Pages

Advertisement

Friday 24 August 2012

INFERTILITY (BAANJHPAN)

BAANJHPAN (INFERTILITY)

 American research kay mutabiq wahan 12% log aulad paeda karney kay qabil nahi. Ek research sey maloom hua kay infertility waley afraad mein sey 33% mardon mein naqs hai aur 33% aurton mein aur baqi donon mein. Ek doosri research kay mutabiq 40% mard infertility ka shikar hain. Aaj kal banjhpan ka masla kafi aam hai. 5 couples mein sey 1 couple iss ka shikar hai (Rashid Latif) iss mein kabhi mard mein problem hota hai aur kabhi aurat mein aur kabhi donon mein. Ek research kay mutabiq banjhpan kay responsible 33% mard hotey hain. 33% aurtein hoti hain aur 33% donon hotey hain.

INFERTILITY IN MAN:

Mardon kay banjhpan ki ek hi wajah hoti hai. Inn kay active motile sperms ki tadaad kam hoti hai. Mard kay ek baar discharge honay per mani (semen) ki miqdaar average 3.5ml hoti hai (mera ek patient ki miqdaar 8ml thee) jis mein 20 crore sey 1 arab sperms hotey hain. Average 40 crore sperm hotey hain. Mard ki body mein rozana 30 crore sperms bantey hain. Garmi aur zyada exercise sperms ki tadaad ko kam karti hai. Lekin agar 3 months garmi sey door raha jaey aur 3 month exercise na ki jaey to halaat normal ho jatey hain. Iss kay elawa shadeed beemari, sakht mehnat aur stress bhi sperms ki tadaad ko kam kartey hain. Computer per zyada der bethney sey bhi sperms ki tadaad kam ho jati hai. Bachey ki paedaesh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hai magar ek sperm ka fallopian tubes tak pohonchney kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Bohut sey rastey mein hi mar jatey hain aur bohut sey ghalat tube mein chaley jatey hain. 2 tube mein sey kisi ek mein egg hota hai. Yani bachey ki paedaesh kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Iss soorat mein amooman beti paeda hoti hai. Kabhi kabhi 2 crore sperms sey bhi bacha paeda ho jata hai.

Mardon main Banchpan ki wajoohat:

  1. Sehatmand sperms ki tadaad main kami hona.
  2. Sehatmand sperms bilkul hi na hona.

 Apney infertility causes (banjhpan ki wajah) jannay kay liye aap apni mani (semen) ka tajziya karaein. Behter hai kay mani (semen) lab mein hi nikali jaey. Ghar sey ley janay ki soorat mein amooman result sahi nahi ata. Agar ghar sey ley jana zaroori ho to aap 15min kay ander ander isey lab mein pohncha dein. Agar aap mein kharabi hai to last result nikalney sey pehley kam az kam ek aur lab sey mani (semen) ka test karwaein. Agar donon report sey maloom ho kay kharabi aap mein hai to bhi pur sukoon rahein aur kisi achey urologist sey milein. Aaj kal aisi medicines market mein aa chuki hain jin ki madad sey iss masley ko hal kya ja sakta hai.

Sperms ki tadaad barhany k kuch tariqay:

  • Cigarette noshi sperm ki dushman hai. Ek research sey pata chalta hai kay cigarette noshi sey 15% sperm kam hojaatey hain. Iss kay elwa cigarette noshi ki wajah sey sperm ovum kay ander dakhil nahi hosakta, jis ki wajah sey ovum bar awar naa hoga. Lehaza agar aap cigarette noshi kartey hain to husool-e-aulad kay liye chor dein.
  • Sharab noshi bhi sperm kay liay nuqsan dey hai. Iss sey sperm khusoosan naazuk Y sperm mar jaatey hain. Chunancha sharab noshi bhi tark kardein. Sharabnoshi gunah e kabeera hai.
  • Apney weight ko kam karein. Motapey ki sorat mein khusyey jism kay saath lagey rehtey hain. Jis ki wajah sey in ka darja e hararat barh jata hai aur iss sey sperm mar jatey hain research sey maloom hua hai kay motey aadmi kay khusyey ka darja e hararat nisbatan zyada hota hai jis ki wajah sey bohut sey sperm mar jatey hain.
  •  Khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat sey kam hota hai. Agar in ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojaey to bhi sperms mar jatey hain. Agar aap tight dresses khusoosan tight underwear pehentey hain to aap kay khusyey aksar auqat aap kay jism kay sath lagey rehtey hain jis ki wajah sey khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojata hai jo kay sperms kay liye nuqsandeh hai. Lehaza khula libas pehnein khusoosan garmiyom mein aap kay khusyey zyada der jism kay sath na lagey rahein.
  • Garmi sperms ki dushman hai. Lehaza garam pani mein zyada der tak naa bethein, zyada der tak garam pani sey na bath lein, apney khusyey ko thanda rakhein. Jab bhi bath room jaein khusyey per 1 – 2 minute kay liye thanda pani dalein. Aag kay qareeb kaam karney walon kay han aksar larkiyan paeda hoti hain. Garmi sey Y chromosomes jald mar jatey hain.
  • Jo log rozana zyada driving kartey hain, engine ki garmi ki wajah sey inn kay sehatmand sperm count kam ho jata hai. Iss kay liye apney neechey hawa dar seat rakhein. Har 1 yeh 2 hours baad khusyon ko cold pani sey wash karein.
  • Diet mutawazin ho jis mein sarey vitamin khusoosan vitamin A, aur vitamin E ka zyada use ho.
  • Ek research sey maloom hua hai kay zyada run aur cycle chalaney sey 2 week mein Sperm Count 29% kam ho jati hai. Yani bohut zyada exercise bhi sperms kay liye nuqsandeh sabit hogi.

  •  Baaz chemicals maslan karm kash medicine, glycol ether jo ka printing aur gond waghaera bananey mein use hota hain bhi sperms kay liye nuqsandeh hain. Karm kash medicine ka spray kartey waqt khusoosi ahtiyat ki zaroorat hai.
  • Research ma yeh bhi maloom hua hai kay computer kay samney zyada der bethney sey bhi sperm ki tadad kam hojati hai jis ki wajah sey aisey afraad kay han aksar larkiyan paeda hoti hai.
  • Zehni stress bhi sperm ka bohut bara dushman hai. Yeh sperm kay count ko kam karta hai. Lehaza iss sey bachein aur hamesha pursukoon rahnay ki koshish karein.

INFERTILITY IN WOMEN



Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.

  Aurton mein baanjhpan (infertility in women) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein. Apni biwi ki kharabi ko jannay kay liye kisi mahir doctor sey rabta karian khawateen ki bohut si bemariyan qabil-e-elaj hain.

0 comments:

Post a Comment

Infotainment

Feedback

Ye Post Ap Kay Liye Helpfull Rahi?

Blogger news