemaal ki jaey.



  1. Inn cheezon ka zyada istemaal kya jaey: gandum, aaloo, aaloo kay chips aur kaeley
  2. Mundarja zael ka istaemaal mufeed hai: Gosht, Andey, Machli, Chawal, Lassi, Baengan, Piyaz, Lehsen, Subz mirch, Kashmiri mirch, Hari phalyan, Dhanya, Kheera, Kaddu, Tindey, Makaee kay taaza bhuttey, Kachey timater, Aaloo bukharey, Aam, Amrood, Anannaas, Angoor, Pista, Tarbooz, Jamun, Kharbooza, Khoobani, Kiinoo, Kiinoo ka juice, Saeb, Faalsa, Leechi, Malta, Aaroo, Amreeci Kharbooza. 
  3. Mandarja zael ka istaemaal kam kiya jaey: coca cola, pepsi, masaley
  4. Mandarja zael ko bilkul istaemaal na kiya jaey: Mithaaeyaan, chocolate, cigarette, tambacoo, sharaab, icecream, cake, pastry, biscuit, poori, parathey, taez masaley, zyada tael wali cheezein, chilghozey, moong phalli, akhrot, naariyal, khushk injeer, makkhan, doodh khusoosan gaey ka doodh, dahi, paneer, khoya, kheer, shakarqandi, daalein, lobiya, soya bean, baking soda, gobhi, shaljam, bhindi, khajur, palak, salad kay pattey.
  5. Thori miqdaar mein chaey aur shahed ka istaemaal mufeed hai magar zyada istemaal na karein
  6. Salan waghaera sunflower oil mein pakaein.
  7. Yeh khooraak donon mian biwi kay liye hai.

1 comments:

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news