Ghusl e Janabat Ka Tariqa
Hazrat Ayesha riwayat farmati hain kay jab Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ghusl e janabat ka irada farmatey to (Iss tarhan) shuru kartey kay (Pehley) donon hathon (Pohncho tak) dhotey, phir wuzu kartey jis tarhan namaz kay liye wuzu kartey. Phir apni ungliyan pani mein (Tar karney kay liye) dakhil kar kay nikaltey aur inn sey apney balon ki jaron ko khalal kartey. Phir apney donon hathon kay sath 3 chullu pani apney sar per daltey iss kay baad apney tamam badan per pani bahatey. (Muslim, Bukhari)Umm ul momineen Hazrat Maimoona biyan karti hain kay mein ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ghusl kay liye pani ka ahtemam kya. Chunancha (jab ap ghusl farmaney lagey to) aap ney apney dae'in hath sey bae'in hath per pani daal kar donon hathon ko dhoya phir apni sharam gah ko dhoya. Phir aap ney apney hath ko zameen per rakh kar mitti sey ragrra aur phir iss ko dho dala. Iss kay baad kulli kari aur naak mein pani charhaya phir chehrey ko dhoya aur sar per pani dala phir iss jagah sey hutt kar aap ney apney donon pao'n dhoey. Phir aap ko roomal paesh kya gaya lekin aap ney iss sey na poncha. (Muslim, Bukhari)
Hazrat Ali sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jo shakhs ghusl e janabat mein ek baal ki jagah bhi bina dhoey chorey ga usko azaab hoga. (Abu Dawood) magar aurton kay liye kuch riayat hai.
Hazrat Salma sey riwayat hai kay meiney arz ki Hazrat Muhammad (P.B.U.H) mein apney sar ki choti mazbooti sey goondhti hun to kya ghusl e janabat kay liye iss ko khol dalon. Farmaya nahi. Tujh ko sirf yehi kifayat karta hai kay sar per 3 lab pani daley, phir apney ooper pani baha ley paak ho jaey gi. (Muslim)
0 comments:
Post a Comment